bhajan 33:1-22
33 nek logo, yahova ke kaaran khushi se jayjaykar karo.+
yah sahi hai ki seedhe-sachche log uski taareef karein.
2 surmandal bajakar yahova ka shukriya ada karo,das taaronvala baaja bajakar uski taareef mein geet gaao.*
3 uske liye ek naya geet gaao,+kushalta se taaronvale baaje bajao aur aanand se jayjaykar karo.
4 kyonki yahova ka vachan sachcha hai,+uska har kaam dikhata hai ki woh bharosemand hai.
5 use neki aur nyay se pyar hai.+
dharti yahova ke atal pyar se bharpoor hai.+
6 yahova ke vachan se aakash ki rachna hui,+usmein jo kuch hai woh* uske munh ki saans se banaya gaya.
7 woh samundar ka paani aise roke rakhta hai maano us par baandh baandha ho,+ufante paani ko bhandaron mein jama karta hai.
8 saari dharti yahova ka dar maane.+
saare jagat ke log uske liye shraddha rakhein.
9 kyonki usne kaha aur woh vajood mein aaya,+usne hukm diya aur woh mazbooti se kaayam hua.+
10 yahova ne raashtron ki saazishein* naakam kar di,+desh-desh ke logon ki yojnaon* par paani fer diya.+
11 magar yahova ke faisle* sada atal raheinge,+uske man ke vichar peedhi-dar-peedhi bane raheinge.
12 sukhi hai woh raashtra jiska parmeshvar yahova hai,+woh log jinko usne apni jaageer chuna hai.+
13 yahova swarg se neeche dekhta hai,uski nazar sab insanon par rehti hai.+
14 woh apne nivas se dharti ke logon ko gaur se dekhta hai.
15 vahi sabke dilon ko dhaalta hai,unka har kaam jaanchta hai.+
16 koi bhi raja apni vishal sena ke bal par nahin bachta,+na hi shoorveer apni zabardast taakat ke dam par bachta hai.+
17 uddhaar* ke liye ghode par aas lagana dhokha hai,+bahot balvan hokar bhi woh bacha nahin sakta.
18 dekho! jo yahova ka dar maante hainaur uske atal pyar ke bharose rehte hain,un par uski nazar bani rehti hai+
19 taaki unhein maut se chhudayeaur akaal ke vakt unhein zinda rakhe.+
20 hum yahova par ummeed lagaye huye hain.
vahi hamara madadgar aur hamari dhaal hai.+
21 uske kaaran hamara dil baag-baag ho jaata hai,kyonki hum uske pavitra naam par bharosa karte hain.+
22 hey yahova, hamne tujh par aas lagayi hai,+isliye tera atal pyar hum par bana rahe.+
kai footnote
^ ya “sangeet bajao.”
^ shaa., “uski saari senayen.”
^ ya “ke vicharon.”
^ ya “maksad.”
^ ya “maksad.”
^ ya “jeet.”