bhajan 51:1-19
nirdeshak ke liye hidayat. daavid ka yah sureela geet us samay ka hai jab usne batsheba+ ke saath sambandh rakhkar paap kiya tha aur uske baad bhavishyavakta naatan uske paas aaya tha.
51 hey parmeshvar, apne atal pyar ke mutabik mujh par reham kar.+
apni badi daya ke mutabik mere apradh mita de.+
2 mera dosh poori tarah dho de,+mere paap door karke mujhe shuddh kar de.+
3 kyonki mujhe apne apradhon ka poora-poora ehsas hai,mera paap hamesha mere saamne* rehta hai.+
4 mainne tere khilaf, haan, sabse badhkar tere khilaf* paap kiya hai,+mainne teri nazar mein bura kaam kiya hai.+
isliye tu jo bolta hai woh sahi hai,tera nyay sachcha hai.+
5 dekh! main janm se hi paap ka doshi hoon,jab main maa ke garbh mein pada tab se mujhmein paap hai.*+
6 dekh! tu aise insan se khush hota hai jo dil ka sachcha hai,+mere man ko sachchi buddhi ki baatein sikha.
7 maruye se paani chhidakkar mera paap door kar de taaki main shuddh ho jaaun,+mujhe dhokar saaf kar de taaki main barf se bhi ujla ho jaaun.+
8 mujhe khushiyaan aur jashna manane ki aavaz sunnae detaaki jo haddiyaan toone chaknachoor kar di hain, unmein umang bhar jaaye.+
9 tu mere paapon se apna munh fer le,+mere saare gunah ponchhkar mita de.+
10 hey parmeshvar, mere andar ek saaf dil paida kar,+man ka ek naya rujhan+ de ki main atal bana rahoon.
11 tu mujhe apne saamne se door na kar,mujh par se apni pavitra shakti na hata.
12 toone mera uddhaar karke mujhe jo khushiyaan di thi woh mujhe lauta de,+mere andar aisi ichha jaga ki main teri aagya maanoon.
13 main apradhiyon ko teri raahon ke baare mein sikhaunga+taaki woh paapi tere paas laut aayen.
14 hey parmeshvar, mere uddharkarta parmeshvar,+ khoon ka dosh mujh par se mita de+taaki meri jeebh khushi-khushi teri neki ka ailan kare.+
15 hey yahova, mujhe bolne ki ijazat detaaki main teri taareef karoon.+
16 tu koi balidan nahin chahta varna main zaroor chadhata,+tu poori hom-bali se khush nahin hota.+
17 toota man aisa balidan hai jo parmeshvar ko bhaata hai,hey parmeshvar, tu toote aur kuchle huye dil ko nahin thukrayega.*+
18 apni kripa dikhakar siyyon ka bhala kar,yarooshalem ki sheharpanah ko mazboot kar.
19 tab tu neki ke balidanon se,hom-baliyon aur poore chadhave se khush hoga,tab teri vedi par bail arpit kiye jaayenge.+
kai footnote
^ ya “mere man mein.”
^ shaa., “sirf tere khilaf.”
^ ya “paap mein meri maa ne mujhe garbh mein dhaaran kiya tha.”
^ ya “tuchh nahin samjhega.”