habakkook 1:1-17
1 yah sandesh bhavishyavakta habakkook* ko darshan mein mila:
2 hey yahova, main kab tak pukarta rahoonga aur tu ansuna karta rahega?+
main kab tak duhai deta rahoonga aur tu mujhe hinsa se nahin bachayega?+
3 tu kyon mujhe burai dikhata hai?
kyon atyachar hone deta hai?
mere saamne vinash aur hinsa kyon ho rahi hai?
ladai-jhagde kyon badhte jaa rahe hain?
4 kaanoon ka dar kisi mein nahin rahaaur kahin insaf nahin hota.
nek insan dushton se ghira hua hai,tabhi to nyay ka khoon ho raha hai.+
5 “raashtron ko dekho aur dhyan do!
hairani se taako aur dang reh jaao!
kyonki tumhare dinon mein kuch aisa honevala haiki agar tumhein bataya bhi jaaye tab bhi tum yakeen nahin karoge.+
6 main tumhare khilaf kasdiyon ko laanevala hoon,+haan, us bereham aur utavle raashtra ko.
woh log dharti ke door-door ke ilakon se hokar jaate hainaur parayon ki zameen hathiya lete hain.+
7 woh bahot bhayanak aur daravne hain,
woh apne kaanoon khud banate hain aur dhauns jamate hain.+
8 unke ghode, cheete se bhi tez daudte hain.
woh log raat ko nikaalnevale bhediyon se zyada khoonkhar hain.+
unke jangi ghode dhaddhadate huye aate hain,unke ghode door se aate hain.
woh log ukab ki tarah apne shikar par jhapat padte hain.+
9 sab-ke-sab khoon ke pyase hain,+
woh ek-saath aise aate hain jaise poorab se garam hava aati hai+aur woh bandiyon ko ret ke kinkon ki tarah utha le jaate hain.
10 woh raajaon ka mazak udate hain,
bade-bade adhikariyon par hanste hain,+sab mazboot gadhon par thahake maarte hain+aur mitti ka teela banakar un par kabza kar lete hain.
11 fir woh tez jhonke ki tarah desh mein se hokar jaate hain.lekin unhein doshi thehraya jaayega,+kyonki woh apni taakat ka shrey apne devta ko dete hain.”*+
12 hey yahova, tu hamesha se vajood mein hai,+hey mere parmeshvar, mere pavitra parmeshvar, tu kabhi nahin marta.*+
hey yahova, apna faisla sunane ke liye toone unhein thehraya hai,hey meri chattan,+ hamein saza dene* ke liye toone unhein chuna hai.+
13 teri aankhein itni shuddh hain ki tu burai nahin dekh sakta,dushtata tujhse bardasht nahin hoti.+
to fir tu chhal karnevalon ko kyon bardasht kar raha hai?+
jab dusht kisi nek jan ko nigal jaata hai, to tu kyon khaamosh rehta hai?+
14 toone insan ko samundar ki machhliyon jaisa kyon bana diya hai?samundar ke jeev-jantuon jaisa kyon bana diya hai, jin par koi shaasak nahin hota?
15 woh* un sabko machhli pakadne ke kaante se khinch leta hai,
bade jaal mein unhein fansa leta hai,machhli ke jaal mein ikattha karke khoob khush hota hai.+
16 isliye woh apne bade jaal ke liye balidan chadhata hai,machhli ke jaal ke aage dhoop jalata hai,kyonki inhin se use chikna-chikna bhojan milta haiaur woh badhiya-badhiya khaana khaata hai.
17 kya woh apna bada jaal yoon hi bharta aur khaali karta rahega?*
kya woh taras khaaye bina raashtron ko maarta rahega?+
kai footnote
^ shaayad iska matlab hai, “pyar se gale lagana.”
^ ya shaayad, “unki taakat hi unka devta hai.”
^ ya shaayad, “hum nahin mareinge.”
^ ya “sudhaarne.”
^ yaani unke dushman, kasdi.
^ ya shaayad, “apni talvar taane rahega?”