kurinthiyon ke naam doosri chitthi 10:1-18

  • paulus apni seva ki pairvi karta hai (1-18)

    • hamare hathiyar duniyavi nahin (4, 5)

10  ab main paulus khud maseeh ki komalta aur kripa ka vaasta dekar tumhein samjhata hoon,+ bhale hi tumhein lagta hai ki jab main tumhare beech rehta hoon to gaya-guzra dikhayi deta hoon+ aur jab main tumhare beech nahin hota to tumhare saath sakhti se pesh aata hoon.+  main ummeed karta hoon ki jab main tumhare beech rahoonga to mujhe tumhare saath sakhti na baratni pade, jaise mujhe shaayad un logon ke saath baratni padegi jinka maanna hai ki hum duniyavi tareeke se chalte hain.  haalanki hum bhi is duniya mein rehte hain, magar hum duniyavi tareeke se yuddh nahin ladte.  kyonki hamare yuddh ke hathiyar duniyavi nahin hain,+ balki aise shaktishali hathiyar hain jo parmeshvar ne hamein diye hain+ taaki hum gehrai tak samayi hui baaton ko jad se ukhaad sakein.  hum aisi daleelon ko aur har aisi unchi baat ko jo parmeshvar ke gyaan ke khilaf khadi ki jaati hai,+ ulat dete hain aur harek vichar ko jeetkar use kaid kar lete hain taaki use maseeh ki aagya maannevala bana dein.  hum aagya na maannevale har insan ko saza dene ke liye taiyar hain,+ magar isse pehale tum saabit karo ki tum poori tarah aagya maante ho.  tum baahri roop dekhkar raay kaayam karte ho. agar kisi ko poora bharosa hai ki woh maseeh ka hai, to woh is sachchai par dobara gaur kare ki jaise woh maseeh ka hai, vaise hi hum bhi maseeh ke hain.  prabhu ne hamein yah adhikar diya hai ki hum tumhari himmat bandhayen, na ki tumhein girayen.+ is adhikar ke baare mein agar main kuch zyada hi garv karoon, to bhi mujhe sharminda nahin hona padega.  main nahin chahta ki tumhein aisa lage ki main apni chitthiyon se tumhein darane ki koshish kar raha hoon. 10  woh kehte hain, “uski chitthiyaan to vazandar aur damdar hain, magar jab woh hamare beech hota hai to kamzor jaan padta hai aur uski baatein sunnae laayak nahin hotin.” 11  jo yah baat kehta hai, woh jaan le ki hum door rehkar apni chitthiyon mein jo kehte hain vahi hum tumhare beech rehte vakt karke bhi dikhayenge.+ 12  isliye ki hum nahin chahte ki hum apni ginti un logon mein karein ya apni tulna unse karein jo apni taareef khud karte hain.+ jab woh apne hi naap se khud ko naapte hain aur apni tulna khud se karte hain, to dikhate hain ki unmein samajh nahin hai.+ 13  magar hum us seema se baahar jaakaar shekhi nahin maareinge jo hamare liye thehrayi gayi hai. parmeshvar ne naapkar jo ilaka hamein diya hai, jismein tum bhi aate ho, uski seema mein rehte huye hum garv kareinge.+ 14  hum vaakai apni seema ke daayre se aage nahin badh rahe, maano tum hamare ilake mein nahin aate ho. kyonki hamne hi sabse pehale tum tak maseeh ki khushkhabri pahunchayi thi.+ 15  beshak, hum thehrayi seema se baahar jaakaar kisi doosre ki mehnat par shekhi nahin maar rahe, balki hum yah aasha rakhte hain ki jaise-jaise tumhara vishvas badhta jaayega, vaise-vaise hamara kaam us ilake mein tarakki karta jaayega jo hamein diya gaya hai. iske baad hamara kaam badhta jaayega 16  taaki hum tumse aage ke deshon mein bhi khushkhabri suna sakein aur hum kisi aur ke kaam par shekhi na maarein jo uske ilake mein pehale hi ho chuka hai. 17  “magar jo garv karta hai, woh yahova* ke baare mein garv kare.”+ 18  isliye ki jo apni taareef khud karta hai woh nahin+ balki jiski taareef yahova* karta hai, vahi uski manzoori paata hai.+

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.