doosra raja 2:1-25

  • eliyah aandhi mein utha liya gaya (1-18)

    • uski poshak eleesha ko mili (13, 14)

  • eleesha ne paani peene laayak banaya (19-22)

  • reechhniyon ne ladkon ko maar daala (23-25)

2  jab yahova eliyah+ ko ek aandhi ke zariye aasman ki taraf utha lenevala tha+ to eliyah aur eleesha+ gilgal+ se nikle.  eliyah ne eleesha se kaha, “tu yahin thahar jaa kyonki yahova ne mujhe betel jaane ke liye kaha hai.” magar eleesha ne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath aur tere jeevan ki shapath, main tera saath nahin chhodoonga.” isliye woh donon neeche betel+ gaye.  betel mein bhavishyavaktaon ke bete* eleesha ke paas aakaar kehne lage, “kya tujhe pata hai, aaj yahova tere maalik ko tujhse door le jaanevala hai, tera mukhiya tujhse juda honevala hai?”+ usne kaha, “haan, mujhe pata hai. tum is baare mein baat mat karo.”  fir eliyah ne eleesha se kaha, “eleesha, tu yahin thahar jaa kyonki yahova ne mujhe yareeho jaane ke liye kaha hai.”+ magar usne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath aur tere jeevan ki shapath, main tera saath nahin chhodoonga.” isliye woh donon yareeho gaye.  yareeho mein bhavishyavaktaon ke bete the, woh eleesha ke paas aakaar kehne lage, “kya tujhe pata hai, aaj yahova tere maalik ko tujhse door le jaanevala hai, tera mukhiya tujhse juda honevala hai?” usne kaha, “haan, mujhe pata hai. tum is baare mein baat mat karo.”  fir eliyah ne eleesha se kaha, “tu yahin thahar jaa kyonki yahova ne mujhe yardan nadi ke paas jaane ke liye kaha hai.” magar usne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath aur tere jeevan ki shapath, main tera saath nahin chhodoonga.” isliye woh donon aage gaye.  bhavishyavaktaon ke beton mein se 50 aadmi bhi unke saath gaye. jab eliyah aur eleesha yardan nadi ke paas pahunche to woh bhavishyavakta door khade unhein dekhne lage.  eliyah ne apni poshak*+ utaari aur use modkar paani par maara aur nadi ka paani daayin aur baayin taraf hatkar do hisson mein bat gaya. tab woh donon beech mein sookhi zameen par chalkar nadi ke us paar gaye.+  jaise hi woh donon us paar pahunche, eliyah ne eleesha se kaha, “isse pehale ki parmeshvar mujhe tujhse door le jaaye, tu jo chahe mujhse maang le.” eleesha ne kaha, “parmeshvar ne tujhe jo shakti* di hai+ kya uske do hisse+ mujhe mil sakte hain?” 10  eliyah ne kaha, “toone ek mushkil cheez maangi hai. jab mujhe tujhse door le jaaya jaayega, tab agar tu mujhe dekhega to toone jo maanga hai woh tujhe mil jaayega. lekin agar tu mujhe nahin dekhega to tujhe woh nahin milega.” 11  jab woh donon baatein karte huye saath-saath chal rahe the, tab achanak ek rath aur kuch ghode dikhayi pade jo aag ki tarah tez chamak rahe the+ aur unhonne un donon ko alag kar diya. fir eliyah ek aandhi mein aasman ki taraf oopar uthne laga.+ 12  eleesha jab yah sab dekh raha tha to woh zor-zor se keh raha tha, “hey mere pita, hey mere pita! dekh, israel ka rath aur uske ghudsavaar!”+ jab eliyah uski aankhon se ojhal ho gaya, to usne apne kapde faadkar do tukde kar diye.+ 13  iske baad usne eliyah ki poshak*+ uthayi jo neeche gir gayi thi. fir woh vaapas yardan nadi ke kinare gaya aur vahaan khada ho gaya. 14  usne eliyah ki poshak li aur use paani par maara aur kaha, “eliyah ka parmeshvar yahova kahaan hai?” jab usne poshak paani par maari, to nadi ka paani daayin aur baayin taraf hatkar do hisson mein bat gaya aur eleesha beech se chalta hua us paar gaya.+ 15  jab yareeho ke bhavishyavaktaon ne door se use dekha to unhonne kaha, “eliyah ki shakti ab eleesha mein aa gayi hai.”+ fir woh usse milne uske paas gaye aur unhonne uske saamne zameen par girkar use pranam kiya. 16  unhonne usse kaha, “dekh, ab teri seva mein 50 kaabil aadmi haazir hain. ijazat ho to woh jaakaar tere maalik ko dhoondh laayenge. ho sakta hai yahova ki pavitra shakti* use uthakar le gayi ho aur use kisi pahad par ya kisi ghaati mein chhod diya ho.”+ magar eleesha ne kaha, “unhein mat bhejo.” 17  fir bhi woh usse baar-baar kehte rahe, isliye woh uljhan mein pad gaya aur usne kaha, “theek hai, bhej do unhein.” unhonne eliyah ko dhoondhne 50 aadmiyon ko bheja. woh teen din tak use dhoondhte rahe, magar woh unhein nahin mila. 18  woh eleesha ke paas laut aaye jo us vakt yareeho+ mein thehra tha. usne unse kaha, “mainne tumhein jaane se mana kiya tha na!” 19  kuch samay baad yareeho shehar ke aadmiyon ne eleesha se kaha, “maalik, tu dekh sakta hai ki hamara shehar kitni achhi jagah par basa hai.+ magar yahaan ka paani kharab hai aur zameen banjar hai.”* 20  eleesha ne kaha, “ek nayi katori lo aur usmein namak daalkar mere paas laao.” unhonne ek katori mein namak daalkar use diya. 21  eleesha paani ke sote ke paas gaya aur usne us par namak feinkkar+ kaha, “yahova kehta hai, ‘mainne is paani ko peene laayak kar diya hai. ab se iski vajah se na to kisi ki maut hogi, na koi aurat baanjh rahegi.’”* 22  jaise eleesha ne kaha tha, vahaan ka paani peene laayak ho gaya aur aaj tak aisa hi hai. 23  iske baad eleesha vahaan se betel gaya. jab woh betel ki taraf oopar jaa raha tha to shehar se kuch ladke baahar aaye aur uski khilli udane lage,+ “o ganje! jaa oopar jaa! o ganje, jaa oopar jaa!” 24  kuch der baad, eleesha ne mudkar unki taraf dekha aur yahova ke naam se unhein shaap diya. tab jangal se do reechhniyaan+ nikaalkar aayin aur unmein se 42 bachchon ko faad daala.+ 25  fir eleesha vahaan se aage badhta hua karmel pahad+ par gaya aur vahaan se saamriya laut gaya.

kai footnote

“bhavishyavaktaon ke beton” ka matlab shaayad bhavishyavaktaon ka dal tha ya bhavishyavaktaon ka ek sangh tha jismein unhein taaleem di jaati thi.
ya “bhavishyavakta ki poshak.”
yahaan shakti ka matlab parmeshvar ki pavitra shakti ya eliyah ka swabhav ho sakta hai.
ya “bhavishyavakta ki poshak.”
ya “aandhi.”
ya shaayad, “zameen garbh gira deti hai.”
ya shaayad, “na kisi ka garbh girega.”