doosra shamooel 7:1-29
7 jab raja daavid apne mahal mein rehne laga+ aur yahova ne use aas-paas ke sabhi dushmanon se raahat dilayi,
2 to raja ne bhavishyavakta naatan+ se kaha, “dekh, main to devdar se bane mahal mein reh raha hoon,+ jabki sachche parmeshvar ka sandook kapde se bane tamboo mein rakha hua hai.”+
3 naatan ne raja se kaha, “jaa, tere man mein jo kuch hai woh kar kyonki yahova tere saath hai.”+
4 usi din, raat ko yahova ka yah sandesh naatan ke paas pahuncha,
5 “tu jaakaar mere sevak daavid se kehna, ‘yahova tujhse kehta hai, “kya tu mere nivas ke liye ek bhavan banana chahta hai?+
6 jab se main israel ke logon ko misra se nikaal laaya, tab se lekar aaj tak kya mainne kisi bhavan mein nivas kiya hai?+ main hamesha ek tamboo ya dere mein rehkar ek jagah se doosri jagah jaata raha.+
7 jis dauran main apni praja israel ke saath-saath chalta raha aur mainne uske gotron par pradhan thehraye the ki woh charvahon ki tarah unki dekhbhal karein, tab kya mainne kabhi kisi pradhan se kaha ki toone mere liye devdar ka bhavan kyon nahin banaya?”’
8 tu mere sevak daavid se kehna, ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “main tujhe charagahon se le aaya tha jahaan tu bhedon ki dekhbhal karta tha+ aur tujhe apni praja israel ka aguva banaya.+
9 tu jahaan kahin jaayega main tere saath rahoonga+ aur tere saamne se tere sabhi dushmanon ko naash kar doonga+ aur tera naam aisa mahan karoonga+ ki tu duniya ke bade-bade naami aadmiyon mein gina jaayega.
10 main apni praja israel ke liye ek jagah chunoonga aur vahaan unhein basaunga. woh vahaan chain se jeeyenge, koi unhein dukh nahin dega. un par dusht log atyachar nahin kareinge, jaise guzre vakt mein+
11 dusht mere logon par tab se atyachar karte rahe jab mainne un par nyayi thehraye the.+ main tujhe tere sabhi dushmanon se raahat dilaunga.+
yahova tujhse yah bhi kehta hai ki yahova tere liye ek raaj-gharana taiyar karega.+
12 jab teri umra poori ho jaayegi+ aur teri maut ho jaayegi* to main tere vansh* ko, tere apne bete ko* khada karoonga aur uska raaj mazbooti se kaayam karoonga.+
13 vahi mere naam ki mahima ke liye ek bhavan banayega+ aur main uski raajgaddi sada ke liye mazbooti se kaayam karoonga.+
14 main uska pita banoonga aur woh mera beta hoga.+ jab woh galti karega to main use sudhaaroonga* aur insanon ki tarah kode maarkar use saza doonga.+
15 main usse pyar* karna kabhi nahin chhodoonga, jaise mainne shaaool se karna chhod diya tha jo tujhse pehale tha.+
16 tera raaj-gharana aur tera raaj tere saamne hamesha bane raheinge. teri raajgaddi sada tak kaayam rahegi.”’”+
17 naatan ne jaakaar ye saari baatein aur yah poora darshan daavid ko bataya.+
18 tab raja daavid yahova ke saamne baithkar kehne laga, “hey saare jahan ke maalik yahova, meri hasti hi kya hai? main aur mera gharana kuch bhi nahin. fir bhi toone mujhe uncha uthakar is mukam tak pahunchaya.+
19 hey saare jahan ke maalik yahova, toone yah bhi vaada kiya hai ki tere sevak ka raaj-gharana muddaton tak kaayam rahega. hey saare jahan ke maalik yahova, yah kaanoon* sabhi insanon ke liye hai.
20 tera yah sevak daavid bhala tujhse aur kya keh sakta hai? hey saare jahan ke maalik yahova, tu apne sevak ko achhi tarah jaanta hai.+
21 toone ye saare mahan kaam isliye kiye hain kyonki toone aisa karne ka vaada kiya tha aur yah tere man ki ichha ke mutabik tha. aur toone yah sab apne sevak par zahir kiya hai.+
22 iseeliye hey saare jahan ke maalik yahova, tu sachmuch mahan hai!+ tere jaisa aur koi nahin.+ hamne bahot-se ishvaron ke baare mein suna hai, magar tujhe chhod aur koi parmeshvar nahin.+
23 aur is dharti par teri praja israel jaisa kaun-saa raashtra hai?+ parmeshvar jaakaar unhein chhuda laaya taaki woh uske apne log banein.+ usne unki khaatir mahan aur vismaykari kaam karke+ apna naam uncha kiya.+ toone apne logon ko misra se chhudane ke baad unki khaatir doosri jaatiyon ko aur unke devtaon ko khadedkar baahar kar diya.
24 toone apni praja israel ko hamesha ke liye apne log bana liya+ aur hey yahova, tu unka parmeshvar ban gaya.+
25 ab hey yahova parmeshvar, toone apne sevak aur uske gharane ke baare mein jo vaada kiya hai, use tu hamesha nibhaye aur theek vaisa hi kare jaisa toone vaada kiya hai.+
26 tera naam sada uncha rahe+ taaki log kahein, ‘senaon ka parmeshvar yahova israel ka parmeshvar hai’ aur tere sevak daavid ka raaj-gharana tere saamne sada tak mazbooti se kaayam rahe.+
27 hey senaon ke parmeshvar yahova, hey israel ke parmeshvar, toone apne sevak par yah baat zahir ki hai ki main tere liye ek raaj-gharana banaunga.+ iseeliye tera yah sevak tujhse yah prarthna karne ki himmat juta paaya hai.
28 hey saare jahan ke maalik yahova, tu hi sachcha parmeshvar hai aur tere vachan sachche hain+ aur toone apne sevak se in bhale kaamon ka vaada kiya hai.
29 isliye meri dua hai ki tu apne sevak ke gharane ko khushi-khushi aasheesh de aur yah gharana tere saamne hamesha kaayam rahe+ kyonki hey saare jahan ke maalik yahova, toone hi yah vaada kiya hai aur teri aasheesh tere sevak ke gharane par sada bani rahe.”+
kai footnote
^ shaa., “tu apne purkhon ke saath so jaayega.”
^ shaa., “beej.”
^ shaa., “jo tere androoni angon se niklega usko.”
^ shaa., “insanon ki chhadi se use sudhaaroonga.”
^ ya “atal pyar.”
^ ya “hidayat.”