nirgaman 14:1-31

  • israel saagar ke paas (1-4)

  • firaun ne israel ka peechha kiya (5-14)

  • israel ne laal saagar paar kiya (15-25)

  • misri, saagar mein doobe (26-28)

  • yahova par israel ka vishvas (29-31)

14  fir yahova ne moosa se kaha,  “israeliyon se kehna ki woh peechhe mud jaayen aur jaakaar peehaheerot mein dera daalein, jo migdol aur saagar ke beech hai. vahaan tum log saagar ke paas baal-sipon ke saamne dera daalna.+  tab firaun israeliyon ke baare mein kahega, ‘woh desh mein idhar-udhaar bhatak rahe hain, veerane mein fans gaye hain.’  aur main firaun ke dil ko kathor hone doonga.+ aur jab woh israeliyon ka peechha karte huye aayega to main use aur uski saari sena ko buri tarah hara doonga taaki meri mahima ho.+ aur misri log har haal mein jaan jaayenge ki main yahova hoon.”+ israeliyon ne theek vaisa hi kiya jaisa unhein bataya gaya tha.  baad mein misra ke raja firaun ko bataya gaya ki israeli bhaag gaye hain. yah sunte hi firaun aur uske adhikari pachhtane lage+ aur kehne lage, “yah hamne kya kiya! israeliyon ko, apne gulamon ko jaane diya!”  tab firaun ne apne yuddh-rath taiyar kiye aur apne yoddhaon ko lekar chal pada.+  usne misra ke 600 behtareen rath aur baaki sab rath liye. har rath par yoddha savaar the.  is tarah yahova ne misra ke raja firaun ka dil kathor hone diya aur firaun ne israeliyon ka peechha kiya jo bina kisi dar ke* chale jaa rahe the.+  firaun ki saari sena, uske rath aur ghudsavaar israeliyon ko pakadne ke liye unki taraf tezee se badhte gaye,+ jo saagar ke paas peehaheerot mein baal-sipon ke saamne dera daale huye the. 10  jab firaun israeliyon ke kareeb aa pahuncha to unhonne nazar uthakar dekha ki misri unka peechha karte huye chale aa rahe hain. israeli dar ke maare thar-thar kaanpne lage aur bachav ke liye yahova ko pukarne lage.+ 11  woh moosa se kehne lage, “tu kyon hamein yahaan veerane mein le aaya? kya misra mein kabrein kam pad gayi thi jo tu hamein yahaan marne ke liye le aaya?+ 12  kya hamne misra mein tujhse nahin kaha tha, ‘hamein apne haal par chhod de, hamein misriyon ki gulami karne de’? yahaan veerane mein aakaar marne se to achha hota ki hum misriyon ki gulami karte.”+ 13  tab moosa ne logon se kaha, “daro mat.+ mazboot khade raho aur dekho ki aaj yahova tumhein kis tarah uddhaar dilata hai.+ ye jo misri tumhare saamne hain ye aaj ke baad fir kabhi nazar nahin aayenge.+ 14  yahova khud tumhari taraf se ladega+ aur tum chupchap khade dekhoge.” 15  yahova ne ab moosa se kaha, “tu kyon meri duhai de raha hai? israeliyon se bol ki woh apna padav uthakar aage badhein. 16  aur tu apni chhadi saagar ki taraf badha aur use do hisson mein baaant de taaki beech mein sookhi zameen ban jaaye aur israeli us par chalkar saagar paar kar sakein. 17  dekh, mainne misriyon ke dil ko kathor hone diya hai taaki woh israeliyon ke peechhe-peechhe saagar ke beech aa jaayen. tab main firaun aur uski poori sena ko, uske yuddh-rathon aur ghudsavaaron ko buri tarah hara doonga jisse meri mahima ho.+ 18  is tarah jab main firaun aur uske yuddh-rathon aur ghudsavaaron ko harakar apni mahima karoonga to misri beshak jaan jaayenge ki main yahova hoon.”+ 19  tab sachche parmeshvar ka swargdoot,+ jo israeliyon ke aage-aage chal raha tha, vahaan se hatkar unke peechhe aa gaya. aur unke aage jo baadal ka khambha tha, woh aage se hatkar unke peechhe chala gaya+ 20  aur misriyon aur israeliyon ke beech khada ho gaya.+ baadal ne ek taraf andhera kar diya, magar doosri taraf itni raushni failayi ki raat-bhar ujala raha.+ baadal ki vajah se misri poori raat israeliyon ke paas nahin aa sake. 21  moosa ne ab apna haath saagar par badhaya+ aur yahova ne saari raat poorab se tez hava chalayi jisse saagar ka paani do hisson mein bat gaya+ aur beech mein sookhi zameen dikhayi dene lagi.+ 22  fir israeli sookhi zameen par utre aur saagar paar karne lage.+ is poore samay ke dauran unke daayin aur baayin taraf saagar ka paani unchi deevar ki tarah khada raha.+ 23  fir misri bhi unke peechhe-peechhe gaye. firaun ke ghode, yuddh-rath aur ghudsavaar israeliyon ka peechha karte huye saagar ke beech sookhi zameen par utar pade.+ 24  subah ke pehar* ke dauran, yahova ne aag aur baadal ke khambhe mein se dekha+ ki misri sena uske logon ki taraf chali aa rahi hai aur usne misriyon ke beech khalbali macha di. 25  parmeshvar ne unke rathon ke pahiye nikaal diye jisse unka aage badhna mushkil ho gaya. misri ek-doosre se kehne lage, “bhaago yahaan se, israeliyon se door bhaago. yahova unki taraf se lad raha hai, woh hum misriyon ka naash kar dega.”+ 26  iske baad yahova ne moosa se kaha, “apna haath saagar par badha taaki paani vaapas mil jaaye aur misriyon aur unke yuddh-rathon aur ghudsavaaron par gir pade.” 27  moosa ne fauran apna haath saagar par badhaya aur subah hote-hote saagar ka saara paani pehale ki tarah mil gaya. saagar ke paani ko milta dekh misriyon ne bhaagne ki koshish ki, magar yahova ne unhein saagar ke beech hi jhatak diya.+ 28  firaun ki poori sena par, uske yuddh-rathon aur ghudsavaaron par, jo israeliyon ka peechha karte huye saagar ke beech ghuse the, paani palatkar aa gira aur woh sab-ke-sab doob mare.+ ek bhi zinda nahin bacha.+ 29  magar israeli saagar ke beech sookhi zameen par chalte huye paar nikaal gaye+ aur paani unke daayin aur baayin taraf unchi deevar ki tarah khada raha.+ 30  is tarah yahova ne us din israeliyon ko misriyon ke haath mein padne se bachaya.+ israeliyon ne misriyon ki laashein saagar kinare padi dekhin. 31  unhonne dekha ki yahova ne kaise apni mahashakti se misriyon ko kadi saza di. aur log yahova ka dar maanne lage aur unhonne yahova aur uske sevak moosa par vishvas kiya.+

kai footnote

shaa., “unche haath ke saath.”
yaani subah kareeb 2 se 6 baje tak.