pehala shamooel 25:1-44

  • shamooel ki maut (1)

  • naabal ne daavid ke aadmiyon ko thukraya (2-13)

  • abeegail ne buddhimani se kaam liya (14-35)

    • ‘thaili mein rakhi keemti cheezon ki tarah yahova jaan ki hifazat karega’ (29)

  • moorkh naabal ki maut (36-38)

  • abeegail daavid ki patni bani (39-44)

25  kuch samay baad shamooel+ ki maut ho gayi aur poora israel uske liye maatam manane aur uske ghar ke paas use dafnane ke liye raamah mein ikattha hua.+ iske baad daavid utha aur neeche paaran veerane chala gaya.  maaon+ mein ek aadmi rehta tha jiski jaaydad karmel*+ mein thi. woh aadmi bahot ameer tha. uske paas 3,000 bhedein aur 1,000 bakriyaan thi. woh karmel mein apni bhedon ka oon kataarva raha tha.  us aadmi ka naam naabal+ tha aur uski patni ka naam abeegail.+ abeegail hamesha samajh-boojh se kaam leti thi aur bahot khoobsoorat thi. magar uska pati kathor swabhav ka tha aur sabke saath bura bartav karta tha.+ woh kaalebavanshi+ tha.  jab daavid veerane mein tha tab usne suna ki naabal apni bhedon ka oon kataarva raha hai.  usne apne das javanon ko yah kehkar naabal ke paas bheja, “tum oopar karmel jaao aur naabal se milkar kaho ki mainne uski khairiyat poochhi hai.  fir tum usse kehna, ‘tu lambee umra jeeye, tu* aur tera gharana aur tera sabkuch salamat rahe.  mainne suna hai ki tu apni bhedon ka oon kataarva raha hai. jab tere charvahe hamare saath the to hamne kabhi unka nuksan nahin kiya.+ jitne din woh karmel mein rahe unhonne ek bhi jaanvar nahin khoya.  tu chahe to is baare mein apne javanon se poochh sakta hai. ab mere javanon par meharbani kar, hum khushi ke is mauke par tere yahaan aaye hain. tu apne in sevkon ko aur apne bete daavid ko jo kuch de sakta hai de.’”+  daavid ke javan naabal ke paas gaye aur unhonne use daavid ka sandesh diya. jab unhonne apni baat poori ki, 10  to naabal ne unse kaha, “daavid kaun hai? yishai ka beta kaun hai? aajkal jis sevak ko dekho apne maalik se bhaagta firta hai.+ 11  mainne yah roti-paani aur gosht ka intazam oon kataarnevale apne sevkon ke liye kiya hai. kya main yah sab uthakar aise logon ko de doon jo pata nahin kahaan se chale aate hain?” 12  tab daavid ke javan vahaan se laut gaye aur unhonne daavid ko saari baatein sunayin. 13  daavid ne fauran apne aadmiyon se kaha, “sab log apni-apni talvar baandh lo!”+ un sabne apni-apni talvar baandh li aur daavid ne bhi apni talvar baandh li. daavid ke saath kareeb 400 aadmi nikaal pade jabki 200 aadmi saaman ki dekhbhal ke liye reh gaye. 14  is beech naabal ke ek sevak ne uski patni abeegail ko bataya, “daavid ne veerane se apne dooton ke haath hamare maalik ke liye shubhkamnayen bhejin. magar maalik un par baras pada aur unki beizzati ki.+ 15  jab hum un aadmiyon ke saath maidanon mein the, to unhonne kabhi hamara nuksan nahin kiya. jitne din hum unke saath the, hamara ek bhi jaanvar gum nahin hua.+ 16  jab hum jhund ki charvahi karte the, to unhonne ek baade ki tarah din-raat hamari hifazat ki thi. 17  ab hamare maalik aur uske poore gharane par museebat aanevali hai.+ maalik aisa nikamma aadmi hai+ ki hammein se koi usse baat nahin kar sakta. isliye ab tujhe hi kuch karna hoga.” 18  tab abeegail+ ne fauran khaane-peene ki dher saari cheezen gadhon par laadin. usne 200 rotiyaan, do bade-bade matke daakh-madira, paanch halal ki hui bhedein, paanch sa* bhuna hua anaj, 100 kishmish ki tikiyaan aur 200 anjeer ki tikiyaan lin aur gadhon par laadin.+ 19  fir usne apne sevkon se kaha, “tum log aage-aage chalo, main tumhare peechhe aati hoon.” magar usne apne pati naabal ko kuch nahin bataya. 20  abeegail gadhe par baithi pahad ki aad mein neeche chali jaa rahi thi ki tabhi raaste mein uski mulakat daavid aur uske aadmiyon se hui jo uski taraf aa rahe the. 21  abeegail se milne se pehale daavid keh raha tha, “mainne veerane mein bekar hi us aadmi ki har cheez ki hifazat ki. mere rehte uska ek bhi jaanvar gum nahin hua,+ magar aaj woh meri bhalai ka yah sila de raha hai.+ 22  agar mainne kal subah tak uske ek bhi aadmi ko zinda chhoda to parmeshvar daavid ke in dushmanon ko* kadi-se-kadi saza de.” 23  jaise hi abeegail ki nazar daavid par padi, woh fauran gadhe se utri aur usne daavid ke saamne zameen par girkar use pranam kiya. 24  fir woh daavid ke pairon par girkar kehne lagi, “mere maalik, apni daasi ko kuch kehne ki ijazat de. jo bhi hua hai uske liye tu chahe to mujhe doshi thehra de, magar apni daasi ki baat maan le. 25  us nikamme naabal par dhyan mat de.+ jaisa uska naam hai vaisi uski fitrat hai. uska naam naabal* hai, aur woh moorkhon jaisa hi bartav karta hai. maalik, toone jin javanon ko hamare yahaan bheja tha, unhein mainne nahin dekha tha. 26  mere maalik, yahova ke jeevan ki aur tere jeevan ki shapath, yahova ne hi tujhe khoon ka doshi+ banne aur apne haathon se badla lene* se rok liya hai.+ tere dushmanon ka aur jo tera bura karne ki taak mein ghoom rahe hain unka vahi haal ho jo naabal ka hoga. 27  maalik, ab tu apni daasi ke haath se yah tohfa+ kabool kar, jo main tere sevkon ke liye laayi hoon.+ 28  meharbani karke apni daasi ka apradh maaf kar de. yahova zaroor tere vanshajon ko sada tak raaj karne ka adhikar dega,+ kyonki tu yahova ki taraf se yuddh karta hai.+ toone zindagi mein kabhi koi bura kaam nahin kiya hai.+ 29  jab koi teri jaan lene ke liye tera peechha kare, tab tera parmeshvar yahova teri jaan ki vaise hi hifazat karega jaise koi apni keemti cheezen thaili mein baandhkar hifazat se rakhta hai. aur woh tere dushmanon ka jeevan aise door feinkega, jaise gofan se patthar door feinka jaata hai. 30  jab yahova tere saath woh saare bhalai ke kaam karega, jinka usne vaada kiya hai aur tujhe israel ka aguva thehrayega,+ 31  tab tera man tujhe is baat ke liye nahin dhikkarega aur tujhe koi pachhtava nahin hoga ki toone bevajah khoon bahaya hai aur khud apne haathon se badla liya hai.*+ mere maalik, jab yahova tujhe aasheesh dega tab tu apni daasi ko yaad karna.” 32  tab daavid ne abeegail se kaha, “israel ke parmeshvar yahova ki badai ho jisne aaj tujhe mere paas bheja hai! 33  parmeshvar tujhe aasheesh de kyonki toone samajhdari se kaam liya hai. aaj toone mujhe khoon ka doshi banne se aur apne haathon se badla lene* se rok liya hai,+ parmeshvar tujhe aasheesh de. 34  israel ke parmeshvar yahova ke jeevan ki shapath, jisne mujhe tera nuksan karne se rok liya hai,+ agar tu fauran mere paas na aati+ to kal subah tak naabal ke gharane ka ek bhi aadmi zinda nahin bachta.”+ 35  iske baad daavid ne abeegail ka tohfa kabool kiya aur usse kaha, “tu befikra hokar ghar jaa. dekh, mainne teri baat maan li hai. main teri guzarish poori karoonga.” 36  baad mein abeegail naabal ke paas lauti. us vakt woh apne ghar par raja ki tarah daavat uda raha tha aur woh* bahot khush tha. woh peekar dhutt ho gaya tha. abeegail ne naabal ko subah tak kuch nahin bataya. 37  subah jab naabal ka nasha utra to uski patni abeegail ne use saara haal keh sunaya. jab naabal ne yah sab suna to woh patthar-saa sunna ho gaya, uske dil ne maano kaam karna band kar diya. 38  kareeb das din baad yahova ne naabal ko maara aur woh mar gaya. 39  jab daavid ko naabal ki maut ki khabar mili to usne kaha, “yahova ki badai ho kyonki naabal ne meri jo beizzati ki thi+ us maamle mein yahova ne nyay kiya+ aur mujhe bura kaam karne se rok diya.+ parmeshvar ne naabal ke bure kaamon ka anjam usi ke sir daal diya hai!” iske baad daavid ne abeegail ke paas sandesh bheja ki woh use apni patni banana chahta hai. 40  daavid ke sevkon ne karmel aakaar abeegail se kaha, “daavid ne hamare haath yah sandesh bheja hai ki woh tujhe apni patni banana chahta hai.” 41  abeegail ne fauran munh ke bal zameen par girkar kaha, “teri yah daasi apne maalik ke sevkon ke pair dhone+ ke liye taiyar hai.” 42  fir abeegail+ fauran uthi aur apne gadhe par savaar hokar nikaal padi. uski paanch daasiyaan uske peechhe-peechhe gayin. abeegail daavid ke dooton ke saath uske paas gayi aur uski patni ban gayi. 43  daavid ne yijrel+ ki rehnevali aheenoam+ se bhi shaadi ki thi. is tarah woh donon uski patniyaan ban gayin.+ 44  magar shaaool ne apni beti yaani daavid ki patni meekal+ ki shaadi, laish ke bete palti+ se kara di thi jo galleem ka rehnevala tha.

kai footnote

yah karmel pahad nahin balki yahooda ka ek shehar hai.
ya “tujhe shaanti mile.”
ek sa 7.33 li. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya shaayad, “parmeshvar daavid ko.”
matlab “moorkh.”
ya “uddhaar karane.”
ya “uddhaar kiya hai.”
ya “uddhaar karne.”
shaa., “naabal ka dil.”