neetivachan 6:1-35

  • doosron ka zamin banne se bach (1-5)

  • “hey aalsi, chinti ke paas jaa” (6-11)

  • nikamma aur dusht insan (12-15)

  • yahova ko saat cheezon se nafrat hai (16-19)

  • buri aurat se bach (20-35)

6  hey mere bete, agar toone kisi ka karz chukane ka zimma liya hai,*+agar toone kisi paraye se haath milaya hai,*+   agar tu vachan dekar fans gaya hai,zaban dekar bandh gaya hai,+   to hey mere bete, khud ko chhudane ke liye aisa kar: namra hokar us aadmi ke paas jaa aur uske aage gidgida,kyonki tu uske haath mein pad chuka hai.+   apni aankhon mein nind na aane de,apni palkon ko jhapki na lene de,   khud ko chhuda le, jaise chikara khud ko shikari ki pakad seaur panchhi khud ko baheliye ke haath se chhudata hai.   hey aalsi,+ chinti ke paas jaa,uske taur-tareeke dekh aur buddhiman ban.   uska na to senapati hota hai,na koi adhikari, na hi shaasak,   fir bhi woh garmiyon mein apne khaane ka intazam karti hai,+katni ke samay khaane ki cheezen batorti hai.   hey aalsi, tu kab tak pada rahega? nind se kab jaagega? 10  thodi der aur so le, ek aur jhapki le le,haath baandhkar thoda susta le,+ 11  tab gareebi, lutere ki tarah tujh par toot padegi,tangi, hathiyarband aadmi ki tarah hamla bol degi.+ 12  nikamma aur dusht insan tedhi-medhi baatein karta hai,+ 13  bure irade se aankh maarta hai,+pairon aur ungliyon se ishare karta hai. 14  uska man kapat se bhara hai,woh hamesha bura karne ki tarkeebein bunata hai+ aur jahaan jaata hai jhagde lagata hai.+ 15  isliye us par achanak vipatti aa padegi,pal-bhar mein uska aisa naash hoga ki bachne ki ummeed na hogi.+ 16  chh: cheezen hain jinse yahova nafrat karta hai,haan, saat cheezen hain jinse woh ghin karta hai: 17  ghamand se chadhi aankhein,+jhooth bolnevali jeebh,+begunahon ka khoon karnevale haath,+ 18  saazish rachnevala dil,+burai ki taraf daudnevale pair, 19  baat-baat par jhooth bolnevala gavah+aur bhaaiyon mein fut daalnevala aadmi.+ 20  hey mere bete, apne pita ki aagyaon ko maan,apni maa se milnevali seekh ko mat thukra.+ 21  inhein apne dil mein bitha,apne gale mein baandh. 22  jab tu chalega to ye teri aguvai kareingi,jab tu letega to tujh par pehra deingi,jab tu jaagega to tujhse baatein kareingi.* 23  ye aagyayen tere liye deepak hain,+ye kaanoon tere liye raushni hain+aur tujhe sudhaarne* ke liye di gayi daant jeevan ki or le jaayegi.+ 24  ye buri aurat se teri hifazat kareingi,+badchalan* aurat ki chikni-chupdi baaton se tujhe bachaayengi.+ 25  uski khoobsoorti dekhkar dil mein uski laalsa na karna+ya jab woh sundar aankhon se lubhaye to bahak na jaana, 26  kyonki veshya ke peechhe jaakaar insan roti ka mohtaj ho jaata hai,+magar doosre ki patni ke peechhe jaakaar woh apna anmol jeevan hi ganva baithta hai. 27  kya aisa ho sakta hai ki ek aadmi apne seene par aag rakhe aur uske kapde na jalein?+ 28  ya ek aadmi jalte angaron par chale aur uske pair na jhulsein? 29  doosre ki patni ke saath sambandh rakhnevale ka bhi yahi haal hota hai,us aurat ko chhoonevala saza se nahin bachega.+ 30  log us chor ko nahin dhikkarte,jo apni bhookh mitane ke liye chori karta hai, 31  fir bhi pakde jaane par use saat guna muavza bharna padta hai,jo kuch uske ghar mein hai, use dena padta hai.+ 32  vyabhichar karnevale mein samajh hi nahin hoti,*woh khud par barbadi laata hai,+ 33  dard aur apman ke siva use kuch nahin milta,+uski badnami door nahin hogi.+ 34  kyonki jalan ek pati ka krodh bhadkati hai,jab woh badla lega to koi reham nahin karega,+ 35  koi muavza* kabool nahin karega,tu use kitna hi bada tohfa de, uska gussa shaant nahin hoga.

kai footnote

yaani uski madad karne ka vaada kiya hai.
shaa., “tu kisi ka zamin bana hai.”
ya “tujhe sikhaayengi.”
ya “shiksha dene.”
shaa., “pardesi.”
shaa., “mein dil nahin hota.”
ya “firauti.”