pehala raja 12:1-33

  • rahoobiyam ka kathor javab (1-15)

  • 10 gotron ki bagavat (16-19)

  • yaarobam israel ka raja bana (20)

  • rahoobiyam se kaha gaya, israel se yuddh na kare (21-24)

  • yaarobam ne bachhde ki upasna karvayi (25-33)

12  rahoobiyam shekem gaya kyonki poora israel use raja banane ke liye shekem mein ikattha hua tha.+  jaise hi iski khabar nabat ke bete yaarobam ko mili (woh ab bhi misra mein tha kyonki woh raja sulaiman ki vajah se misra bhaag gaya tha aur vahin reh raha tha),+  logon ne use misra se bulvaya. iske baad, yaarobam aur israel ki poori mandli rahoobiyam ke paas aayi aur kehne lagi,  “tere pita ne hamse kadi mazdoori karvakar hum par bhaari bojh laad diya tha.+ agar tu hamare saath thodi riayat kare aur yah bhaari bojh zara halka kar de, to hum teri seva kareinge.”  rahoobiyam ne unse kaha, “tum log abhi jaao, teen din baad vaapas aana.” tab log vahaan se chale gaye.+  is beech raja rahoobiyam ne un buzurgon* se salah ki jo uske pita sulaiman ke salahkar hua karte the. usne unse poochha, “tumhari kya raay hai, in logon ko kya javab dena sahi rahega?”  buzurgon ne usse kaha, “aaj agar tu in logon ka sevak bane, unki guzarish poori kare aur unse pyar se baat kare, to woh hamesha tere sevak bane raheinge.”  magar rahoobiyam ne buzurgon* ki salah thukra di aur un javanon se salah-mashvira kiya jo uske saath pale-badhe the aur ab uske sevak the.+  usne unse poochha, “tum kya salah dete ho? main in logon ko kya javab doon jinhonne mujhse kaha hai, ‘tere pita ne hum par jo bhaari bojh laada tha use halka kar de’?” 10  uske saath pale-badhe javanon ne usse kaha, “jin logon ne tujhse kaha hai, ‘tere pita ne hum par jo bhaari bojh laada tha use halka kar de,’ unse tu kehna, ‘meri chhoti ungli mere pita ki kamar se bhi moti hogi. 11  mere pita ne tum par jo bhaari bojh laada tha main use aur badha doonga. mera pita tumhein kodon se pitvata tha, magar main tumhein keelonvale kodon se pitvaunga.’” 12  teesre din yaarobam aur sab log rahoobiyam ke paas aaye, theek jaise raja ne unse teesre din aane ko kaha tha.+ 13  magar raja ne unke saath kathorta se baat ki kyonki usne buzurgon* ki salah thukra di thi. 14  usne javanon ki salah maankar logon se kaha, “mere pita ne tum par jo bhaari bojh laada tha, main use aur bhi badha doonga. mera pita tumhein kodon se pitvata tha, magar main tumhein keelonvale kodon se pitvaunga.” 15  is tarah raja ne logon ki baat nahin maani. iske peechhe yahova ka haath tha.+ yahova ne aisa isliye kiya taaki woh vachan poora ho jo usne sheelo ke rehnevale ahiyah ke zariye nabat ke bete yaarobam se kaha tha.+ 16  jab israel ke sabhi logon ne dekha ki raja ne unki baat nahin maani, to unhonne raja se kaha, “ab daavid ke saath hamara kya saajha? yishai ke bete ki virasat usi ke paas rahe. israeliyo, tum sab apne-apne devta ke paas laut jaao! hey daavid, ab tu apne hi gharane ki dekhbhal karna!” yah kehkar israel ke log apne-apne ghar* laut gaye.+ 17  magar rahoobiyam un israeliyon par raaj karta raha jo yahooda ke shehron mein rehte the.+ 18  fir raja rahoobiyam ne adoram+ ko israeliyon ke paas bheja, jo jabran mazdoori karnevalon ka adhikari tha. magar poore israel ke logon ne use pattharon se maar daala. raja rahoobiyam kisi tarah apne rath par savaar hokar yarooshalem bhaag gaya.+ 19  tab se lekar aaj tak israeli, daavid ke gharane se bagavat karte aa rahe hain.+ 20  israel ke sab logon ko jaise hi khabar mili ki yaarobam vaapas aaya hai, unhonne use logon ki mandli ke paas bulvaya aur use poore israel ka raja banaya.+ yahooda gotra ko chhod kisi aur ne daavid ke gharane ka saath nahin diya.+ 21  jab rahoobiyam yarooshalem pahuncha to usne fauran yahooda ke poore gharane se aur binyameen gotra se 1,80,000 taaleem paaye* sainikon ko ikattha kiya taaki woh israel ke gharane se yuddh karein aur poora raaj sulaiman ke bete rahoobiyam ke adhikar mein kar dein.+ 22  tab sachche parmeshvar ka yah sandesh sachche parmeshvar ke sevak shamayah ke paas pahuncha,+ 23  “sulaiman ke bete, yahooda ke raja rahoobiyam se, saath hi yahooda ke poore gharane, binyameen gotra aur baaki sabhi logon se kehna, 24  ‘yahova ne kaha hai, “tum oopar jaakaar apne israeli bhaaiyon se yuddh mat karna. tum sab apne-apne ghar laut jaao kyonki yah sab mainne hi karvaya hai.”’”+ unhonne yahova ki baat maan li aur sab apne-apne ghar laut gaye, theek jaise yahova ne unse kaha tha. 25  iske baad yaarobam ne shekem banaya*+ jo epraim ke pahadi pradesh mein tha aur vahin rehne laga. vahaan se woh panooel shehar+ gaya aur use bhi banaya.* 26  yaarobam ne man-hi-man kaha, “kahin aisa na ho ki mere raaj ke log fir se daavid ke gharane se mil jaayen.+ 27  agar woh yahova ke bhavan mein balidan chadhane ke liye yarooshalem jaate raheinge,+ to unka dil apne maalik yahooda ke raja rahoobiyam ki taraf fir jaayega. fir to woh mujhe maar daaleinge aur yahooda ke raja rahoobiyam ke paas laut jaayenge.” 28  isliye raja ne salah-mashvira karne ke baad do sone ke bachhde banvaye+ aur logon se kaha, “tum yarooshalem jaane ki takaleef kyon uthate ho. hey israeliyo dekho, tumhara parmeshvar yahi hai. yahi tumhein misra desh se nikaal laaya tha.”+ 29  fir yaarobam ne ek bachhda betel+ mein khada karvaya aur doosra daan+ mein. 30  is vajah se logon ne paap kiya+ aur woh daan mein rakhe bachhde ko poojne ke liye vahaan tak ka lamba safar tay karne lage. 31  yaarobam ne unchi jagahon par pooja-ghar banvaye aur aam logon ko yaajak thehra diya jo levi nahin the.+ 32  saath hi, usne aathvein maheene ke 15vein din ek tyohar shuroo kiya, jo yahooda mein manaye jaanevale tyohar jaisa tha.+ usne betel+ mein banayi vedi par un bachhdon ke liye balidan chadhaya jo usne banaye the aur betel mein banayi unchi jagahon par seva karne ke liye yaajak thehraye. 33  usne betel mein jo vedi banayi thi, us par woh aathvein maheene ke 15vein din chadhave arpit karne laga. yah maheena usne khud chuna tha. usne israel ke logon ke liye ek tyohar shuroo kiya aur vedi par chadhkar chadhava arpit kiya aur balidan chadhaye taaki dhuaan uthe.

kai footnote

ya “mukhiyaon.”
ya “mukhiyaon.”
ya “mukhiyaon.”
shaa., “tamboo ko.”
shaa., “chune huye.”
ya “mazboot kiya.”
ya “mazboot kiya.”