bhajan 137:1-9

  • baibilon ki nadiyon ke kinare

    • siyyon ka koi geet nahin gaaya (3, 4)

    • baibilon ujaad diya jaayega (8)

137  hum baibilon ki nadiyon ke kinare+ baitha karte the. siyyon ko yaad karke ro padte the.+   uske* yahaan ke pahadi peepal parhum apne taaronvale baaje latkate the.+   hamein bandi bananevalon ne vahaan hamse ek geet gaane ko kaha,+hamari khilli udanevalon ne man-bahlav ke liye hamse kaha, “hamare liye siyyon ka koi geet gaao.”   hum parayi zameen par yahova ka geet kaise gaa sakte hain?   hey yarooshalem, agar main tujhe bhool jaaun,to mera daayaan haath har kaam bhool jaaye.*+   agar main tujhe yaad na karoon,yarooshalem ko apni khushi ki sabse badi vajah na samjhoon,+to meri jeebh taaloo se chipak jaaye.   hey yahova, yaad karki jab yarooshalem gira to edomiyon ne kaha tha, “dhaa do ise! iski buniyad tak dhaa do!”+   hey baibilon ki beti, tujhe bahot jald ujaad diya jaayega,+kya hi khush hoga woh jo tere saath vaisa hi salook karega,jaisa toone hamare saath kiya tha.+   kya hi khush hoga woh jo tujhse tere bachche chheen lega,unhein chattanon par patak dega.+

kai footnote

yahaan baibilon ki baat ki gayi hai.
ya shaayad, “murjha jaaye.”