ifisiyon ke naam chitthi 2:1-22
2 yahi nahin, parmeshvar ne tumhein zinda kiya jabki tum apne gunahon aur paapon ki vajah se mare huye the.+
2 aur tum apne paapon mein pade huye the aur is duniya*+ ke tareeke se jeete the. tum us raja ki maante huye chalte the jo duniya ki fitrat+ ke adhikar par raaj karta hai.+ yah fitrat chaaron taraf hava ki tarah faili hui hai aur aagya na maannevalon par asar karti hai.
3 haan, ek vakt par hum bhi inhin logon ke beech apne shareer ki ichhaon ke mutabik chalte the.+ hum vahi karte the jo hamara shareer chahta aur sochta tha.+ aur hum janm se un logon ki tarah the jin par parmeshvar ka krodh hai.*+
4 magar parmeshvar jo daya ka dhani hai,+ usne hamse bahot pyar kiya+
5 isliye hamein zinda kiya aur maseeh ke saath ek kiya jabki hum apne gunahon ki vajah se mare huye the.+ (uski maha-kripa ki vajah se hi tumhara uddhaar hua hai.)
6 usi parmeshvar ne hamein maseeh yeeshu ke saath ekta mein zinda kiya aur uske saath swarg mein bithaya hai+
7 taaki aanevale zamanon* mein parmeshvar badi udarta se apni bharpoor maha-kripa hamare maamle mein dikhaye, jo maseeh yeeshu ke saath ekta mein hain.
8 tumhara uddhaar isi maha-kripa ki vajah se vishvas ke zariye kiya gaya hai.+ yah tumhari vajah se nahin hua hai, balki yah parmeshvar ka tohfa hai.
9 haan, yah tumhare kaamon ki vajah se nahin hua hai+ taaki kisi bhi insan ke paas shekhi maarne ki koi vajah na ho.
10 hum parmeshvar ke haath ki kaareegari hain aur maseeh yeeshu ke saath ekta mein hain+ isliye achhe kaam karne ke liye hamari srishti ki gayi thi.+ parmeshvar ne pehale se tay kar diya tha ki hum ye kaam karein.
11 isliye yaad rakho ki tum jo janm se doosre raashtron ke log ho, tumhein ek vakt par woh log khatnarahit kehte the jinhonne insan ke haathon apne shareer ka khatna karvaya tha.
12 us vakt tum maseeh ke bina the, israel raashtra se alag the, vaade ke kararon mein tumhara koi hissa nahin tha,+ tumhare paas koi aasha nahin thi aur tum is duniya mein bina parmeshvar ke the.+
13 magar ab tum maseeh yeeshu ke saath ekta mein ho. tum jo ek vakt par parmeshvar se bahot door the, ab maseeh ke khoon ke zariye uske paas aaye ho.
14 isliye ki maseeh ne hamare liye shaanti kaayam ki hai.+ usi ne donon samoohon ko ek kiya+ aur unke beech khadi us deevar ko dhaa diya jo unhein alag kiye huye thi.+
15 usne apna shareer balidan karke woh dushmani mita di yaani kaanoon mita diya jismein kai aagyayen thi taaki woh donon samoohon ko apne saath ekta mein laakaar ek naya insan banaye+ aur shaanti kaayam kare
16 aur yaatna ke kaath*+ ke zariye un donon kism ke logon ko ek shareer banaye aur parmeshvar ke saath unki poori tarah sulah karaye, kyonki usne apna balidan dekar is dushmani ko khatm kar diya.+
17 usne aakaar tumhein, jo parmeshvar se door the aur tumhein bhi jo uske paas the, shaanti ki khushkhabri sunayi.
18 kyonki usi ke zariye hum donon kism ke log ek hi pavitra shakti ke zariye bina kisi rukavat ke pita ke paas jaa sakte hain.
19 isliye ab tum ajnabi aur pardesi nahin rahe+ magar pavitra janon ke sangi naagrik ho+ aur parmeshvar ke gharane ke sadasya ho.+
20 tumhein preshiton aur bhavishyavaktaon ki ninv par khada kiya gaya hai+ jiski ninv ke kone ka patthar khud maseeh yeeshu hai.+
21 yah poori imarat jo maseeh ke saath ekta mein hai aur jiske saare hisse ek-doosre ke saath poore taalmel se jude hain,+ badhti jaa rahi hai taaki yahova* ke liye ek pavitra mandir bane.+
22 usi ke saath ekta mein tum sabka ek-saath nirman kiya jaa raha hai taaki tum parmeshvar ke liye ek nivas-sthan ban sako jahaan woh apni pavitra shakti ke zariye rahe.+
kai footnote
^ shaa., “hum krodh ki santan the.”