thisslunikiyon ke naam pehali chitthi 4:1-18
4 bhaaiyo, tumne hamse seekha tha ki parmeshvar ko khush karne ke liye tumhara chaalchalan kaisa hona chahiye+ aur vaakai tumhara chaalchalan aisa hi hai. ab aakhir mein, hum prabhu yeeshu ke naam se tumse guzarish karte hain aur tumhein badhava dete hain ki tum poori tarah aisa karte raho.
2 tum jaante ho ki hamne prabhu yeeshu ki taraf se tumhein kya-kya hidaytein* di thi.
3 parmeshvar ki marzee yahi hai ki tum pavitra bane raho+ aur naajayaz yaun-sambandhon* se door raho.+
4 aur tummein se har koi pavitrata+ aur aadar ke saath apne shareer* ko kaaboo mein rakhna jaane,+
5 na ki laalach se aur bekaboo hokar apni vaasnayen poori kare,+ jaisa un raashtron ke log karte hain jo parmeshvar ko nahin jaante.+
6 koi bhi is maamle mein apni had paar na kare aur apne bhaai ka faayda na uthaye kyonki yahova* in sab kaamon ki saza deta hai, theek jaise hum tumhein pehale bhi bata chuke hain aur kadi chetavni de chuke hain.
7 isliye ki parmeshvar ne hamein ashuddh kaamon ke liye nahin, balki pavitra banne ke liye bulaya hai.+
8 isliye jo insan is baat ko thukrata hai woh kisi insan ko nahin balki us parmeshvar ko thukrata hai+ jo tumhein apni pavitra shakti deta hai.+
9 magar jahaan tak bhaaiyon jaisa pyar+ karne ki baat hai, is maamle mein hamein tumhein kuch likhne ki zaroorat nahin, kyonki tumhein khud parmeshvar ne ek-doosre se pyar karna sikhaya hai.+
10 aur vaakai tum makiduniya ke sabhi bhaaiyon se pyar kar rahe ho. magar bhaaiyo, hum tumhein badhava dete hain ki tum aur bhi zyada aisa karte raho.
11 aur jaisa hamne tumhein hidayat di thi, tum apna yah lakshya bana lo ki tum shaanti se jeevan bitaoge,+ apne kaam se kaam rakhoge+ aur apne haathon se mehnat karoge+
12 taaki tum baaharvalon ki nazar mein sharafat se jeenevale thahro+ aur tumhein kisi cheez ki kami na ho.
13 iske alava bhaaiyo, hum nahin chahte ki tum is baat se anjan raho ki jo maut ki nind so rahe hain unka bhavishya kya hai+ taaki tum un logon ki tarah maatam na manao jinke paas koi aasha nahin hai.+
14 agar hamein vishvas hai ki yeeshu mara aur zinda kiya gaya,+ to hamein yah bhi vishvas hai ki jo log yeeshu ke saath ekta mein maut ki nind so gaye hain unhein parmeshvar, yeeshu ke zariye zinda karega.+
15 kyonki hum yahova* ke vachan se tumhein batate hain ki hammein se jo prabhu ki maujoodgi ke dauran ji rahe honge, hum kisi bhi haal mein unse aage nahin badheinge jo maut ki nind so chuke hain.
16 kyonki prabhu khud pradhan swargdoot+ ki damdar aavaz se pukar lagata hua swarg se utrega aur parmeshvar ki turhi foonki jaayegi aur jo maseeh ke saath ekta mein mar gaye hain woh pehale zinda honge.+
17 iske baad hum jo zinda hain aur jo bache raheinge, hum unke saath baadlon mein utha liye jaayenge+ taaki hum hava mein prabhu se milein.+ is tarah hum hamesha prabhu ke saath raheinge.+
18 isliye in baaton se ek-doosre ko dilasa dete raho.