bhajan 122:1-9

  • yarooshalem ki shaanti ke liye prarthna

    • yahova ke bhavan mein jaane ki khushi (1)

    • saath jodkar ek kiya gaya shehar (3)

daavid ki rachna. chadhai ka geet. 122  main bahot khush hua jab logon ne mujhse kaha, “aao hum yahova ke bhavan chalein.”+   hey yarooshalem, hamne tere yahaan kadam rakha hai,ab hum tere faatkon ke andar khade hain.+   yarooshalem aise shehar ki tarah bana haijise saath jodkar ek kiya gaya hai.+   saare gotra vahaan oopar gaye hain,israel ko diye niyam ke mutabikyaah* ke gotra vahaan gaye haintaaki yahova ke naam ki taareef karein.+   kyonki vahaan nyay ke liye raajgaddi,daavid ke gharane ki raajgaddi khadi ki gayi thi.+   yarooshalem ki shaanti ke liye dua karo.+ hey nagri, tujhse pyar karnevale mehfooz raheinge.   teri suraksha ki dhalanon* ke bheetar shaanti bani rahe,teri mazboot meenaron mein suraksha rahe.   apne bhaaiyon aur saathiyon ki khaatir main kahoonga, “tere yahaan shaanti rahe.”   hamare parmeshvar yahova ke bhavan+ ki khaatirmain teri khushhali ki kaamna karoonga.

kai footnote

“yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
ya “mazboot sheharpanah.”