nirgaman 26:1-37

  • pavitra dera (1-37)

    • dera dhakne ke liye kapde (1-14)

    • chaukhatein aur choolein (15-30)

    • parda aur dvar ka parda (31-37)

26  tu pavitra dere+ ko dhakne ke liye das kapde banana. ye kapde bate huye badhiya malmal, neele dhaage, bainjni oon aur surkh laal dhaage se banana. aur un par kadhai karke karoob+ banana.+  har kapda 28 haath* lamba aur 4 haath chauda ho. ye dason kapde ek hi naap ke hone chahiye.+  inmein se paanch kapdon ko ek-doosre se jod dena aur baaki paanch ko bhi ek-doosre se jod dena.  paanch kapdon ke ek bhaag ke us chhor par tu neele dhaage ke fande banana jahaan doosra bhaag usse joda jaayega. doosre bhaag ke us chhor par bhi fande banana jahaan woh pehale bhaag se joda jaayega.  donon bhaagon ke chhor par pachas-pachas fande banana. ye fande ek-doosre ke aamne-saamne hon taaki donon bhaagon ko joda jaa sake.  aur sone ki 50 chimtiyaan banana aur unse donon bhaagon ko jod dena taaki unse ek bada kapda taiyar ho jaaye.+  tu pavitra dere ko dhakne ke liye bakri ke baalon se bhi bunkar kapde banana.+ tu is tarah ke 11 kapde banana.+  har kapda 30 haath lamba aur 4 haath chauda ho. ye 11 kapde ek hi naap ke hone chahiye.  inmein se paanch kapdon ko ek-doosre se jod dena aur baaki chhe ko bhi ek-doosre se jod dena. is kapde ko dere ke oopar is tarah daalna ki chhe kapdonvala bhaag saamne ki taraf ho. fir saamne ki taraf latke huye chhathe kapde ko mod dena. 10  paanch kapdon se bane bhaag ke chhor par tu 50 fande banana. usi tarah chhe kapdon se bane bhaag ke us chhor par bhi 50 fande banana jahaan woh pehale bhaag se joda jaayega. 11  tu tambe ki 50 chimtiyaan banana aur unhein fandon mein fansana taaki unse donon bhaagon ko jodkar ek bada kapda taiyar ho jaaye. 12  is bade kapde ko dere ke oopar daalne se uska jo hissa latka hua hoga use latka hi rehne dena. paanch kapdonvala jo bhaag dere par daala jaayega uske aadhe kapde ko peechhe ki taraf latka hi rehne dena. 13  bakri ke baalon se buna yah kapda dere ke donon taraf pehale kapde se ek-ek haath lamba hona chahiye taaki dera achhi tarah dhak jaaye. 14  tu dere ko dhakne ke liye ek aur chaadar banana jo laal rang se rangi hui medhe ki khaal ki ho. uske oopar daalne ke liye ek aur chaadar banana jo seel machhli ki khaal ki ho.+ 15  tu dere ke liye babool ki lakdi se aisi chaukhatein banana+ jo seedhi khadi ki jaa sakein.+ 16  har chaukhat ki unchai das haath aur chaudai dedh haath ho. 17  har chaukhat ke neeche do choolein* banana jo ek seedh mein hon. tum dere ki sabhi chaukhatein isi tarah banana. 18  tu dere ke dakshini hisse ke liye 20 chaukhatein banana. yah hissa dakshin ki taraf hoga. 19  in 20 chaukhaton ko khada karne ke liye chaandi ki 40 khaanchedar chaukiyaan+ banana jinmein choolon ko bithaya jaayega. har chaukhat ki do choolon ke liye do chaukiyaan hongi.+ 20  dere ke doosri taraf yaani uttari hisse ke liye 20 chaukhatein banana 21  aur unhein khada karne ke liye chaandi ki 40 khaanchedar chaukiyaan banana. har chaukhat ke liye do chaukiyaan hongi. 22  dere ke peechhe ke hisse yaani pashchimi hisse ke liye chhe chaukhatein banana.+ 23  aur tikone aakaar mein do chaukhatein banana jo dere ke liye kone ke khambhon ka kaam kareingi. 24  kone ki har chaukhat ke donon bhaag neeche se jaakaar oopri sire par ek-doosre se mil jaayen aur vahaan pehale kade par jud jaayen. donon konon ke liye aisi hi chaukhatein banana jo kone ke khambhon ka kaam kareingi. 25  is tarah peechhe ke hisse ke liye kul aath chaukhatein hongi aur unhein khada karne ke liye chaandi ki 16 khaanchedar chaukiyaan hongi, yaani har chaukhat ke neeche do chaukiyaan. 26  tu dere ki chaukhaton ko jodne ke liye babool ki lakdi ke dande banana. dere ke ek taraf ki chaukhaton ko jodne ke liye paanch dande,+ 27  doosri taraf ki chaukhaton ko jodne ke liye paanch dande aur peechhe yaani pashchimi hisse ki chaukhaton ko jodne ke liye paanch dande banana. 28  beech mein ek lamba danda hona chahiye jo ek kone se doosre kone tak chaukhaton ko jodega. 29  tu chaukhaton ko aur unhein jodnevale dandon ko sone se madhna.+ tu sone ke kade banana taaki unke andar dande daalkar chaukhaton ko joda jaa sake. 30  tu pavitra dere ko usi namoone ke mutabik khada karna jo tujhe pahad par dikhaya gaya hai.+ 31  tu neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur bate huye badhiya malmal se ek parda+ banana aur us par kadhai karke karoob banana. 32  is parde ko chaar khambhon par latkana. ye khambhe babool ki lakdi ke bane hon aur un par sona madha ho aur unhein chaandi ki chaar khaanchedar chaukiyon par bithana. in khambhon par sone ke ankade lagana. 33  parde ko chimtiyon ke neeche latkana. yah parda pavitra bhaag+ aur param-pavitra bhaag+ ke beech ek deevar ka kaam karega. fir gavahi ka sandook+ laakaar parde ke us taraf rakhna. 34  gavahi ke sandook ko dhakne se dhak dena aur use param-pavitra bhaag ke andar rakhna. 35  parde ke is taraf uttar disha mein mez rakhna. mez ke saamne yaani dakshin ki taraf deevat rakhna.+ 36  tu dere ke dvar ke liye bhi ek parda banana. yah parda neele dhaage, bainjni oon, surkh laal dhaage aur bate huye badhiya malmal se bunkar taiyar karna.+ 37  dere ke dvar par parda latkane ke liye babool ki lakdi ke paanch khambhe banana aur unhein sone se madhna. un khambhon par lagaye jaanevale ankade sone ke hone chahiye aur tu un khambhon ko khada karne ke liye tambe ki paanch khaanchedar chaukiyaan dhaalkar banana.

kai footnote

ek haath 44.5 c.m. (17.5 inch) ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya “chaukhat mein do seedhe khade khambhe.”