neetivachan 14:1-35
14 jo aurat sachmuch mein buddhiman hai woh apna ghar banati hai,+magar moorkh apne hi haathon se use ujaad deti hai.
2 seedhai ki raah par chalnevala yahova ka dar maanta hai,lekin tedhi chaal chalnevala parmeshvar ko tuchh jaanta hai.
3 moorkh ki ghamand se bhari baatein chhadi ki maar jaisi hain,lekin buddhiman ke honth hifazat dete hain.
4 jahaan gaay-bail nahin hote, vahaan charni saaf rehti hai,lekin bail ki taakat se bahot paidavar hoti hai.
5 vishvasyogya gavah jhooth nahin bolta,lekin jhootha gavah baat-baat par jhooth bolta hai.+
6 hansi udanevala buddhi ko dhoondhta hai par use nahin paata,lekin samajh rakhnevale ko gyaan aasani se mil jaata hai.+
7 moorkh se door reh,uski baaton se tujhe koi gyaan nahin milega.+
8 hoshiyar insan ki buddhi use batati hai ki woh kis raah par hai,lekin moorkh apni moorkhta se dhokha khaata hai.*+
9 moorkh apni galti ko* hansi mein uda deta hai,+lekin seedhe-sachche log sulah karne ke liye taiyar rehte hain.*
10 ek insan hi apne dil ka dard jaanta haiaur uski khushi ko koi doosra nahin samajh sakta.
11 dusht ka ghar barbad ho jaayega,+lekin seedhe-sachche logon ka dera aabad rahega.
12 aisa bhi raasta hai jo insan ko sahi lagta hai,+magar aakhir mein woh use maut ki taraf le jaata hai.+
13 hansi ke peechhe bhi dil ka gam chhipa ho sakta haiaur mauj-masti dukh mein badal sakti hai.
14 jiska dil parmeshvar se door ho gaya hai woh apne kaamon ka fal bhogega,+lekin achhe insan ko apne kaamon ka badhiya fal milega.+
15 naadan har baat par aankh moondkar yakeen karta hai,lekin hoshiyar insan har kadam soch-samajhkar uthata hai.+
16 buddhiman satark rehta hai aur burai se munh fer leta hai,lekin moorkh befikra hota hai* aur khud par zyada hi bharosa karta hai.
17 jo fauran bhadak uthta hai, woh moorkhta ka kaam karta hai,+magar jo rukkar sochta hai* usse nafrat ki jaati hai.
18 naadan ko sirf moorkhta milegi,lekin hoshiyar ko gyaan ka taaj pehnaya jaayega.+
19 bure logon ko achhe logon ke aage jhukna padegaaur dusht ko nek ke faatkon ke saamne jhukna hoga.
20 gareeb se uske apne bhi nafrat karte hain,+lekin ameer ke kai dost hote hain.+
21 jo doosron ko tuchh samajhta hai woh paap karta hai,lekin jo gareeb par daya karta hai woh sukhi hai.+
22 jo saazish karta hai kya woh sahi raah se bhatak nahin jaayega?
lekin jo bhala karna chahta hai, usse atal pyar aur vafadari nibhayi jaayegi.+
23 mehnat ke har kaam se faayda hota hai,magar jo sirf baatein karna jaanta hai woh kangal ho jaata hai.+
24 buddhiman ki daulat uske sir ka taaj hai,lekin moorkh ke kaam moorkhta ke hi hote hain.+
25 sachcha gavah jaan bachata hai,lekin dhokhebaz baat-baat par jhooth bolta hai.
26 jo yahova ka dar maanta hai, woh us par poora bharosa rakhta hai+aur uske bachchon ko bhi panah milegi.+
27 yahova ka dar maanna jeevan ka sota hai,yah maut ke fande mein fansne se bachata hai.
28 badi praja raja ki shaan hai,+lekin jahaan praja nahin, vahaan shaasak barbad ho jaata hai.
29 jo krodh karne mein dheema hai woh paini samajh se maalamal hai,+lekin jo utavli karta hai woh apni moorkhta dikhata hai.+
30 shaant man se shareer bhala-changa rehta hai,lekin jalan haddiyon ko gala deti hai.+
31 jo deen-dukhiyon ko thagta hai, woh unke bananevale ka apman karta hai,+lekin jo gareeb par daya karta hai woh parmeshvar ki mahima karta hai.+
32 dusht ke bure kaam use le doobeinge,lekin nek jan apni nirdosh chaal ki vajah se sharan paayega.+
33 samajhdar ke man mein buddhi chupchap basi rehti hai,+lekin moorkh apni buddhi jatane ke liye utavla rehta hai.
34 neki ek desh ko uncha uthati hai,+lekin paap logon par badnami laata hai.
35 jo sevak androoni samajh dikhata hai, raja usse khush hota hai,+magar jo sharmnak kaam karta hai, raja us par bhadak uthta hai.+
kai footnote
^ ya shaayad, “se doosron ko dhokha deta hai.”
^ ya “galti sudhaarne ko.”
^ ya “logon ke beech achhi bhaavna hoti hai.”
^ ya “bhadak uthta hai.”
^ ya “magar jiske paas sochne-parakhne ki shakti hai.”