nirgaman 22:1-31

  • israel ke liye nyay-siddhaant (1-31)

    • chori ke baare mein (1-4)

    • faslon ko kiye gaye nuksan ke baare mein (5, 6)

    • muavza aur kisi cheez ke asli maalik ka pata lagane ke baare mein (7-15)

    • fuslakar rakhe gaye laingik sambandh ke baare mein (16, 17)

    • upasna aur samaj mein nyay ke baare mein (18-31)

22  “agar ek aadmi kisi ka bail ya bhed churakar halal kar de ya bech de, to use muavze mein ek bail ke badle paanch bail aur ek bhed ke badle chaar bhedein deni hongi.+  (agar ek chor+ seindh lagate huye pakda jaata hai aur us par aisa vaar kiya jaata hai ki woh mar jaata hai, to use maarnevala khoon ka doshi nahin hoga.  lekin agar chor din mein chori karte vakt maara jaaye to use maarnevala khoon ka doshi hoga.) ek chor ko chori kiye huye maal ka muavza dena hoga. agar uske paas dene ke liye kuch nahin hai, to use bech diya jaana chahiye taaki woh muavza de sake.  agar uske paas churaya hua jaanvar zinda paaya jaata hai, fir chahe woh bail ho ya gadha ya bhed, to use dugna muavza dena hoga.  agar koi aadmi apne jaanvaron ko maidan ya angooron ke baag mein charata hai aur unhein kisi aur ke khet mein charne deta hai, to use us khet ke maalik ko muavza dena hoga, use apne khet ya angooron ke baag ki sabse badhiya paidavar deni hogi.  agar koi aag jalata hai aur aag kanteeli jhaadiyon mein lagkar aisi failti hai ki poolon ka dher ya khadi fasal ya poora khet jalkar bhasm ho jaata hai, to aag jalanevale ko poore nuksan ki bharpai karni hogi.  agar ek aadmi apna paisa ya koi cheez apne sangi-saathi ko deta hai ki woh use sanbhalkar rakhe, magar woh uske ghar se chori ho jaati hai aur chor pakda jaata hai, to chor ko dugna muavza dena hoga.+  lekin agar chor pakda nahin jaata to ghar ke maalik ko sachche parmeshvar ke saamne pesh kiya jaana chahiye+ taaki yah pata lagaya jaaye ki kahin usi ne to haath saaf nahin kar diya.  agar kisi cheez ko lekar do aadmiyon ke beech jhagda hota hai kyonki unmein se ek daava karta hai, ‘yah meri hai!’ to aise har maamle ko nipatne ka tareeka yah hoga: donon aadmi apna maamla sachche parmeshvar ke saamne pesh karein,+ fir chahe jhagda ek bail, gadhe, bhed ya kapde ya khoyi hui kisi bhi cheez ko lekar ho. fir parmeshvar un donon mein se jise doshi batayega use apne sangi-saathi ko dugna muavza dena hoga.+ 10  agar ek aadmi apne sangi-saathi ke paas kuch samay ke liye apna gadha, bail, bhed ya koi aur paaltoo jaanvar chhodta hai, magar us dauran woh jaanvar mar jaata hai ya chot khaakaar langda ho jaata hai ya use koi utha le jaata hai aur iska koi gavah nahin, 11  to jiske havale jaanvar chhoda gaya tha use yahova ke saamne shapath khaakaar kehna hoga, ‘is nuksan ke liye main zimmedar nahin hoon’ aur jaanvar ke maalik ko uski baat maan leni chahiye. aur jise jaanvar saunpa gaya tha use muavza dene ki zaroorat nahin hai.+ 12  lekin agar uske yahaan se jaanvar ki chori ho jaati hai to use jaanvar ke maalik ko muavza dena hoga. 13  agar kisi jangli jaanvar ne us jaanvar ko faad daala hai to us aadmi ko iska saboot pesh karna hoga. jangli jaanvar se huye nuksan ke liye use muavza nahin dena padega. 14  agar koi apne sangi-saathi se kuch vakt ke liye uska jaanvar maangkar le jaata hai aur jaanvar ke maalik ke na rehte jaanvar chot khaakaar langda ho jaata hai ya mar jaata hai to jisne jaanvar liya tha use nuksan ka muavza dena hoga. 15  lekin agar nuksan maalik ke saamne hua hai, to maangnevale ko iski bharpai nahin karni hogi. agar jaanvar kiraye par liya gaya tha, to uske liye diya gaya kiraya hi muavza hoga. 16  agar ek aadmi kisi kunvari ladki ko, jiski ab tak sagai nahin hui hai, fuslakar uske saath sota hai to us aadmi ko mahar ki rakam dekar use apni patni banana hoga.+ 17  agar ladki ka pita use apni beti dene se saaf inkar kar deta hai to bhi us aadmi ko mahar ki utni rakam deni hogi jitni ek kunvari ladki ke liye deni hoti hai. 18  tum kisi tona-totka karnevali aurat ko zinda na chhodna.+ 19  jo kisi jaanvar ke saath yaun-sambandh rakhta hai use har haal mein maut ki saza di jaani chahiye.+ 20  jo koi yahova ko chhod kisi aur devta ko bali chadhata hai, use naash kiya jaaye.+ 21  tum apne yahaan rehnevale kisi pardesi ke saath badsalooki mat karna aur na hi us par zulm karna,+ kyonki tum bhi kabhi misra mein pardesi hua karte the.+ 22  tum kisi vidhva ya anath* ko mat satana.+ 23  agar tu unhein satayega aur woh meri duhai deinge to main zaroor unki sunoonga+ 24  aur tum par mera krodh bhadak uthega. main tumhein talvar se maar daaloonga aur tumhari patniyaan vidhva ho jaayengi aur tumhare bachche anath ho jaayenge. 25  agar tum mere logon mein se kisi gareeb* ko, jo tumhare beech rehta hai, paise udhaar dete ho to uske saath lendaron* jaisa salook mat karna, usse byaj ki maang mat karna.+ 26  agar kisi sangi-saathi ko udhaar dete vakt tum uska kapda girvi* rakhvate ho+ to sooraj dhalne se pehale uska kapda use lauta dena, 27  kyonki uske paas tan dhakne ke liye yahi ek kapda hai. bina iske woh kaise soyega?+ agar woh meri duhai dega to main zaroor uski sunoonga kyonki main karuna karnevala* parmeshvar hoon.+ 28  tum parmeshvar ki ninda mat karna+ aur na hi apne logon ke kisi pradhan* ki ninda karna.+ 29  tumhare yahaan jab anaj ki bharpoor paidavar hoti hai aur tel aur daakh-madira ke haud umadne lagte hain, to apni upaj mein se kuch mujhe chadhane se mat jhijhakna.+ tum apne beton mein se pehalautha mujhe dena.+ 30  apna pehalautha bachhda aur pehalautha medha bhi mujhe dena.+ paida hone ke saat din tak use apni maa ke saath rehne dena aur aathvein din mujhe arpit karna.+ 31  tum mere pavitra log hone ka saboot dena.+ tum maidan mein pade kisi aise jaanvar ka gosht mat khaana jise jangli jaanvar ne faad daala ho.+ tumhein use kutton ke saamne feink dena chahiye.

kai footnote

ya “jiske pita ki maut ho gayi hai.”
ya “soodkhor.”
ya “museebat ke maare.”
ya “bandhak.”
ya “dayalu.”
ya “shaasak.”