hoshe 2:1-23

  • vishvasghati israel ko saza (1-13)

  • woh yahova ke paas laut aayegi (14-23)

    • “tu mujhe apna pati kahegi” (16)

2  “apne bhaaiyon se kaho, ‘tum mere log ho!’*+ apni behenon se kaho, ‘tum aurton par parmeshvar ne daya ki hai!’*+   apni maa ko doshi thehrao, haan, use doshi thehrao,kyonki woh meri patni nahin hai+ aur main uska pati nahin hoon. woh ab aur veshya ke kaam na kare,vyabhichar karna band kar de,   varna main uske kapde utaarkar use janm ke din ke samaan nangi kar doonga,use veerane jaisa bana doonga,sookhe desh jaisa badhal kar doongataaki woh pyasi mar jaaye.   main uske beton par daya nahin karoonga,kyonki woh badchalni se paida huye the.   unki maa ne veshya ke kaam kiye.+ jiski kokh mein woh the, usne sharmnak kaam kiye,+usne kaha, ‘main apne yaaron ke paas jaaungi jo mujh par marte hain,+jo mujhe roti aur paani dete hain,oon aur malmal ke kapde, tel aur daakh-madira dete hain.’   isliye main kaanton ka baada baandhkar uska raasta rok doonga,patthar ki deevar khadi kar doongataaki woh apna raasta na dhoondh sake.   woh apne yaaron ke peechhe bhaagegi jo us par marte the, magar un tak pahunch nahin paayegi,+woh unhein bahot dhoondhegi, magar woh use nahin mileinge. tab woh kahegi, ‘main apne pehale pati ke paas laut jaaungi,+kyonki uske saath rehte vakt meri haalaat kahin zyada achhi thi.’+   usne yah nahin maana ki use anaj, nayi daakh-madira aur tel denevala main tha,+mainne hi use bharpoor chaandi aur sona diya tha,jinhein logon ne baal ke liye istemal kiya.+   ‘isliye main vaapas aaunga aur katai ke samay usse anaj chheen loonga,angoor batorne ke samay nayi daakh-madira le loonga,+oon aur malmal ka kapda chheen loonga jisse woh apna tan dhakti hai. 10  main uske yaaron ke saamne uske nangepan ka pardafash kar doonga,koi bhi aadmi use mere haath se nahin chhudayega.+ 11  main uski saari khushiyon ka ant kar doonga,uske tyoharon,+ naye chaand ke maukon, sabt ke maukon aur jashnon ka ant kar doonga. 12  main uski angoor ki belon aur anjeer ke pedon ko nasht kar doonga,jinke baare mein woh kehti hai, “yah sab meri kamai hai jo mere yaaron ne mujhe di hai,” main unhein jangal bana doongaaur maidan ke jangli jaanvar unhein khaa jaayenge. 13  main usse un saare dinon ka hisab maangoonga jab woh baal ki moorton ke aage balidan chadhati thi,+kaan ki baaliyon aur gehnon se khud ko sanvarti thi aur apne yaaron ke peechhe bhaagti thi aur mujhe woh bilkul bhool gayi thi.’+ yahova ka yah ailan hai. 14  ‘isliye main use kaayal karoonga,use veerane mein le jaaunga,uska dil jeetne ke liye usse baat karoonga. 15  tab main uske angooron ke baag use lauta doonga,+aakor ghaati+ ko aasha ka dvar bana doonga,vahaan woh mujhe javab degi jaise javani mein diya karti thi,us din ki tarah jab woh misra desh se baahar aayi thi.’+ 16  yahova ailan karta hai, ‘us din tu mujhe apna pati kahegiaur fir kabhi apna maalik* nahin kahegi.’ 17  ‘main uski zaban se baal ki moorton ka naam mita doonga,+unhein fir kabhi unke naam se yaad nahin kiya jaayega.+ 18  us din main apne logon ki khaatir maidan ke jangli jaanvaron,aakash ke pakshiyon aur zameen par reingnevale jeev-jantuon se ek karar karoonga,+main desh se teer-kaman, talvar aur yuddh mita doonga,+main unhein mehfooz base rehne doonga.*+ 19  main tere saath hamesha ke bandhan mein bandh jaaunga,neki aur nyay,atal pyar aur daya ke mutabik tere saath bandhan mein bandh jaaunga.+ 20  main sachchai se tere saath bandhan mein bandh jaaungaaur tu zaroor mujh yahova ko jaan jaayegi.’+ 21  yahova ailan karta hai, ‘us din main sunoonga,main aasman ki sunoonga,aasman dharti ki sunega,+ 22  dharti anaj, nayi daakh-madira aur tel ki sunegiaur woh yijrel* ki suneinge.+ 23  main use beej ki tarah apne liye dharti par bounga,+main us par daya karoonga jis par daya nahin ki gayi thi*aur jo mere log nahin the* unse main kahoonga, “tum mere log ho”+aur woh kaheinge, “tu hamara parmeshvar hai.”’”+

kai footnote

ho 1:9 fu. dekhein.
ho 1:6 fu. dekhein.
ya “apna baal.”
ya “jeene doonga.”
matlab “parmeshvar beej boyega.”
ho 1:6 fu. dekhein.
ho 1:9 fu. dekhein.