ginti 21:1-35

  • araad ke raja ki haar (1-3)

  • tambe ka saanp (4-9)

  • israel ne moab ke kinare-kinare safar kiya (10-20)

  • emori raja seehon ki haar (21-30)

  • emori raja og ki haar (31-35)

21  jab israeli atareem ke raaste se jaa rahe the, to iski khabar araad ke kanaani raja+ ko mili jo negeb mein rehta tha. usne israeliyon par hamla kiya aur unmein se kuch logon ko bandi banakar le gaya.  tab israeliyon ne yahova se yah kehkar mannat maani: “agar tu in logon ko hamare haath mein kar dega, to hum zaroor unke shehron ko naash kar deinge.”  yahova ne israeliyon ki binti suni aur un kanaaniyon ko unke haath mein kar diya. israeliyon ne unhein aur unke shehron ko naash kar diya. aur isi vajah se israeliyon ne us jagah ka naam horma*+ rakha.  jab israeli hor pahad se aage safar mein badhe+ to unhonne laal saagar ka raasta liya taaki woh edom ke ilake se na guzrein balki uske kinare-kinare chalte jaayen.+ ab tak safar karte-karte log thak gaye the.  aur woh parmeshvar aur moosa ke khilaf baatein karne lage,+ “tum kyon hamein misra se nikaalkar is veerane mein le aaye ho? bas isliye ki hum yahaan mar jaayen? yahaan na khaane ke liye roti hai, na peene ke liye paani.+ hamein is ghatiya roti se nafrat* ho gayi hai.”+  tab yahova ne logon ke beech zahreele* saanp bheje aur un saanpon ke dasne se bahot-se israeli mar gaye.+  log moosa ke paas aaye aur kehne lage, “hamne yahova ke khilaf aur tere khilaf baat karke paap kiya hai.+ ab tu hamari taraf se yahova se maafi ki bheekh maang taaki woh in saanpon ko hamare beech se door kar de.” tab moosa ne logon ki taraf se parmeshvar se maafi maangi.+  yahova ne moosa se kaha, “tu ek zahreele* saanp ke aakaar ka saanp bana aur use ek khambhe par laga. iske baad agar kisi ko koi saanp dase to use khambhe par lage saanp ko dekhna hoga tabhi woh zinda bachega.”  moosa ne fauran tambe ka ek saanp banaya+ aur use ek khambhe par lagaya.+ fir jab bhi kisi ko saanp dasta to woh tambe ke us saanp ko dekhta aur zinda bach jaata.+ 10  iske baad israeli vahaan se nikle aur unhonne obot mein dera daala.+ 11  fir woh obot se ravana huye aur unhonne iyye-abareem mein dera daala+ jo poorab mein moab ke saamne hai. 12  iske baad unhonne vahaan se aage badhkar jered ghaati mein dera daala.+ 13  fir vahaan se ravana hokar unhonne arnon ke ilake+ mein dera daala. yah ilaka us veerane mein hai jo emoriyon ke desh ki sarhad se shuroo hota hai. arnon, moab aur emoriyon ke desh ke beech hai aur vahi moab ki sarhad hai. 14  iseeliye yahova ke yuddhon ki kitab mein in jagahon ka zikra milta hai: “soopa mein vaaheb aur arnon ki ghaatiyaan 15  aur in ghaatiyon ki dhalan, jo aar ki basti tak faili hai aur moab ki sarhad chhooti hai.” 16  iske baad woh aage badhe aur ber pahunche. yah vahi kuaan hai jiske baare mein yahova ne moosa se kaha tha, “logon ko ikattha kar. main unhein paani doonga.” 17  us vakt israeliyon ne yah geet gaaya: “hey kuyen, tujhse paani umad aaye. aao logo, kuyen ke liye geet gaao! 18  yah woh kuaan hai jise haakimon ne, haan, rutbedar logon ne khoda hai,unhonne ek haakim ki laathi se aur apni laathiyon se khoda hai.” iske baad israeli veerane se mattana gaye. 19  aur mattana se nahliel aur nahliel se baamot+ gaye. 20  fir woh baamot se aage badhkar us ghaati mein gaye jo moab ke ilake*+ mein hai, pisga ki us choti+ tak gaye jahaan se yasheemon* dikhayi deta hai.+ 21  iske baad israeliyon ne apne dooton ke haath emoriyon ke raja seehon ke paas yah sandesh bheja:+ 22  “hamein tere desh ke ilake se hokar jaane de. hum tere kisi khet ya angooron ke baag mein kadam nahin rakheinge. aur na hi tere kisi kuyen se paani peeyenge. hum ‘raja ki sadak’ par chalte huye tere ilake se nikaal jaayenge.”+ 23  magar seehon ne israeliyon ko apne ilake se hokar jaane ki ijazat nahin di. iske bajay woh apne sabhi aadmiyon ko lekar veerane mein israel par hamla karne nikaal pada. woh yahas aakaar israeliyon se yuddh karne laga.+ 24  magar israeliyon ne uska mukabla kiya aur apni talvar se use hara diya.+ aur israeliyon ne arnon ghaati se lekar+ yabbok ghaati tak,+ jo ammoniyon ke desh ke paas hai, seehon ke poore ilake par kabza kar liya.+ magar woh yaajer+ ke aage nahin gaye kyonki yaajer ke baad ammoniyon ka ilaka shuroo hota hai.+ 25  is tarah israeliyon ne emoriyon+ ke in saare shehron par kabza kar liya aur woh in shehron mein, heshbon aur uske aas-paas ke nagron mein rehne lage. 26  heshbon emoriyon ke raja seehon ka shehar tha jisne moab ke raja se ladai karke arnon ghaati tak uska poora ilaka apne kabze mein kar liya tha. 27  isi ghatna se yah kahavat nikli jo taana kasne ke liye boli jaati hai: “heshbon chalo heshbon, seehon ka yah shehar basaya jaaye aur mazboot kiya jaaye. 28  heshbon se aag nikli, seehon ke nagar se laptein uthin. aur ‘moab ke aar’ ko, haan, arnon ki unchi-unchi jagahon ke haakimon ko bhasm kar diya. 29  hey moab, tera kitna bura hoga! hey kamosh+ ke logo, tumhara naash ho jaayega! woh apne beton ko bhagode aur betiyonn ko emoriyon ke raja seehon ki daasiyaan bana deta hai. 30  chalo hum un par hamla bolein,door deebon tak heshbon naash ho jaayega,+chalo hum door nopah tak use ujaad dein,door medaba tak aag fail jaayegi.”+ 31  is tarah israeli emoriyon ke desh mein rehne lage. 32  fir moosa ne kuch aadmiyon ko yaajer ki jaasoosi karne bheja.+ unhonne yaajer ke aas-paas ke nagron par kabza kar liya aur vahaan rehnevale emoriyon ko bhaga diya. 33  iske baad woh mudkar baashaan ke raaste gaye. tab baashaan ka raja og+ apne sab aadmiyon ko lekar edrei mein israeliyon se yuddh karne aaya.+ 34  yahova ne moosa se kaha, “tu usse mat dar+ kyonki main use aur uske sab logon ko aur uske desh ko tere haath mein kar doonga.+ tu uska vahi hashra karega jo toone heshbon mein rehnevale emoriyon ke raja seehon ka kiya tha.”+ 35  israeli us raja aur uske beton aur uske sab logon ko tab tak maarte gaye jab tak ki ek bhi zinda na bacha.+ fir unhonne us raja ke ilake par kabza kar liya.+

kai footnote

matlab “naash ke liye thehrana.”
ya “ghin.”
ya “jalte.”
ya “jalte.”
ya shaayad, “registan; veerana.”
shaa., “maidan.”