bhajan 31:1-24

  • yahova ki panah lena

    • “main apni jaan tere havale karta hoon” (5)

    • ‘yahova, sachchai ka parmeshvar’ (5)

    • parmeshvar ki apar bhalai (19)

daavid ka sureela geet. nirdeshak ke liye hidayat. 31  hey yahova, mainne teri panah li hai.+ mujhe kabhi sharminda na hone de.+ apni neki ke kaaran mujhe chhuda le.+   meri taraf kaan laga.* mujhe chhudane ke liye fauran aa.+ mere liye pahad par khada mazboot gadh ban jaa,mujhe bachane ke liye ek mehfooz kila ban jaa.+   kyonki tu mere liye badi chattan aur mazboot gadh hai,+apne naam ki khaatir+ tu meri aguvai karega, mujhe raasta dikhayega.+   tu mujhe us jaal se chhuda jo dushmanon ne chupke se bichhaya hai,+kyonki tu mera kila hai.+   main apni jaan tere havale karta hoon.+ hey yahova, sachchai ke parmeshvar,*+ toone mujhe chhudaya hai.   main unse nafrat karta hoon jo bekar aur nikammi moorton ko poojte hain,magar main yahova par bharosa karta hoon.   main tere atal pyar ke kaaran bahot magan hounga,kyonki toone mera dukh dekha hai,+tu mere man ki peeda jaanta hai.   toone mujhe dushmanon ke havale nahin kiya,balki tu mujhe ek mehfooz* jagah khada karta hai.   hey yahova, mujh par reham kar, main museebat mein hoon. ghor chinta se meri aankhein kamzor ho gayi hain,+ poora shareer sookh gaya hai.+ 10  gam se meri zindagi aadhi ho gayi hai,+karahte-karahte meri umra ghat gayi hai.+ mere gunah ki vajah se meri taakat mit rahi hai,meri haddiyaan kamzor ho rahi hain.+ 11  mere sabhi bairi, khaaskar mere padosimujhe tuchh samajhte hain.+ mere jaan-pehchanvale mujhse darte hain,mujhe baahar dekhte hi mujhse door bhaagte hain.+ 12  unhonne mujhe apne dil* se nikaal diya hai,mujhe bhula diya hai maano meri maut ho gayi ho,main ek toote ghade jaisa ban gaya hoon. 13  main apne baare mein afvahein sunta hoon,aatank se ghira rehta hoon.+ woh sab mere khilaf dal baandhte hain,meri jaan lene ki saazish rachte hain.+ 14  magar hey yahova, main tujh par bharosa karta hoon.+ main ailan karta hoon, “tu mera parmeshvar hai.”+ 15  meri zindagi* tere haath mein hai. mujhe mere dushmanon aur satanevalon ke haath se chhuda.+ 16  apne sevak par apne mukh ka prakash chamka.+ apne atal pyar ke kaaran mujhe bacha le. 17  hey yahova, main tujhe pukaroonga, mujhe sharminda na hona pade.+ dusht sharminda hon,+ kabraa mein khaamosh kar diye jaayen.+ 18  jhooth bolnevale munh band kar diye jaayen,+jo magroor hokar, ghamand aur nafrat se bharkarnek jan ke khilaf bolte hain. 19  hey parmeshvar, teri bhalai apar hai!+ yah toone unke liye rakh chhodi hai jo tera dar maante hain+aur jo teri panah lete hain, unke saath toone sabke dekhte bhalai ki hai.+ 20  tu unhein logon ki saazishon se bachane ke liyeapni maujoodgi ki gupt jagah chhipaye rakhega,+unhein chubhnevali baaton ke vaar se bachane ke liyeapne aasre mein chhipa lega.+ 21  yahova ki taareef ho kyonki jab main sena se ghire shehar mein tha,+tab usne mujhe apne atal pyar ka laajavab tareeke se saboot diya tha.+ 22  main to bilkul ghabra gaya tha,mujhe laga, “ab woh mujhe zaroor mita deinge.”+ magar jab mainne duhai di to toone meri suni.+ 23  yahova ke sabhi vafadar logo, usse pyar karo!+ yahova vishvasyogya logon ki hifazat karta hai,+magar jo magroor hai use kadi-se-kadi saza deta hai.+ 24  yahova par aas laganevalo,+tum sab himmat se kaam lo, tumhara dil mazboot rahe.+

kai footnote

ya “jhukkar meri sun.”
ya “vishvasyogya parmeshvar.”
ya “khuli.”
ya “dimag.”
shaa., “mera samay.”