jakaryah 13:1-9
13 us din daavid ke gharane aur yarooshalem ke nivasiyon ke liye ek kuaan khoda jaayega ki woh apne paap dhoyen aur apni ashuddhta door karein.”+
2 senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai, “us din main desh mein se moorton ka naamo-nishan mita doonga+ aur unhein fir koi yaad nahin karega. main bhavishyavaktaon ko aur dusht shakti ko desh mein se nikaal doonga.+
3 agar koi aadmi fir bhi bhavishyavani kare, to uske maata-pita jinhonne use janm diya hai kaheinge, ‘tu zinda nahin bachega kyonki toone yahova ke naam se jhoothi baatein kahi hain.’ aur bhavishyavani karne ke liye uske maata-pita jinhonne use janm diya hai, use bhedkar maar daaleinge.+
4 us din bhavishyavani karte vakt, har bhavishyavakta ko apna darshan batane mein sharm aayegi. woh apni poshak,* us royendar kapde ko pehanna chhod dega,+ jise pehankar woh logon ko dhokha deta tha.
5 woh kahega, ‘main koi bhavishyavakta nahin. main to bachpan se hi ek aadmi ke yahaan gulam hoon aur kheti-baadi karta hoon.’
6 aur agar koi usse poochhe, ‘tere shareer par* ye ghaav kaise?’ to woh kahega, ‘ye ghaav mujhe apne doston* ke ghar par mile hain.’”
7 senaon ka parmeshvar yahova ailan karta hai,“hey talvar, mere charvahe ke khilaf uth,+us aadmi ke khilaf jo mera saathi hai.
charvahe ko maar+ aur jhund* ko titar-bitar hone de.+
main apna haath maamooli logon par uthaunga.”
8 yahova ailan karta hai, “poore desh mein jitne log hain,unmein se do-tihai ko kaat diya jaayega, woh khatm ho jaayengeaur ek-tihai ko chhod diya jaayega.
9 main un ek-tihai logon ko aag mein tapaunga,unhein chaandi ke samaan shuddh karoonga,sone ke samaan parkhoonga.+
woh mera naam lekar mujhe pukareingeaur main unki sunoonga.
main kahoonga, ‘woh mere log hain’+
aur woh kaheinge, ‘yahova hamara parmeshvar hai.’”
kai footnote
^ ya “bhavishyavakta ki poshak.”
^ shaa., “tere haathon ke beech” yaani chhaati ya peeth par.
^ ya “azeejon.”
^ ya “bhedon.”