bhajan 25:1-22

  • maargdarshan aur maafi ke liye prarthna

    • “mujhe apne raaste sikha” (4)

    • “yahova se gehri dosti” (14)

    • “mere sabhi paap maaf kar de” (18)

daavid ki rachna. א [aalef ] 25  hey yahova, main teri or mudta hoon. ב [beth ]   mere parmeshvar, mujhe tujh par bharosa hai,+tu mujhe sharminda na hone de.+ mere dushmanon ko meri takaleefon par hansne na de.+ ג [gimel ]   beshak, tujh par aasha rakhnevala koi bhi sharminda nahin hoga,+magar jo bevajah daga dete hain woh sharminda honge.+ ד [daalath ]   hey yahova, mujhe apni raahein dikha,+mujhe apne raaste sikha.+ ה [hey ]   apni sachchai ki raah par mujhe chala aur mujhe sikha,+kyonki tu mera uddhaar karnevala parmeshvar hai. ו [vaav ] main poora din tujh par hi aasha rakhta hoon. ז [jain ]   hey yahova, apni daya aur apna atal pyar yaad kar,+jo tu hamesha se dikhata aaya hai.*+ ח [heth ]   mainne javani mein jo paap aur apradh kiye, unhein yaad na kar. hey yahova, apne atal pyar ke mutabik,apni bhalai ke kaaran mujhe yaad kar.+ ט [teth ]   yahova bhala aur seedha-sachcha hai.+ isliye woh paapiyon ko jeene ki raah sikhata hai.+ י [yodh ]   jo sahi hai uske baare mein* woh deenon ko nirdesh dega,+unhein apni raah par chalna sikhayega.+ כ [kaaf ] 10  jo yahova ka karar maante hain,+uske yaad dilane par uski sunte hain,+unse woh pyar* karta hai, unka vishvasyogya bana rehta hai. ל [laamedh ] 11  maana ki mainne bada paap kiya hai,fir bhi hey yahova, apne naam ki khaatir mujhe maaf kar de.+ מ [mem ] 12  yahova ka dar maannevala insan kaun hai?+ use parmeshvar sikhayega ki kaun-saa raasta chunna hai.+ נ [noon ] 13  aisa insan bhalai ka aanand uthayega,+uske vanshajon ka dharti par adhikar hoga.+ ס [saamekh ] 14  yahova se gehri dosti sirf woh kar sakte hain jo uska dar maante hain,+woh apne karar ke baare mein unhein batata hai.+ ע [aiyin ] 15  meri aankhein har pal yahova ki taraf lagi rehti hain,+kyonki woh mere pairon ko jaal se chhudayega.+ פ [pe ] 16  meri taraf mud, mujh par kripa kar,main akela aur besahara hoon. צ [saade ] 17  mere man ki peedayen badh gayi hain,+mujhe dil ki tadap se raahat de. ר [resh ] 18  meri takaleefein aur museebatein dekh+aur mere sabhi paap maaf kar de.+ 19  dekh, mere dushman kaise beshumar ho gaye hain,nafrat ke maare mujhe satana chahte hain. ש [sheen ] 20  mujhe bacha le, meri jaan ki hifazat kar.+ mujhe sharminda na hone de kyonki mainne teri panah li hai. ת [taav ] 21  mera nirdosh aur seedha chaalchalan meri hifazat kare,+kyonki mainne tujhi par aasha rakhi hai.+ 22  hey parmeshvar, israel ko uski saari museebaton se chhuda le.

kai footnote

ya “jo purane zamane se hai.”
shaa., “nyay ke baare mein.”
ya “atal pyar.”