neetivachan 22:1-29
22 ek achha naam beshumar daulat se badhkar hai+aur aadar* paana sona-chaandi paane se kahin achha hai.
2 ameer aur gareeb mein ek baat milti-julti hai,*
donon ko yahova ne racha hai.+
3 hoshiyar insan khatra dekhkar chhip jaata hai,magar naadan badhta jaata hai aur anjam* bhugatta hai.
4 namra hone aur yahova ka dar maanne se,daulat, aadar aur jeevan milta hai.+
5 tedhe insan ki raah mein kaante aur fande bichhe hote hain,lekin jise apni jaan pyari hai woh inse door rehta hai.+
6 ladke* ko us raah par chalna sikha, jis par use chalna chahiye+aur woh budhape mein bhi usse nahin hatega.+
7 ameer, gareeb par raaj karta haiaur udhaar lenevala, udhaar denevale ka gulam hota hai.+
8 jo burai bota hai woh vipatti ki fasal kaatega+aur jis chhadi se woh kehar dhaata hai woh toot jaayegi.+
9 dariyadil insan par aasheeshein barseingi,kyonki woh gareebon ke saath apna khaana baantta hai.+
10 thattha karnevale ko bhaga de, tab jhagda mit jaayega,behasbazee* aur apman ka ant ho jaayega.
11 jiski boli manbhavni hai aur jise saaf dil pasand hai,raja uska dost hota hai.+
12 yahova, buddhi* se kaam lenevalon ki hifazat karta hai,lekin chhal-kapat karnevale ki baatein ulat deta hai.+
13 aalsi kehta hai, “baahar sher hai!
agar main chauk par gaya to pakka maara jaaunga.”+
14 badchalan* aurat ka munh gehri khaai hai+
aur yahova jise dhikkarta hai woh usmein jaa girega.
15 ladke* ke man mein moorkhta basi hoti hai,+lekin shiksha ki chhadi use door kar degi.+
16 jo gareeb ko lootkar apne bhandar bharta hai+aur jo ameer ko tohfe deta hai,woh donon hi gareeb ho jaayenge.
17 buddhiman ki baaton par kaan laga+taaki tu meri sikhayi baaton par poore dil se chal sake.+
18 inhein sanjoye rakh, tab tujhe khushi milegi+aur ye hamesha tere honthon par bani raheingi.+
19 mainne aaj ye baatein tujhe batayi haintaaki tera bharosa yahova par ho.
20 mainne pehale bhi bahot-si salahaur gyaan ki baatein tujhe likhi thi
21 ki tu sachchi aur bharosemand baatein seekheaur apne bhejnevale ke paas sahi-sahi jaankari le jaaye.
22 gareeb ko gareeb jaankar mat loot,+shehar ke faatak par deen-dukhiyon ko mat kuchal.+
23 kyonki khud yahova unka mukadma ladega+aur jo unhein lootte hain unhein zinda nahin chhodega.
24 garam mizajvale ke saath mat rehaur jo baat-baat par bhadak uthta hai usse dosti mat rakh,
25 kahin aisa na ho ki tu uske jaisi chaal chalne lageaur yah tere liye fanda saabit ho.+
26 un logon jaisa mat ban, jo haath milakardoosron ka karz chukane ka zimma lete hain.*+
27 kyonki agar tere paas chukane ke liye kuch na ho,to tera bistar bhi tujhse chheen liya jaayega.
28 barson pehale jo seema-chinhtere purkhon ne thehraya tha, use mat khiskana.+
29 kya toone aise aadmi ko dekha hai jo apne kaam mein maahir hai?
woh kisi maamooli insan ke saamne nahin,raja-maharajaon ke saamne khada hoga.+
kai footnote
^ shaa., “manzoori.”
^ shaa., “ek-doosre se milte hain.”
^ ya “saza.”
^ ya “bachche; javan.”
^ ya “mukadme.”
^ shaa., “gyaan.”
^ shaa., “parayi.”
^ ya “bachche; javan.”
^ ya “doosron ka zamin bante hain.”