matti ke mutabik khushkhabri 16:1-28

  • chinh dikhane ke liye kaha (1-4)

  • fareesiyon aur sadookiyon ka khameer (5-12)

  • raaj ki chaabiyaan (13-20)

    • mandli chattan par banayi jaayegi (18)

  • yeeshu apni maut ki bhavishyavani karta hai (21-23)

  • sachcha chela kaun hai (24-28)

16  yahaan fareesi aur sadooki yeeshu ke paas aaye aur uski pareeksha lene ke liye kehne lage ki woh unhein swarg se ek chinh dikhaye.+  yeeshu ne unse kaha, “jab shaam hoti hai to tum kehte ho, ‘mausam saaf rahega kyonki aasman ka rang chatak laal hai.’  fir subah ke vakt kehte ho, ‘aaj mausam sard aur barsati hoga kyonki aasman ka rang laal to hai, magar baadal chhaaye hain.’ tum aasman ko dekhkar uska matlab samjhana to jaante ho, magar samay ki nishaniyaan dekhkar unka matlab samjhana nahin jaante.  yah dusht aur vishvasghati* peedhi hamesha koi chinh dekhne ki taak mein lagi rehti hai. magar ise yona ke chinh ko chhod aur koi chinh nahin diya jaayega.”+ yah kehne ke baad woh unhein chhodkar aage chala gaya.  chele us paar jaate samay apne saath rotiyaan lena bhool gaye the.+  yeeshu ne unse kaha, “apni aankhein khuli rakho aur fareesiyon aur sadookiyon ke khameer se chaukanne raho.”+  tab woh ek-doosre se kehne lage, “hum apne saath rotiyaan nahin laaye.”  yah jaankar yeeshu ne kaha, “are kam vishvas rakhnevalo, tum kyon aapas mein charcha kar rahe ho ki tumhare paas rotiyaan nahin hain?  kya tum ab tak nahin samjhe? kya tumhein yaad nahin ki kaise paanch rotiyon se 5,000 logon ne khaaya tha aur tumne bhari hui kitni tokriyaan uthayi thi? + 10  kya tumhein yaad nahin ki kaise saat rotiyon se 4,000 logon ne khaaya tha aur tumne bhare huye kitne tokre* uthaye the?+ 11  to fir, tum yah kyon nahin samajh paaye ki mainne tumse rotiyon ke baare mein nahin kaha balki yah kaha ki tum fareesiyon aur sadookiyon ke khameer se chaukanne raho?”+ 12  tab unhein samajh aaya ki woh fareesiyon aur sadookiyon ki shikshaon se chaukanne rehne ke liye kah raha hai, na ki rotiyon ke khameer ki baat kar raha hai. 13  jab yeeshu kaisariya filippi ke ilake mein aaya, to usne apne chelon se poochha, “log kya kehte hain, insan ka beta kaun hai?”+ 14  unhonne kaha, “kuch kehte hain, yuhanna baptisma denevala,+ doosre kehte hain eliyah+ aur kuch kehte hain yirmayah ya koi aur bhavishyavakta.” 15  yeeshu ne unse poochha, “lekin tum kya kehte ho, main kaun hoon?” 16  shamaun patras ne javab diya, “tu maseeh hai,+ jeevit parmeshvar ka beta.”+ 17  yeeshu ne usse kaha, “hey shamaun, yona ke bete, sukhi hai tu kyonki tu yah baat haad-maans ke insan ki madad se nahin, balki swarg mein rehnevale mere pita ki madad se samajh paaya hai.+ 18  main tujhse yah kehta hoon, tu patras hai.+ aur is chattan+ par main apni mandli khadi karoonga aur kabraa* ke darvaze us par haavi na ho sakeinge. 19  main tujhe swarg ke raaj ki chaabiyaan doonga aur jo kuch tu dharti par baandhega, woh pehale hi swarg mein bandha hoga aur jo kuch tu dharti par kholega, woh pehale hi swarg mein khula hoga.” 20  iske baad usne chelon ko sakhti se kaha ki woh kisi ko na batayen ki woh maseeh hai.+ 21  us vakt se yeeshu apne chelon ko batane laga ki use yarooshalem jaana hoga aur vahaan mukhiyaon, pradhan yaajkon aur shaastriyon ke haath kai dukh sehne honge, use maar daala jaayega aur fir teesre din zinda kar diya jaayega.+ 22  tab patras use alag le gaya aur jhidakne laga, “prabhu khud par daya kar, tere saath aisa kabhi nahin hoga.”+ 23  magar usne patras se munh fer liya aur kaha, “are shaitan, mere saamne se door ho jaa!* tu mere liye thokar ki vajah hai kyonki teri soch parmeshvar jaisi nahin, balki insanon jaisi hai.”+ 24  iske baad, yeeshu ne apne chelon se kaha, “agar koi mere peechhe aana chahta hai, to woh khud se inkar kare aur apna yaatna ka kaath* uthaye aur mere peechhe chalta rahe.+ 25  kyonki jo koi apni jaan bachana chahta hai woh use khoyega, magar jo koi meri khaatir apni jaan ganvata hai woh use paayega.+ 26  vaakai, agar ek insan saari duniya haasil kar le magar apni jaan ganva baithe, to use kya faayda?+ ya ek insan apni jaan ke badle kya dega?+ 27  kyonki yah tay hai ki insan ka beta apne pita se mahima paakaar apne swargdooton ke saath aayega. tab woh harek ko uske chaalchalan ke mutabik badla dega.+ 28  main tumse sach kehta hoon ki yahaan jo khade hain, unmein se kuch aise hain jo tab tak maut ka munh nahin dekheinge, jab tak ki woh insan ke bete ko uske raaj mein aata hua na dekh lein.”+

kai footnote

shaa., “vyabhichari.”
ya “bade tokre.”
ya “hades.” shabdavli dekhein.
shaa., “mere peechhe jaa.”
shabdavli dekhein.