bhajan 105:1-45
-
yahova vishvasyogya rehkar apne logon ki khaatir kadam uthata hai
105 yahova ka shukriya ada karo,+ uska naam pukaro,uske kaamon ke baare mein desh-desh ke logon ko batao!+
2 uske liye geet gaao, uski taareef mein geet gaao,*uske sabhi aashcharya ke kaamon par gehrai se socho.*+
3 garv se uske pavitra naam ka bakhan karo.+
yahova ki khoj karnevalon ka dil magan ho.+
4 yahova aur usse milnevali taakat ki khoj karo.+
uski manzoori paane ki koshish karo.
5 usne jo aashcharya ke kaam aur chamatkar kiye,jo faisle sunaye unhein yaad karo,+
6 tum jo uske sevak abraham ka vansh ho,+yakub ke bete aur uske chune huye log ho,+ unhein yaad karo.
7 woh hamara parmeshvar yahova hai.+
uske kiye faisle saari dharti par laagoo hain.+
8 woh apna karar sada tak yaad rakhta hai,+woh vaada jo usne hazaron peedhiyon ke liye kiya hai,*+
9 woh karar jo usne abraham se kiya tha,+woh shapath jo usne ishaak se khaayi thi+
10 aur jise yakub ke liye ek aadeshaur israel ke liye sada ka karar bana diya tha
11 aur kaha tha, “main tumhein kanaan desh doonga+taaki yah tumhari tay virasat ho.”+
12 yah usne tab kaha tha jab woh ginti mein kam the,+haan, woh bahot kam the aur us desh mein pardesi the.+
13 woh ek desh se doosre desh mein,ek raajya se doosre raajya mein jaate the.+
14 usne kisi insan ko unhein satane nahin diya,+iske bajay, unki khaatir raajaon ko fatkaara,+
15 unse kaha, “mere abhishikt janon ko haath mat lagana,mere bhavishyavaktaon ke saath kuch bura na karna.”+
16 usne desh mein akaal bheja,+vahaan roti ka milna band kara diya.*
17 usne unse pehale ek aadmi bheja,yoosuf ko bheja jise gulam hone ke liye becha gaya tha.+
18 unhonne tab tak uske pairon mein bediyaan daalin,*+uski gardan mein lohe ki zanjeerein daalin,
19 jab tak ki parmeshvar ki baat sach saabit na hui,+yahova ki kahi baat ne hi use shuddh kiya.
20 raja ne use riha karne ka aadesh bheja,+desh-desh ke logon ke shaasak ne use aazad kar diya.
21 raja ne use apne gharane ka maalik banaya,apni saari jaaydad ka adhikari thehraya+
22 taaki woh apni ichha ke mutabik uske haakimon par poora adhikar rakhe*aur uske buzurgon ko buddhi ki baatein sikhaye.+
23 fir israel misra aaya,+yakub haam ke desh mein pardesi bankar raha.
24 parmeshvar ne apne logon ki ginti khoob badhayi,+usne unhein dushmanon se zyada taakatvar banaya.+
25 usne dushmanon ke dilon ko badalne diyataaki woh uske logon se nafrat karein,uske sevkon ke khilaf saazish rachein.+
26 usne apne sevak moosa ko bheja,+apne chune huye jan haaroon ko bhi bheja.+
27 unhonne unke beech uske chinh dikhaye,haam ke desh mein uske chamatkar dikhaye.+
28 usne andhkar bheja aur desh par andhera chhaa gaya,+unhonne uski aagya ke khilaf bagavat nahin ki.
29 usne unka paani khoon mein badal diyaaur unki machhliyaan maar daalin.+
30 unka desh meindhakon se bhar gaya,+shaahi kothriyon mein bhi meindhak-hi-meindhak the.
31 usne khoon choosnevali makkhiyon ko un par hamla karne ki aagya di,machharon ko unke ilake par dhaava bolne ka hukm diya.+
32 usne un par paani ke badle ole barsayeaur unke desh par bijli girayi.*+
33 unke angooron ke baag aur anjeer ke ped naash kar diye,unke ilake ke ped tahas-nahas kar diye.
34 usne kaha ki tiddiyaan un par hamla karein,tiddiyon ke anginat bachche hamla karein.+
35 woh unke desh ke saare ped-paudhe chat kar gayin,zameen ki saari upaj chat kar gayin.
36 fir usne unke desh ke har pehalauthe ko maar daala,+unki shakti* ki pehali nishani mita di.
37 woh apne logon ko sone-chaandi ke saath nikaal laaya,+uske gotron mein se koi bhi ladkhadakar nahin gira.
38 jab unhonne desh chhoda to misra khush hua,kyonki israel ka* khauf us par chhaa gaya tha.+
39 usne ek baadal ki aad se unhein chhipa liya+
aur raat ke vakt aag se unhein raushni di.+
40 unke maangne par woh bater le aaya,+swarg se roti bhejkar unhein santusht karta raha.+
41 usne ek chattan cheeri aur paani ki dhaara fut nikli,+paani veerane mein aise behene laga jaise koi nadi ho.+
42 usne woh pavitra vaada yaad rakha jo usne apne sevak abraham se kiya tha.+
43 isliye woh apne logon ko baahar le aaya, woh jashna manate huye nikle,+apne chune huon ko baahar le aaya, woh khushi se jayjaykar karte huye nikle.
44 usne unhein doosri jaatiyon ke ilake de diye,+unhonne virasat mein woh paaya jo doosre deshon ki mehnat ka fal tha+
45 taaki woh uske aadeshon ka paalan karein+aur uske kaanoon maanein.
yaah ki taareef karo!*
kai footnote
^ ya “sangeet bajao.”
^ ya shaayad, “ke baare mein batao.”
^ shaa., “us vachan ko, jo usne hazaron peedhiyon ke liye thehraya hai.”
^ shaa., “roti ka har chhad tod diya.” shaayad yahaan roti latkanevale chhadon ki baat ki gayi hai.
^ shaa., “daalkar use dukh diya.”
^ shaa., “ko baandh de.”
^ ya “aag ki laptein girayin.”
^ ya “santan paida karne ki shakti.”
^ shaa., “unka.”
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.