kurinthiyon ke naam pehali chitthi 7:1-40

  • avivahit aur shaadishuda logon ke liye salah (1-16)

  • tum jis dasha mein bulaye gaye usi mein raho (17-24)

  • avivahit log aur vidhvayen (25-40)

    • avivahit rehne ke faayde (32-35)

    • “sirf prabhu mein” shaadi karo (39)

7  ab main un savalon ka javab de raha hoon jo tumne likhkar mujhse poochhe the. ek aadmi ke liye achha to yah hai ki woh aurat ko na chhuye.*  fir bhi, yah dekhte huye ki naajayaz yaun-sambandh* rakhna aam ho gaya hai, har aadmi ki apni patni ho+ aur har aurat ka apna pati ho.+  pati apni patni ka hak ada kare aur usi tarah patni bhi apne pati ka hak ada kare.+  patni ko apne shareer par adhikar nahin balki uske pati ko hai. usi tarah, pati ko apne shareer par adhikar nahin balki uski patni ko hai.  tum ek-doosre ko is hak se vanchit na rakho, lekin agar prarthna mein vakt bitane ke liye aisa karo bhi, to sirf aapsi razamandi se kuch vakt ke liye karo. iske baad fir se saath ho jaao taaki shaitan tumhare sanyam ki kami ki vajah se tumhein lubhata na rahe.  magar yah mera sirf sujhav hai, aagya nahin.  main to yahi chahta hoon ki sab log aise hote jaisa main hoon. magar har kisi ko parmeshvar se apna tohfa mila hai,+ kisi ko is tarah ka to kisi ko doosri tarah ka.  ab main avivahiton aur vidhvaon se kehta hoon ki unke liye achha hai ki woh aise hi rahein jaisa main hoon.+  lekin agar unmein sanyam nahin to woh shaadi kar lein, kyonki vaasnaon ki aag mein jalne se to achha hai ki woh shaadi kar lein.+ 10  shaadishuda logon ko main ye hidaytein deta hoon, darasal main nahin balki prabhu deta hai ki ek patni ko apne pati se alag nahin hona chahiye.+ 11  lekin agar woh alag ho bhi jaaye, to kisi doosre se shaadi na kare ya apne pati se sulah kar le. aur ek pati ko chahiye ki apni patni ko na chhode.+ 12  ab doosron se prabhu nahin main yah kehta hoon:+ agar ek bhaai ki patni avishvasi ho fir bhi woh apne pati ke saath rehne ke liye raazee ho, to woh bhaai apni patni ko na chhode. 13  agar ek aurat ka pati avishvasi ho fir bhi woh apni patni ke saath rehne ke liye raazee ho, to woh aurat apne pati ko na chhode. 14  isliye ki avishvasi pati apni patni ke saath shaadi ke rishte ki vajah se pavitra maana jaata hai aur avishvasi patni apne pati yaani us maseehi bhaai ke saath shaadi ke rishte ki vajah se pavitra maani jaati hai. agar aisa na hota, to tumhare bachche ashuddh hote magar ab woh pavitra hain. 15  lekin agar avishvasi saathi alag hona chahta hai, to use alag hone do. aise haalaat mein ek bhaai ya behen par koi bandish nahin. parmeshvar ne tumhein shaanti se jeene ke liye bulaya hai.+ 16  isliye ki hey patni, agar tu apne pati ke saath rahe to kya jaane tu apne pati ko bacha le?+ ya hey pati, agar tu apni patni ke saath rahe to kya jaane tu apni patni ko bacha le? 17  yahova* ne harek ko jo diya hai aur parmeshvar ne harek ko jis dasha mein bulaya hai, woh vaisa hi chalta rahe.+ main sab mandliyon ko yahi aadesh deta hoon. 18  kya kisi aadmi ko khatne ki dasha mein bulaya gaya tha?+ to woh usi dasha mein rahe. kya kisi aadmi ko khatnarahit dasha mein bulaya gaya tha? to woh khatna na karaye.+ 19  khatne ki dasha mein hona kuch maayne nahin rakhta, na hi khatnarahit dasha mein hona.+ magar parmeshvar ki aagyayen maanna maayne rakhta hai.+ 20  harek ko jis dasha mein bulaya gaya hai, woh vaisa hi rahe.+ 21  kya tujhe tab bulaya gaya tha jab tu ek daas tha? to yah baat tujhe pareshan na kare.+ lekin agar tu aazad ho sakta hai, to aisa mauka na chhod. 22  isliye ki jo ek daas ke naate prabhu mein bulaya gaya tha woh prabhu mein aazad hai aur usi ka hai.+ vaise hi jo aazad aadmi ke naate bulaya gaya tha woh maseeh ka daas hai. 23  tumhein keemat dekar khareed liya gaya hai,+ insanon ke gulam banna chhod do. 24  bhaaiyo, harek ko jis dasha mein bulaya gaya hai, woh parmeshvar ke saamne vaisa hi rahe. 25  jahaan tak kunvare logon ki baat hai, unke baare mein prabhu se mujhe koi aagya nahin mili hai. magar main ek aise aadmi ke naate apni raay batata hoon+ jis par prabhu ne daya ki thi ki main vishvasyogya paaya jaaun. 26  isliye mujhe lagta hai ki aajkal ke mushkil haalaat ko dekhte huye, sabse achha yahi hai ki ek aadmi jaisa hai vaisa hi rahe. 27  kya tu patni se bandha hua hai? to usse aazad hone ki koshish karna band kar.+ kya tu patni se aazad hai? to ek patni ki khoj karna band kar. 28  lekin agar tu shaadi kar bhi le, to koi paap nahin karega. aur agar ek kunvara shaadi karta hai, to yah koi paap nahin hai. fir bhi, jo shaadi karte hain unhein shaareerik dukh-takaleefein jhelni padeingi. magar main tumhein inse bachana chahta hoon. 29  iske alava, bhaaiyo main yah kehta hoon, jo vakt reh gaya hai use ghataya gaya hai.+ isliye jinki patniyaan hain, woh ab se aise rahein jaise unki patniyaan nahin hain 30  aur jo rote hain woh aise rahein jo rote nahin, jo khushiyaan manate hain woh aise rahein jo khushiyaan nahin manate aur jo khareedte hain woh aise rahein maano unhonne khareeda hi nahin. 31  is duniya ka istemal karnevale aise hon jo iska poora-poora istemal nahin karte, kyonki is duniya ka drishya badal raha hai. 32  vaakai, main chahta hoon ki tum chintaon se aazad raho. avivahit aadmi prabhu ki seva se judi baaton ki chinta mein rehta hai ki woh kaise prabhu ko khush kare. 33  magar shaadishuda aadmi duniyadari ki baaton ki chinta mein rehta hai+ ki kaise apni patni ko khush kare 34  aur woh bata hua hai. iske alava, avivahit aur kunvari aurat prabhu ki seva se judi baaton ki chinta mein rehti hai+ taaki woh apne shareer aur man donon se pavitra rahe. lekin shaadishuda aurat duniyadari ki baaton ki chinta mein rehti hai ki kaise apne pati ko khush kare. 35  magar main yah tumhare faayde ke liye kah raha hoon, na ki tum par koi bandish lagane ke liye.* darasal main tumhein sahi kaam karne ka badhava de raha hoon taaki tum bina dhyan bhatkaye prabhu ki seva mein lage raho. 36  lekin agar kisi avivahit* vyakti ko lagta hai ki woh galat bartav kar raha hai aur agar woh javani ki kachchi umra paar kar chuka hai, to use shaadi kar leni chahiye. aisa karke woh paap nahin karta. aise log shaadi kar lein.+ 37  lekin agar koi apne dil mein thaan chuka hai ki woh avivahit* hi rahega aur woh apne is faisle par atal rehta hai kyonki use shaadi karne ki zaroorat mehsoos nahin hoti, balki woh apni ichha ko kaaboo mein rakhta hai to woh achha karta hai.+ 38  isliye jo shaadi karta hai woh achha karta hai. magar jo shaadi nahin karta woh zyada achha karta hai.+ 39  ek patni apne pati ke jeete-ji usse bandhi hoti hai.+ lekin agar uska pati maut ki nind so jaata hai, to woh jisse chahe usse shaadi karne ke liye aazad hai, magar sirf prabhu mein.+ 40  lekin meri raay hai ki agar woh jaisi hai vaisi hi rahe, to zyada khush rahegi. mujhe yakeen hai ki yah baat kehne ke liye parmeshvar ki pavitra shakti ne hi mujhe udhaara hai.

kai footnote

yaani yaun-sambandh rakhne ke liye.
yoonani mein porniya ka bahuvachan. shabdavli dekhein.
ati. ka5 dekhein.
shaa., “na ki nakel daalne ke liye.”
ya “kunvare.”
ya “kunvara.”