pehala shamooel 18:1-30
18 daavid aur shaaool ki is baatcheet ke baad, yonatan+ aur daavid ke beech gehri dosti ho gayi aur woh apni jaan ke barbar daavid se pyar karne laga.+
2 us din se shaaool ne daavid ko apne paas rakh liya aur use apne pita ke ghar lautne nahin diya.+
3 yonatan aur daavid ne aapas mein dosti ka karar kiya+ kyonki yonatan daavid se apni jaan ke barbar pyar karta tha.+
4 yonatan ne apna bin aasteen ka baaga utaarkar daavid ko diya. usne apni sainik ki poshak, talvar, kaman aur kamarband bhi use di.
5 daavid yuddh mein jaane laga. shaaool use jahaan kahin bhejta woh jeetkar aata.*+ isliye shaaool ne use apne sainikon ka adhikari bana diya+ aur isse shaaool ke sevak aur baaki sabhi log khush huye.
6 jab daavid aur doosre sainik palishtiyon ko maarkar lautte to israel ke sabhi shehron se aurtein khushi se dafli+ aur chikara bajati aur naachti-gaati hui+ raja shaaool ka swagat karne baahar aati thi.
7 woh yah geet gaati hui jashna manati thi,
“shaaool ne maara hazaron ko,daavid ne maara laakhon ko!”+
8 yah geet sunkar shaaool ko bahot bura laga aur use bahot gussa aaya.+ usne man mein kaha, “woh kehti hain, daavid ne laakhon ko maara hai aur mainne sirf hazaron ko. ab raajpat ke siva use aur kya milna baaki hai!”+
9 us din se shaaool har vakt daavid ko shak ki nigah se dekhne laga.
10 agle din shaaool par uski buri fitrat haavi ho gayi+ aur parmeshvar ne aisa hone diya. us din jab daavid hamesha ki tarah shaaool ke ghar mein surmandal baja raha tha+ to shaaool ajeebo-gareeb harkat* karne laga. uske haath mein ek bhaala tha+
11 aur usne yah sochkar woh bhaala daavid ki taraf zor se feinka+ ki main daavid ko deevar mein thonk doonga! usne do baar aisa kiya, magar donon baar daavid bach nikala.
12 shaaool daavid se darne laga kyonki usne dekha ki yahova daavid ke saath hai,+ jabki usne shaaool ko chhod diya hai.+
13 isliye shaaool ne daavid ko apni nazron se door kar diya aur use ek hazar sainikon ka adhikari thehraya. daavid apni sena ko lekar yuddh mein jaaya karta tha.*+
14 woh apne har kaam mein kaamyab ho raha* tha+ aur yahova uske saath tha.+
15 aur jab shaaool ne dekha ki daavid bahot kaamyab ho raha hai, to woh usse darne laga.
16 magar saara israel aur yahooda daavid se bahot pyar karta tha kyonki woh yuddhon mein unki aguvai karta tha.
17 baad mein shaaool ne daavid se kaha, “main apni badi beti merab+ ki shaadi tujhse kara doonga,+ magar tu mere liye ek veer yoddha bana reh aur yahova ki taraf se yuddh karta reh.”+ darasal shaaool ne socha, ‘agar woh yuddh mein jaayega to palishtiyon ke haathon maara jaayega aur mujhe apne haath uske khoon se nahin rangne padeinge.’+
18 tab daavid ne shaaool se kaha, “main kya hoon, israel mein mere pita ke gharane aur rishtedaron ki haisiyat hi kya hai jo main raja ka daamad banoon?”+
19 lekin jab shaaool ki beti merab ki shaadi daavid se karane ka vakt aaya to pata chala ki shaaool ne merab ki shaadi pehale hi maholai adriel+ se kara di hai.
20 shaaool ki beti meekal+ ko daavid se pyar ho gaya tha. yah baat jab shaaool ko batayi gayi to woh bahot khush hua.
21 usne socha, “yah achha mauka hai daavid ko fansane ka, main apni beti ki shaadi usse karane ke liye uske saamne aisi shart rakhoonga ki woh palishtiyon ke haathon maar daala jaaye.”+ shaaool ne ek aur baar daavid se kaha, “aaj tu mujhse rishtedari karega.”*
22 shaaool ne apne sevkon ko aadesh diya, “tum log chupke se daavid se kaho, ‘dekh, raja tujhse bahot khush hai aur uske sabhi sevak bhi tujhe pasand karte hain. isliye tu raja se rishtedari kar le.’”
23 jab shaaool ke sevkon ne daavid ko yah baat batayi to usne kaha, “main kaise raja se rishtedari kar loon? main thehra ek gareeb aadmi, mera na koi naam hai na rutba.”+
24 tab shaaool ke sevkon ne use bataya ki daavid ne aisa-aisa kaha hai.
25 shaaool ne unse kaha, “tum jaakaar daavid se kaho, ‘raja ko mahar+ mein kuch nahin chahiye, bas use palishtiyon ki 100 khaldiyaan chahiye.+ woh apne dushmanon se badla lena chahta hai.’” darasal yah shaaool ki saazish thi kyonki woh chahta tha ki daavid palishtiyon ke haathon maara jaaye.
26 uske sevkon ne jaakaar shaaool ki ye baatein daavid ko batayin. daavid ko shaaool se rishtedari karne ki baat achhi lagi.+ daavid tay samay se pehale hi
27 apne aadmiyon ko lekar nikaal pada aur usne 200 palishti aadmiyon ko maar daala aur un sabki khaldiyaan raja ke paas laaya taaki raja se rishtedari kar sake. isliye shaaool ne apni beti meekal ki shaadi daavid se kara di.+
28 shaaool ko ehsas ho gaya ki yahova daavid ke saath hai+ aur uski beti meekal daavid se pyar karti hai.+
29 is vajah se shaaool, daavid se aur darne laga aur saari zindagi uska dushman bana raha.+
30 palishtiyon ke haakim israeliyon se yuddh karne aate the. jab bhi woh aate to daavid shaaool ke baaki sabhi aadmiyon se zyada jeet haasil karta tha.*+ isliye daavid ke naam ki bahot izzat ki jaane lagi.+
kai footnote
^ ya “vahaan buddhimani se kaam karta.”
^ ya “bhavishyavakta jaisa bartav.”
^ shaa., “woh logon ke saamne aaya-jaaya karta tha.”
^ ya “apna har kaam buddhimani se karta.”
^ ya “mera daamad banega.”
^ ya “zyada buddhimani se kaam karta tha.”