kurinthiyon ke naam pehali chitthi 11:1-34
11 meri misal par chalo, theek jaise main maseeh ki misal par chalta hoon.+
2 main tumhari taareef karta hoon kyonki tum sab baaton mein mujhe yaad karte ho aur jo hidaytein* mainne tumhein di thi, unhein tum sakhti se maante ho.
3 magar main chahta hoon ki tum jaan lo ki har aadmi ka sir maseeh hai+ aur aurat ka sir aadmi hai+ aur maseeh ka sir parmeshvar hai.+
4 har aadmi jo apna sir dhakkar prarthna ya bhavishyavani karta hai, woh apne sir ka apman karta hai.
5 magar har aurat jo bina sir dhake prarthna ya bhavishyavani karti hai,+ woh apne sir ka apman karti hai, kyonki woh us aurat jaisi hogi jiska sir mundaya gaya ho.
6 isliye ki agar ek aurat apna sir nahin dhakti, to woh apne baal katva le. lekin agar ek aurat ke liye baal katvana ya sir mundana sharmnak baat hai, to use apna sir dhakna chahiye.
7 ek aadmi ko apna sir nahin dhakna chahiye, kyonki woh parmeshvar ki chhavi+ aur uski mahima hai. lekin aurat, aadmi ki mahima hai.
8 isliye ki aadmi aurat se nahin nikala, balki aurat aadmi se nikli hai.+
9 saath hi, aadmi ko aurat ke liye nahin, balki aurat ko aadmi ke liye banaya gaya tha.+
10 isliye swargdooton ki vajah se ek aurat ko chahiye ki woh apne sir par adheenta ki nishani rakhe.+
11 fir bhi, prabhu ke intazam mein na aurat aadmi ke bina hai, na aadmi aurat ke bina.
12 isliye ki jaise aurat aadmi se nikli hai,+ vaise hi aadmi aurat ke zariye aaya hai, lekin sabkuch parmeshvar se nikala hai.+
13 tum khud hi faisla karo: kya yah sahi hai ki ek aurat bina sir dhake parmeshvar se prarthna kare?
14 kya yah swabhavik nahin ki agar ek aadmi ke baal lambe hon to yah uske liye apman ki baat hoti hai?
15 lekin agar ek aurat ke baal lambe hon, to ye uski shobha hain? kyonki use odhni ke bajay uske baal diye gaye hain.
16 lekin agar koi kisi doosre dastoor ko maanne ke liye behas kare, to woh jaan le ki hamare beech aur parmeshvar ki mandliyon ke beech koi aur dastoor nahin.
17 magar ye hidaytein dete vakt, main tumhari taareef nahin karta kyonki jab tum ikattha hote ho, to bhala hone se zyada bura hota hai.
18 sabse pehale to mere sunnae mein aaya hai ki jab tum mandli mein ikattha hote ho, to tumhare beech fut hoti hai aur kuch had tak main is baat par yakeen bhi karta hoon.
19 tumhare beech gut bhi zaroor honge+ aur isse tumhare beech woh log bhi saaf nazar aayenge jin par parmeshvar ki manzoori hai.
20 jab tum prabhu ke sandhya-bhoj ke liye ek jagah ikattha hote ho, to asal mein tum bhoj khaane ke liye ikattha nahin hote.+
21 kyonki prabhu ke sandhya-bhoj se pehale tummein se kuch log shaam ka khaana khaa chuke hote hain, isliye koi bhookha hota hai to koi peekar dhutt hota hai.
22 kya khaane-peene ke liye tumhare ghar nahin hain? ya kya tum parmeshvar ki mandli ko tuchh samajhte ho aur jinke paas kuch nahin unhein sharminda karte ho? main tumse kya kahoon? kya main tumhari taareef karoon? main is baat mein tumhari taareef nahin karta.
23 jo baat prabhu ne mujhe batayi thi, vahi mainne tumhein sikhayi thi ki jis raat+ prabhu yeeshu ke saath vishvasghat karke use pakadvaya jaanevala tha, usne ek roti li
24 aur prarthna mein dhanyavad dene ke baad, use toda aur kaha, “yah mere shareer ki nishani hai,+ jo tumhari khaatir diya jaana hai. meri yaad mein aisa hi kiya karna.”+
25 jab woh shaam ka khaana khaa chuke to usne pyala bhi liya+ aur kaha, “yah pyala us naye karar ki nishani hai+ jise mere khoon se pakka kiya jaayega.+ jab kabhi tum ise peete ho to meri yaad mein aisa karo.”+
26 jab kabhi tum yah roti khaate ho aur yah pyala peete ho, to tum uski maut ka ailan karte ho aur aisa tum prabhu ke aane tak karte rahoge.
27 isliye har koi jo ayogya dasha mein roti khaata ya prabhu ke pyale mein se peeta hai, woh prabhu ke shareer aur khoon ke maamle mein doshi thehrega.
28 ek aadmi pehale apni jaanch kare ki woh is laayak hai ya nahin,+ iske baad hi woh roti mein se khaaye aur pyale mein se peeye.
29 isliye ki jo prabhu ke shareer ke maayne samjhe bina khaata aur peeta hai, woh khud par saza laata hai.
30 iseeliye tumhare beech bahot-se log kamzor aur beemar hain aur kai maut ki nind so rahe hain.*+
31 lekin agar hum khud ki jaanch karein ki hum asal mein kya hain, to hum doshi nahin thehreinge.
32 aur jab hum doshi thaharte hain, to yahova* hamein sudhaarta hai+ taaki hum duniya ke saath saza na paayen.+
33 isliye mere bhaaiyo, jab tum ise khaane ke liye ikattha hote ho, to ek-doosre ka intazar karo.
34 agar koi bhookha hai, to woh ghar par khaaye taaki tumhara ikattha hona saza ka kaaran na bane.+ baaki baatein jab main vahaan aaunga tab sudhaaroonga.
kai footnote
^ ya “dastoor.”
^ zahir hai ki yahaan bataya jaa raha hai ki parmeshvar ke saath unka rishta toot chuka tha.