nirgaman 37:1-29
37 fir baslel+ ne babool ki lakdi se ek sandook+ banaya. uski lambai dhaai haath,* chaudai dedh haath aur unchai dedh haath thi.+
2 usne sandook par andar aur baahar se shuddh sona madha aur chaaron taraf sone ka ek nakkasheedar kinara banaya.+
3 fir usne sone ke chaar kade dhaalkar banaye aur unhein sandook ke chaaron paayon ke oopar lagaya. sandook ke ek taraf do kade aur doosri taraf do kade.
4 iske baad usne babool ki lakdi se dande banaye aur un par sona madha.+
5 usne ye dande sandook ke donon taraf lage kadon mein daale taaki unke sahare sandook uthaya jaa sake.+
6 usne sandook ke liye shuddh sone se ek dhakna taiyar kiya.+ uski lambai dhaai haath aur chaudai dedh haath thi.+
7 fir usne hathaude se sona peetkar usse do karoob+ banaye aur unhein sandook ke dhakne ke donon kinaron par lagaya.+
8 ek kinare par ek karoob aur doosre kinare par doosra karoob tha. is tarah usne dhakne ke donon kinaron par karoob banaye.
9 karoobon ke donon pankh oopar ki taraf faile huye the aur sandook ke dhakne ko dhake huye the.+ donon karoob aamne-saamne the aur unke munh dhakne ki taraf neeche jhuke huye the.+
10 fir usne babool ki lakdi se ek mez banayi.+ uski lambai do haath, chaudai ek haath aur unchai dedh haath thi.+
11 usne mez ko shuddh sone se madha aur uske chaaron taraf sone ka ek nakkasheedar kinara banaya.
12 fir us kinare ke saath-saath mez ke chaaron taraf ek patti bhi banayi. us patti ki chaudai chaar angul* thi. patti ke neeche sone ka ek nakkasheedar kinara banaya.
13 mez ke liye usne sone ke chaar kade dhaalkar banaye aur unhein mez ke chaaron konon par us jagah lagaya jahaan uske chaar paaye jude huye the.
14 ye kade mez ki patti ke bilkul paas lagaye gaye taaki unke andar woh dande daale jaayen jinke sahare mez uthayi jaati.
15 fir usne babool ki lakdi se woh dande banaye jinke sahare mez uthayi jaati aur un par sona madha.
16 iske baad usne mez ke liye shuddh sone se ye bartan banaye: thaaliyaan, pyale, argh chadhane ke katore aur surahiyaan.+
17 fir usne shuddh sone ki ek deevat banayi.+ usne sone ke ek hi tukde ko peetkar poori deevat yaani uska paaya, uski dandi, fool, kaliyaan aur pankhudiyaan banayin.+
18 deevat ki dandi par chhe daaliyaan thi, dandi ke ek taraf teen aur doosri taraf teen.
19 har daali par baadam ke fool jaise teen foolon ki banavat thi. foolon ke beech ek kali aur ek pankhudi ki rachna thi. is tarah ki rachnayen deevat ki dandi se nikaalnevali chhe ki chhe daaliyon par thi.
20 deevat ki dandi par baadam ke fool jaise chaar foolon ki banavat thi aur foolon ke beech ek kali aur ek pankhudi thi.
21 deevat ki dandi ke jis hisse se daaliyon ka pehala joda nikala uske neeche ek kali jaisi rachna thi. isi tarah, jahaan se daaliyon ka doosra aur teesra joda nikala, uske neeche bhi ek-ek kali jaisi rachna thi. deevat ki dandi se nikaalnevali chhe daaliyon ke neeche ye rachnayen thi.
22 shuddh sone ke ek hi tukde ko hathaude se peetkar kaliyaan, daaliyaan aur poori deevat banayi gayi.
23 usne deevat ke liye shuddh sone se saat deeye,+ chimte aur aag uthane ke karchhe banaye.
24 usne deevat aur uske saath istemal honevali saari cheezen ek tode* shuddh sone se banayin.
25 fir usne babool ki lakdi se dhoop ki vedi+ banayi. yah vedi chaukor thi, lambai ek haath aur chaudai ek haath. iski unchai do haath thi. vedi ke konon ko ubhra hua banakar sing ka aakaar diya gaya.+
26 usne poori vedi ko yaani uske oopri hisse, uske baazuon aur singon ko shuddh sone se madha. aur vedi ke chaaron taraf sone ka ek nakkasheedar kinara banaya.
27 usne vedi par aamne-saamne donon baazuon mein, nakkasheedar kinare ke neeche sone ke do-do kade lagaye taaki unmein woh dande daale jaayen jinke sahare vedi uthayi jaati.
28 fir usne babool ki lakdi se dande banaye aur un par sona madha.
29 usne abhishek ka pavitra tel+ aur shuddh, sugandhit dhoop bhi taiyar kiya,+ jinhein masalon ke umda mishran se banaya gaya tha.*
kai footnote
^ ya “theek vaise hi jaise koi itra bananevala banata hai.”