bhajan 102:1-28
ek sataye huye insan ki us samay ki prarthna jab woh dukh se behal hota hai* aur apni saari chintayen yahova ko batata hai.+
102 hey yahova, meri prarthna sun,+meri madad ki pukar tere paas pahunche.+
2 main badi museebat mein hoon, mujhse munh na fer.+
meri taraf kaan laga,*jab main pukaroon to fauran javab de.+
3 kyonki meri zindagi ke din dhuyen ki tarah gaayab ho rahe hain,meri haddiyaan maano bhatthi ki tarah jal rahi hain.+
4 mere dil ka haal us ghaas jaisa hai,jo dhoop ki maar se murjha gayi hai,+meri bhookh mar gayi hai.
5 main zor-zor se karahta rehta hoon,+isliye meri chamdi haddiyon se chipak gayi hai.+
6 main veerane ke havaasil jaisa dikh raha hoon,main khandharon mein rehnevale chhote ulloo jaisa ban gaya hoon.
7 main lete-lete jaagta rehta hoon,*main us panchhi ki tarah hoon jo chhat par tanha baitha rehta hai.+
8 mere dushman saara din mujhe taana maarte hain.+
meri khilli udanevale* mera naam lekar shaap dete hain.
9 raakh meri roti hai,+main aansoo mila paani peeta hoon.+
10 kyonki tera krodh aur teri jaljalahat mujh par bhadki hai,toone mujhe uthakar feink diya hai.
11 meri zindagi ke din ghatti* chhaaya jaise ho gaye hain+aur main ghaas ki tarah murjha raha hoon.+
12 magar hey yahova, tu sada bana rehta hai,+tera yash* peedhi-peedhi tak kaayam rahega.+
13 beshak tu uthega aur siyyon par daya karega,+kyonki woh ghadi aa gayi hai ki tu us par kripa kare,+tay vakt aa chuka hai.+
14 tere sevkon ko uske pattharon se khushi milti hai+aur woh uski dhool tak se lagav rakhte hain.+
15 raashtra yahova ke naam ka dar maaneinge,dharti ke sabhi raja teri mahima dekhkar tera dar maaneinge.+
16 kyonki yahova siyyon ko dobara basayega,+woh poori mahima ke saath prakat hoga.+
17 woh besahara logon ki prarthna par dhyan dega,+unki prarthna ko tuchh nahin jaanega.+
18 yah baat aanevali peedhi ke liye likhi gayi hai+taaki woh raashtra jo paida hoga,* yaah ki taareef kare.
19 woh apne unche pavitra-sthan se neeche dekhta hai,+yahova swarg se dharti par nazar daalta hai
20 taaki kaidiyon ka karahna sune,+jinhein maut ki saza sunayi gayi hai, unhein chhudaye.+
21 isse siyyon mein yahova ke naam ka ailan kiya jaayega+yarooshalem mein uski taareef ki jaayegi,
22 jab desh-desh aur raajya-raajya ke logyahova ki seva karne ke liye ikattha honge.+
23 usne vakt se pehale hi meri taakat chheen li,mere din ghata diye.
24 mainne kaha, “hey mere parmeshvar,tu jiska vajood peedhi-peedhi tak kaayam rehta hai,+mujhe mita na dena, abhi to mainne aadhi umra hi ji hai.
25 muddaton pehale toone prithvi ki buniyad daali thi,aakash tere haath ki rachna hai.+
26 woh to naash ho jaayenge, magar tu sada kaayam rahega.
ek kapde ki tarah woh sab purane ho jaayenge,ek kapde ki tarah tu unhein badal dega aur woh mit jaayenge.
27 magar tu hamesha se jaisa tha vaisa hi hai,teri umra ke saal kabhi khatm na honge.+
28 tere sevkon ke bachche mehfooz base raheinge,unki santan tere saamne bani rahegi.”+
kai footnote
^ ya “woh kamzor hota hai.”
^ ya “jhukkar meri sun.”
^ ya shaayad, “main sookhkar kaanta ho gaya hoon.”
^ ya “mujhe bevkoof bananevale.”
^ ya “badhti.”
^ ya “naam.” shaa., “teri yaadgar.”
^ shaa., “jo sirja jaayega.”