luka ke mutabik khushkhabri 2:1-52

  • yeeshu ka janm (1-7)

  • swargdoot, charvahon ko dikhayi diye (8-20)

  • khatna aur shuddh karna (21-24)

  • shimon, maseeh ko dekhta hai (25-35)

  • hanna bachche ke baare mein kuch batati hai (36-38)

  • woh naasrat lautte hain (39, 40)

  • 12 saal ka yeeshu mandir mein (41-52)

2  un dinon samrat* augustus ki taraf se ek farman jaari hua ki uske saamrajya* ke sab log apna-apna naam darz karayen.  (yah pehali naam-likhai tab hui jab kveeriniyus, seeriya ka raajyapal tha.)  isliye sab log naam likhvane ke liye apne-apne shehar jaane lage, jahaan woh paida huye the.  yoosuf+ galeel ke naasrat shehar mein rehta tha. woh daavid ke khaandan aur uske vansh ka tha. isliye woh bhi yahoodiya mein daavid ke shehar gaya jo betlehem+ kehlata hai  taaki mariyam ke saath apna naam likhvaye. mariyam ab uski patni ban chuki thi+ aur is vakt poore dinon pet se thi.+  jab woh betlehem mein the, tab mariyam ke bachcha janne ka samay aa gaya.  use beta hua, jo uska pehalautha tha.+ unhein thaharne ke liye saray mein koi kamra nahin mila tha, isliye mariyam ne bachche ko kapde ki pattiyon mein lapetkar ek charni mein rakha.+  us ilake mein kuch charvahe bhi the, jo maidanon mein rehkar raat ko apne jhundon ki rakhvali kar rahe the.  yahova* ka ek swargdoot achanak unke saamne aakaar khada ho gaya aur yahova* ki mahima ka tej unke chaaron taraf chamak utha aur woh bahot dar gaye. 10  magar swargdoot ne unse kaha, “daro mat. dekho! main tumhein ek khushkhabri sunane aaya hoon jisse sab logon ko bahot khushi milegi. 11  aaj daavid ke shehar+ mein tumhare liye ek uddhaar karnevala paida hua hai.+ vahi maseeh prabhu hai.+ 12  use pehchanne ki yah nishani hai: tum ek shishu ko kapde ki pattiyon mein lipta hua charni mein paaoge.” 13  tabhi achanak us swargdoot ke saath swarg ki ek badi sena+ parmeshvar ki mahima karti hui aur yah kehti dikhayi di, 14  “swarg mein parmeshvar ki mahima ho aur dharti par un logon ko shaanti mile jinse parmeshvar khush hai.” 15  jab swargdoot vaapas swarg chale gaye, to charvahe ek-doosre se kehne lage, “chalo hum betlehem chalein aur jo yahova* ne hamein bataya hai woh dekhkar aayen.” 16  tab woh jaldi-jaldi gaye aur unhonne vahaan mariyam aur yoosuf ko dekha aur us shishu ko charni mein paaya. 17  jab charvahon ne us bachche ko dekha, to unhonne woh saari baatein batayin jo swargdoot ne uske baare mein kahi thi. 18  jitnon ne charvahon ki baatein sunin, woh sab taajjub karne lage. 19  magar mariyam ne in sab baaton ko apne dil mein sanjokar rakha+ aur woh inke matlab ke baare mein gehrai se sochne lagi. 20  tab charvahe, parmeshvar ki badai aur uska gungan karte huye laut gaye. jaisa unhein bataya gaya tha unhonne sabkuch vaisa hi suna aur dekha tha. 21  aath din baad jab bachche ka khatna karne ka samay aaya,+ to uska naam yeeshu rakha gaya. yah vahi naam tha jo swargdoot ne uske garbh mein padne se pehale bataya tha.+ 22  fir jab moosa ke kaanoon ke mutabik unhein shuddh karne ka samay aaya,+ to woh use yahova* ke saamne pesh karne ke liye yarooshalem le aaye, 23  theek jaisa yahova* ke kaanoon mein likha hai: “harek pehalautha yahova* ke liye pavitra thehraya jaaye.”+ 24  aur unhonne woh balidan chadhaya jo yahova* ke kaanoon mein bataya gaya hai: “faakhta ka ek joda ya kabootar ke do bachche.”+ 25  aur dekho! yarooshalem mein shimon naam ka ek aadmi tha jo nek aur parmeshvar ka bhakt tha. us par pavitra shakti thi aur woh us samay ke intazar mein tha jab parmeshvar israel ko dilasa dega.+ 26  itna hi nahin, parmeshvar ne pavitra shakti se us par zahir kiya tha ki jab tak woh yahova* ke maseeh ko na dekh le, tab tak maut ka munh nahin dekhega. 27  ab woh pavitra shakti se udhaare jaane par mandir mein aaya. jab nanhe yeeshu ko uske maata-pita andar laa rahe the taaki kaanoon ka rivaz poora karein,+ 28  tab shimon ne bachche ko apni baanhon mein liya aur parmeshvar ki badai karne laga, 29  “hey saare jahan ke maalik, ab tera yah daas shaanti se mar sakta hai+ kyonki jaisa toone vaada kiya tha, 30  meri aankhon ne use dekh liya hai jiske zariye tu uddhaar karega+ 31  aur jise toone diya hai taaki sab deshon ke log use dekhein.+ 32  woh raashtron ki aankhon se parda hatane ke liye ek raushni+ hai aur teri praja israel ki mahima hai.” 33  jab bachche ke baare mein ye baatein kahi jaa rahi thi, to uske maata-pita bade hairan the. 34  fir shimon ne unhein bhi aasheesh di aur uski maa mariyam se kaha, “dekh! yah israel mein bahoton ke girne+ aur bahoton ke fir se uthne ka kaaran hoga+ aur ek aisi nishani hoga jiske khilaf baatein ki jaayengi.+ 35  (aur jahaan tak teri baat hai, ek lambee talvar tere aar-paar ho jaayegi)+ taaki bahoton ke dil mein kya hai, yah khulkar saamne aaye.” 36  vahaan hanna naam ki ek bhavishyavaktin thi, jo bahot boodhi thi. woh aasher gotra ke fanooel ki beti thi. shaadi ke baad woh sirf saat saal tak apne pati ke saath reh paayi thi. 37  fir woh vidhva ho gayi aur ab uski umra 84 saal thi. woh mandir jaana kabhi nahin chhodti thi aur upvas aur minnatein karti hui raat-din pavitra seva mein lagi rehti thi. 38  woh theek usi ghadi vahaan aayi aur parmeshvar ka dhanyavad karne lagi aur un sabko jo yarooshalem ke chhutkare ka intazar kar rahe the,+ us bachche ke baare mein batane lagi. 39  jab yoosuf aur mariyam yahova* ke kaanoon mein bataye saare kaam poore kar chuke,+ to galeel mein apne shehar naasrat laut gaye.+ 40  woh bachcha badhta gaya aur taakatvar aur buddhiman hota gaya aur parmeshvar ki aasheesh us par bani rahi.+ 41  uske maata-pita apne dastoor ke mutabik har saal fasah ka tyohar manane yarooshalem jaaya karte the.+ 42  jab woh 12 saal ka tha, to woh tyohar ke dastoor ke mutabik yarooshalem gaye.+ 43  magar tyohar ke din khatm hone ke baad jab woh laut rahe the, to unka ladka yeeshu peechhe yarooshalem mein hi reh gaya. magar uske maata-pita ka is baat par dhyan nahin gaya. 44  unhonne socha ki woh musafiron ki toli mein hoga. isliye unhonne ek din ka safar tay kar liya. magar iske baad woh use apne rishtedaron aur jaan-pehchanvalon mein dhoondhne lage. 45  lekin jab woh nahin mila, to woh yarooshalem laut gaye aur use jagah-jagah dhoondhne lage. 46  teen din baad unhein woh mandir mein mila, jahaan woh shikshakon ke beech baitha unki sun raha tha aur unse saval kar raha tha. 47  jitne log uski sun rahe the, woh sabhi uski samajh aur uske javabon se reh-rehkar dang ho rahe the.+ 48  jab uske maata-pita ne use vahaan dekha, to woh bahot hairan ho gaye. uski maa ne usse kaha, “beta, toone hamare saath aisa kyon kiya? dekh, tera pita aur main tujhe paagalon ki tarah dhoondh rahe the!” 49  lekin usne unse kaha, “tum mujhe yahaan-vahaan kyon dhoondh rahe the? kya tum nahin jaante the ki main apne pita ke ghar mein hounga?”+ 50  magar woh uski baat ka matlab nahin samajh sake. 51  fir woh unke saath chala gaya aur naasrat aa gaya aur lagatar unke adheen raha.*+ uski maa ne ye saari baatein apne dil mein sanjokar rakhin.+ 52  yeeshu deel-daul aur buddhi mein badhta gaya aur parmeshvar aur logon ki kripa us par bani rahi.

kai footnote

yoonani mein “kaisar.”
ya “poori duniya.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya “unki aagya maanta raha.”