bhajan 109:1-31

  • ek dukhi aadmi ki prarthna

    • ‘uska pad koi aur le le’ (8)

    • parmeshvar gareeb ke paas khada hoga (31)

daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat. 109  hey parmeshvar, jiski main taareef karta hoon,+ tu aur chup na reh.   kyonki dusht aur dhokhebaz mere khilaf bolte hain, apni zaban se mere baare mein jhoothi baatein kehte hain.+   woh mujhe gher lete hain, chubhnevali baatein kehte hain,bevajah mujh par hamla karte hain.+   mere pyar ke badle mera virodh karte hain,+magar main prarthna karne mein laga rehta hoon.   woh meri achhai ka badla burai se dete hain,+mere pyar ke badle mujhse nafrat karte hain.+   us par kisi dusht ko thehra,uske daayen haath ek virodhi* khada rahe.   jab uska nyay hoga to woh doshi* paaya jaaye,uski prarthna bhi ek paap maani jaaye.+   uski zindagi ke din ghat jaayen,+uska nigrani ka pad koi aur le le.+   uske bachchon* par se pita ka saaya uth jaayeaur uski patni vidhva ho jaaye. 10  uske bachche* bhikhari bankar bhatakte firein,apne ujde huye gharon se nikaalkar tukde talashte rahein. 11  uska lendar uska sabkuch zabt kar le,*paraye uski jaaydad loot lein. 12  koi bhi us par kripa* na kare,uski maut ke baad uske bachchon par daya na kare. 13  uske vanshaj kaat daale jaayen,+unka naam ek hi peedhi mein mita diya jaaye. 14  uske purkhon ka gunah yahova yaad rakhe+aur uski maa ka paap kabhi na mitaya jaaye. 15  unhonne jo kiya hai use yahova har pal yaad rakhe,woh dharti se unki yaad hamesha ke liye mita de.+ 16  kyonki doosron par kripa* karna use yaad nahin raha,+iske bajay, woh zulm sehnevale, gareeb aur toote manvale ka peechha karta raha+taaki use maar daale.+ 17  doosron ko shaap dene mein use khushi milti thi,isliye ab usi par shaap aa pada hai,usne doosron ko aasheervad dena nahin chaha,isliye use koi aasheesh nahin mili. 18  use maano shaap ki poshak pehnayi gayi. shaap uske shareer mein aise undela gaya jaise paani ho,uski haddiyon mein aise undela gaya jaise tel ho. 19  us par pade shaap poshak jaise hon jise woh pehne rehta hai,+kamar-patti jaise hon jise woh hardam kase rehta hai. 20  yahova unhein yahi sila deta hai jo mera virodh karte hain,+mere baare mein buri baatein kehte hain. 21  magar hey saare jahan ke maalik yahova,apne naam ki khaatir meri taraf se kaarravai kar.+ mujhe chhuda le kyonki tera atal pyar bhala hai.+ 22  main besahara aur gareeb hoon,+mera dil chhalni ho gaya hai.+ 23  main ghatti chhaaya ki tarah gaayab ho raha hoon,ek tiddi ki tarah mujhe jhatak diya gaya hai. 24  upvas karte-karte mere ghutne javab de gaye hain,main dubla ho gaya hoon, sookhta jaa raha hoon.* 25  woh mujh par taana kaste hain,+ mujhe dekhkar sir hilate hain.+ 26  hey yahova, mere parmeshvar, meri madad kar,apne atal pyar ki vajah se mujhe bacha le. 27  woh jaan jaayen ki yah toone apne haath se kiya hai,ki hey yahova, yah toone hi kiya hai. 28  woh bhale hi shaap dein, magar tu aasheesh de. jab woh mere khilaf uthein to woh sharminda kiye jaayen,magar tera sevak aanand manaye. 29  mera virodh karnevalon ko apman ki poshak pehnayi jaaye,unhein sharm ka odhna odhaya jaaye.+ 30  main apne munh se poore josh ke saath yahova ki taareef karoonga,bahot-se logon ke saamne uski taareef karoonga.+ 31  kyonki woh gareeb ke daayen haath khada hoga taaki use un logon se bachaye jo use doshi thehrate hain.

kai footnote

ya “ilzam laganevala.”
ya “dusht.”
shaa., “beton.”
shaa., “bete.”
ya “soodkhor uske liye jaal bichhayen.”
ya “atal pyar.”
ya “atal pyar.”
shaa., “mera shareer bina charbi (ya tel) ke dubla ho gaya hai.”