doosra shamooel 10:1-19
-
ammon aur seeriya par jeet (1-19)
10 baad mein ammoniyon+ ke raja ki maut ho gayi aur uski jagah uska beta haanoon raja bana.+
2 tab daavid ne kaha, “haanoon ka pita naahash jis tarah mere saath kripa* se pesh aaya tha, usi tarah main bhi haanoon ke saath pesh aaunga.” isliye daavid ne haanoon ko dilasa dene ke liye uske paas apne sevak bheje. magar jab daavid ke sevak ammoniyon ke desh gaye
3 to ammoniyon ke haakimon ne apne maalik haanoon se kaha, “tujhe kya lagta hai, kya daavid ne vaakai tere pita ka samman karne aur tujhe dilasa dene ke liye apne sevak bheje hain? nahin. usne to hamare shehar ko dekh aane aur uski jaasoosi karne ke liye apne aadmi bheje hain taaki baad mein aakaar iska takhta ulat de.”
4 tab haanoon ne daavid ke sevkon ko pakadkar un sabki ek taraf ki daadhi mundva di+ aur kamar se neeche ke unke kapde katva diye aur fir unhein bhej diya.
5 jab daavid ko bataya gaya ki unke saath kaisa salook kiya gaya hai to usne fauran apne aadmiyon ko un sevkon se milne bheja kyonki unka ghor apman hua tha. raja ne unke paas yah sandesh bheja: “jab tak tumhari daadhi fir nahin badh jaati tab tak tum yareeho+ mein hi rehna. uske baad tum yahaan laut aana.”
6 kuch samay baad ammoni log samajh gaye ki unhonne daavid se dushmani mol li hai. isliye ammoniyon ne doosre deshon mein apne doot bheje aur vahaan se kiraye par aadmi mangaye. bet-rahob+ aur soba se 20,000 seeriyai aadmi+ aaye jo paidal sainik the. maaka+ ka raja apne 1,000 aadmiyon ke saath aaya aur ishtob* se 12,000 aadmi aaye.+
7 jab daavid ne is baare mein suna to usne yoab ke saath apni poori sena ko aur bade-bade soormaon ko bheja.+
8 ammoni log dal baandhkar shehar ke faatak par tainat ho gaye, jabki soba aur rahob ke seeriyai log aur ishtob* aur maaka ke aadmi unse alag khule maidan mein the.
9 jab yoab ne dekha ki dushman ki senayen us par aage-peechhe donon taraf se hamla karne ke liye khadi hain, to usne israel ke sabse badhiya sainik chune aur unhein dal baandhkar seeriyai logon ka mukabla karne ke liye tainat kiya.+
10 usne baaki sainikon ko apne bhaai abeeshai ki kaman* ke neeche tainat kiya+ aur unhein dal baandhkar ammoniyon+ ka mukabla karne bheja.
11 usne abeeshai se kaha, “agar seeriyai sena mujh par bhaari pade to tu mujhe bachane aana aur agar ammoni log tujh par bhaari pade to main tujhe bachane aaunga.
12 hamein apne logon ki khaatir aur apne parmeshvar ke shehron ki khaatir mazboot bane rehna hoga aur himmat se ladna hoga+ aur yahova vahi karega jo use sahi lagta hai.”+
13 fir yoab aur uske aadmi seeriyai logon ka mukabla karne aage badhe aur seeriyai log uske saamne se bhaag gaye.+
14 jab ammoniyon ne dekha ki seeriyai log bhaag gaye hain to woh abeeshai ke saamne se bhaag gaye aur apne shehar ke andar chale gaye. iske baad yoab ammoniyon ke yahaan se yarooshalem laut aaya.
15 jab seeriyai logon ne dekha ki woh israel se haar gaye hain to unhonne fir se yuddh ke liye apni sena ikatthi ki.+
16 hadad-ejer+ ne mahanadi*+ ke ilake ke seeriyai logon ko bulvaya aur woh hadad-ejer ki sena ke senapati shobak ki aguvai mein helam aaye.
17 jab daavid ko iski khabar di gayi to usne fauran poori israeli sena ko ikattha kiya aur yardan paar karke helam gaya. tab seeriyai logon ne daavid se m
ukabla karne ke liye dal baandha aur usse yuddh kiya.+
18 magar seeriyai log israel se haarkar bhaag gaye aur daavid ne unke 700 saarthiyon aur 40,000 ghudsavaaron ko maar daala. usne unke senapati shobak par vaar kiya aur woh vahin mar gaya.+
19 jab hadad-ejer ke adheen sab raajaon ne dekha ki woh israel se haar gaye hain to unhonne bina der kiye israel ke saath sulah kar li aur woh uski praja ban gaye.+ iske baad fir kabhi seeriyai logon ne ammoniyon ki madad karne ki himmat nahin ki.
kai footnote
^ ya “atal pyar.”
^ ya “tob ke aadmiyon.”
^ ya “tob ke aadmi.”
^ shaa., “ke haath.”
^ yaani farat nadi.