laivyavyavastha 22:1-33
22 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
2 “haaroon aur uske beton se kehna ki woh israeliyon ki di hui pavitra cheezon ke maamle mein ehtiyat bartein* aur log jo cheezen mere liye pavitra thehrate hain+ unke maamle mein mere pavitra naam ka apman na karein.+ main yahova hoon.
3 unse kehna, ‘agar tumhara koi vanshaj ashuddh haalaat mein hote huye bhi un pavitra cheezon ke paas aata hai jinhein israeli yahova ke liye pavitra thehrate hain, to use mere saamne maut ki saza di jaaye. yah niyam tum par peedhi-dar-peedhi laagoo rahega.+ main yahova hoon.
4 haaroon ke vanshajon mein se agar koi aadmi ashuddh ho jaata hai to woh tab tak pavitra cheezon mein se nahin khaa sakta jab tak ki woh dobara shuddh nahin ho jaata.+ jaise woh aadmi jise kodh hai,+ jo risav se peedit hai,+ veerya nikaalne se ashuddh hai,+ jisne kisi aise aadmi ko chhua hai jo kisi ki laash chhoone ki vajah se ashuddh hai,+
5 jisne jhund mein rehnevale kisi ashuddh jeev ko chhua hai+ ya jisne aise insan ko chhua hai jo kisi vajah se ashuddh haalaat mein hai.+
6 jo inmein se kisi ko bhi chhoota hai woh shaam tak ashuddh rahega aur tab tak woh pavitra cheezon mein se kuch bhi nahin khaa sakta. use shuddh hone ke liye nahana chahiye+
7 aur sooraj dhalne tak intazar karna chahiye. iske baad woh shuddh ho jaayega. fir woh pavitra cheezon mein se khaa sakta hai kyonki use milnevala bhojan yahi hai.+
8 saath hi, ek yaajak ko aise jaanvar ka gosht nahin khaana chahiye jo mara hua paaya jaata hai ya jise jangli jaanvaron ne faad daala hai. aisa gosht khaane se woh ashuddh ho jaayega.+ main yahova hoon.
9 unhein mere niyamon ka paalan karna chahiye taaki woh inke khilaf jaakaar pavitra cheezon ko dooshit karne ka paap na karein aur maar na daale jaayen. main yahova hoon, main unhein pavitra thehra raha hoon.
10 aisa koi bhi insan pavitra cheezen nahin khaa sakta jise ye cheezen khaane ka adhikar nahin hai.*+ yaajak ke ghar thehra koi pardesi mehman ya yaajak ke liye kaam karnevala koi dihadi ka mazdoor pavitra cheezen nahin khaa sakta.
11 lekin agar ek yaajak ne paisa dekar koi daas khareeda hai to woh daas pavitra cheezon mein se khaa sakta hai. yaajak ke gharane mein paida honevale daas bhi uske hisse mein se khaa sakte hain.+
12 agar ek yaajak ki beti aise aadmi se shaadi karti hai jo yaajak nahin hai,* to woh daan mein di gayi pavitra cheezon mein se nahin khaa sakti.
13 lekin agar ek yaajak ki beti vidhva ho jaati hai ya uska talak ho jaata hai aur woh beaulad hai aur apne pita ke ghar aakaar rehne lagti hai jaise woh bachpan mein rehti thi, to woh apne pita ke hisse mein se khaa sakti hai.+ magar aisa koi bhi insan pavitra cheezen nahin khaa sakta jise khaane ka adhikar nahin hai.*
14 agar ek aadmi galti se koi pavitra cheez khaa leta hai to use us cheez ka poora muavza aur uske saath uska paanchvaan hissa jodkar pavitra chadhava yaajak ko dena hoga.+
15 yaajak un pavitra cheezon ko dooshit na karein jo israeli yahova ke liye daan mein dete hain.+
16 agar yaajak logon ko pavitra cheezen khaane deinge to woh logon ko paap ke doshi banayenge jisse log saza paayenge. main yahova hoon, main unhein pavitra thehra raha hoon.’”
17 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
18 “tu haaroon aur uske beton se aur sab israeliyon se kehna, ‘agar koi israeli ya israel mein koi pardesi apni mannat poori karne ke liye ya swechha-bali ke liye hom-bali ka jaanvar yahova ko dena chahta hai,+
19 to use aisa bail ya memna ya bakra dena chahiye jismein koi dosh na ho,+ tabhi woh manzoor kiya jaayega.
20 tumhein aisa koi bhi jaanvar arpit nahin karna chahiye jismein koi dosh hai,+ kyonki aisi bali chadhane se tum manzoori nahin paaoge.
21 agar ek aadmi apni mannat poori karne ke liye ya swechha-bali ke liye yahova ko shaanti-bali dena chahta hai,+ to use gaay-bailon ya bhed-bakriyon mein se aisa jaanvar dena chahiye jismein koi dosh na ho, tabhi woh manzoor kiya jaayega. bali ke jaanvar mein koi bhi dosh nahin hona chahiye.
22 tum aisa koi bhi jaanvar arpit na karna jo andha hai ya jiski haddi tooti hai ya jiske shareer par ghaav, massa, daad ya khaaj hai. tum yahova ke liye aisa koi bhi jaanvar arpit na karna, na hi yahova ki vedi par aise jaanvar ki bali chadhana.
23 agar kisi bail ya bhed ka ek pair baaki se lamba ya chhota hai, to tum use swechha-bali ke liye de sakte ho. magar aisa jaanvar mannat-bali ke liye sweekar nahin kiya jaayega.
24 tum aisa jaanvar yahova ke liye arpit na karna jiske and nasht ho gaye hon ya kuchle hon ya nikaal diye gaye hon ya kaat diye gaye hon. tum apne desh mein aise jaanvar ki bali na chadhana.
25 tum kisi pardesi ke haath se aise jaanvar ki bali lekar apne parmeshvar ke liye bhojan mat arpit karna, kyonki aise jaanvaron mein dosh aur vikar hai. unki bali sweekar nahin ki jaayegi.’”
26 yahova ne moosa se yah bhi kaha,
27 “jab bhi koi bachhda, memna ya bakri ka bachcha paida hota hai to use saat din tak apni maa ke saath rehne dena.+ aathvein din ya uske baad tum use yahova ke liye aag mein jalakar arpit kar sakte ho. tab use sweekar kiya jaayega.
28 tum kisi gaay ke saath uska bachhda ya bhed ke saath uska memna ek hi din halal mat karna.+
29 jab bhi tum yahova ke liye dhanyavad-bali chadhate ho+ to balidan is tarah arpit karna ki tum manzoori paa sako.
30 jis din tum yah bali chadhate ho usi din yah gosht khaaya jaaye. tumhein agli subah tak kuch bhi bachakar nahin rakhna chahiye.+ main yahova hoon.
31 tum meri aagyaon ka paalan kiya karna aur unke mutabik chalna.+ main yahova hoon.
32 tum mere pavitra naam ka apman na karna.+ iske bajay mujhe israeliyon mein pavitra maana jaaye.+ main yahova hoon, main tumhein pavitra thehra raha hoon+
33 aur main tumhein misra se nikaalkar isliye laa raha hoon taaki khud ko tumhara parmeshvar saabit karoon.+ main yahova hoon.”
kai footnote
^ shaa., “se khud ko alag rakhein.”
^ shaa., “jo paraya ho,” yaani jo haaroon-vanshi na ho.
^ ya “kisi paraye se shaadi karti hai.”
^ shaa., “jo paraya ho,” yaani jo haaroon-vanshi na ho.