bhajan 34:1-22
daavid ka yah geet us samay ka hai jab daavid ne abeemelek ke saamne paagal hone ka dhong kiya tha+ aur abeemelek ne use bhaga diya tha.
א [aalef ]
34 main har samay yahova ki taareef karoonga,uski taareef ke bol hamesha mere honthon par honge.
ב [beth ]
2 main yahova par garv karoonga,+deen log yah sunkar aanand manayenge.
ג [gimel ]
3 mere saath milkar yahova ki mahima karo,+aao, hum milkar uske naam ki badai karein.
ד [daalath ]
4 mainne yahova se salah maangi aur usne mujhe javab diya.+
usne mera saara dar door kar diya.+
ה [hey ]
5 us par aas laganevalon ka chehra damak utha,unhein kabhi sharminda nahin kiya jaa sakta.
ז [jain ]
6 is dukhi insan ne yahova ko pukara aur usne suna.
parmeshvar ne use saari museebaton se bachaya.+
ח [heth ]
7 jo yahova ka dar maante hain uska swargdoot unki hifazat karta hai*+aur unhein chhudata hai.+
ט [teth ]
8 parakhkar dekho ki yahova kitna bhala hai,+sukhi hai woh insan jo uski panah mein aata hai.
י [yodh ]
9 yahova ke sab pavitra logo, uska dar maano,kyonki uska dar maannevalon ko koi kami nahin hoti.+
כ [kaaf ]
10 javan taakatvar sher bhi bhookh se aadhe ho gaye hain,magar yahova ki khoj karnevalon ko achhi cheez ki kami nahin hogi.+
ל [laamedh ]
11 aao mere beto, meri suno,main tumhein yahova ka dar maanna sikhaunga.+
מ [mem ]
12 tummein se kaun khushhal zindagi chahta hai?
kaun lambee umra paana chahta hai?+
נ [noon ]
13 to fir apni jeebh ko burai karne se,+apne honthon ko chhal ki baatein kehne se roko.+
ס [saamekh ]
14 burai se door ho jaao aur bhale kaam karo,+shaanti kaayam karne ki khoj karo aur usmein lage raho.+
ע [aiyin ]
15 yahova ki aankhein nek logon par lagi rehti hain+aur uske kaan unki madad ki pukar sunte hain.+
פ [pe ]
16 magar yahova bure kaam karnevalon ke khilaf ho jaata haitaaki dharti se unki yaad poori tarah mita de.+
צ [saade ]
17 nek logon ne yahova ki duhai di aur usne suni,+usne unhein saari museebaton se chhudaya.+
ק [kof ]
18 yahova toote manvalon ke kareeb rehta hai,+woh unhein bachata hai jinka man kuchla hua hai.*+
ר [resh ]
19 nek jan par bahot-si vipattiyaan to aati hain,+magar yahova use un sabse chhudata hai.+
ש [sheen ]
20 woh uski saari haddiyon ki hifazat karta hai,uski ek bhi haddi nahin todi gayi.+
ת [taav ]
21 dusht par museebat maut le aayegi,nek janon se nafrat karnevale doshi thehraye jaayenge.
22 yahova apne sevkon ki jaan bachata hai,uski panah lenevala koi bhi doshi nahin thehrega.+