bhajan 79:1-13
aasap ka sureela geet.+
79 hey parmeshvar, doosre raashtron ne teri virasat+ par hamla kar diya hai,unhonne tere pavitra mandir ko dooshit kar diya hai,+yarooshalem ko khandhar bana diya hai.+
2 unhonne tere sevkon ki laashein aakash ke pakshiyon ko khila di hain,tere vafadar janon ka maans dharti ke jangli jaanvaron ko de diya hai.+
3 unhonne unka khoon poore yarooshalem mein paani ki tarah baha diya hai,unki laashein dafnanevala koi na raha.+
4 hum apne padosiyon ke liye mazak ban gaye hain,+aas-paas ke log hum par hanste hain, hamari khilli udate hain.
5 hey yahova, tu kab tak hamse bhadka rahega?
kya sada ke liye?+
kab tak tere gusse ki aag dhadhakti rahegi?+
6 tu apne krodh ka pyala un raashtron par undel de jo tujhe nahin jaante,un raajyon par jo tera naam nahin pukarte.+
7 kyonki unhonne yakub ko nigal liya hai,uske desh ko ujaad diya hai.+
8 hamare purkhon ke gunahon ke liye hamein javabdeh na thehra.+
hum par daya karne mein der na kar,+kyonki hamein bilkul neeche gira diya gaya hai.
9 hey parmeshvar, hamare uddharkarta,+apne gauravshali naam ki khaatir hamari madad kar,apne naam ki khaatir hamein chhuda le aur hamare paap maaf kar de.*+
10 raashtron ko kyon yah kehne ka mauka mile, “kahaan gaya inka parmeshvar?”+
hamari aankhon ke saamne raashtron ko jata deki toone apne sevkon ke khoon ka badla liya hai.+
11 tu kaidiyon ka karahna sune.+
apni mahashakti* se unhein bacha le* jinhein maut ki saza sunayi gayi hai.+
12 hey yahova, hamare padosiyon ne tujh par jo taane kase hain,+unka saat guna badla unhein chuka.+
13 tab hum jo teri praja hain, tere charagah ki bhedein hain,+sada tak tera shukriya ada karte raheinge,peedhi-dar-peedhi teri taareef karte raheinge.+