bhajan 114:1-8

  • misra se israel ka chhutkara

    • saagar bhaag gaya (5)

    • pahad medhon ki tarah uchhle (6)

    • chakmak chattan sote mein badli (8)

114  jab israel misra se baahar nikala,+yakub ka gharana doosri bhasha bolnevalon ke beech se nikala,   tab yahooda uska pavitra-sthan bana,israel uska raajya bana.+   yah dekhkar saagar bhaag gaya,+yardan ulti disha behene lagi.+   pahad medhon ki tarah uchhalne lage,+pahadiyaan memnon ki tarah uchhalne lagin.   hey saagar, tu kyon bhaaga?+ hey yardan, tu kyon ulti disha behene lagi?+   hey pahado, tum kyon medhon ki tarah uchhle?hey pahadiyo, tum kyon memnon ki tarah uchhlin?   hey dharti, prabhu ke kaaran thar-thar kaanp,yakub ke parmeshvar ke kaaran kaanp,+   jo chattan ko narkatonvale taalab mein badal deta hai,chakmak chattan ko paani ke soton mein badal deta hai.+

kai footnote