romiyon ke naam chitthi 11:1-36

  • sabhi israeli nahin thukraye gaye (1-16)

  • jaitoon ke ped ki misal (17-32)

  • parmeshvar ki buddhi ki gehrai (33-36)

11  to fir, main poochhta hoon kya parmeshvar ne apne logon ko thukra diya?+ bilkul nahin! kyonki main bhi to ek israeli hoon aur abraham ke vansh* aur binyameen gotra se hoon.  parmeshvar ne apne un logon ko nahin thukraya, jin par usne sabse pehale khaas dhyan diya.+ kya tum nahin jaante ki jab eliyah ne parmeshvar se israel ki shikayat ki thi, to is baare mein shastra kya kehta hai?  “hey yahova,* unhonne tere bhavishyavaktaon ko maar daala hai aur teri vediyon ko khodkar gira diya hai aur main hi akela bacha hoon aur ab woh meri jaan ke peechhe pade hain.”+  lekin parmeshvar ne use kya javab diya? “mere ab bhi aise 7,000 aadmi hain jinhonne baal ke saamne ghutne tekkar dandvat nahin kiya.”+  usi tarah, aaj bhi kuch bache huye log hain+ jinhein parmeshvar ki maha-kripa ki vajah se chuna gaya hai.  agar yah chunav maha-kripa ki vajah se hai+ to iska matlab yah unke kaamon ki vajah se nahin hai.+ nahin to maha-kripa, maha-kripa nahin rehti.  to fir hum kya kahein? israel jis cheez ki khoj mein bade jatan se laga hua tha woh use nahin mili, magar yah chune huon ko mili.+ baaki log kathor ho gaye,+  theek jaisa likha hai, “parmeshvar ne unhein maano gehri nind mein daal diya hai,+ unki aankhein aisi hain jo dekh nahin saktin aur kaan aise hain jo sun nahin sakte. aaj tak unki yahi haalaat hai.”+  aur daavid bhi kehta hai, “unki mez unke liye fanda, jaal, thokar khilanevala patthar aur saza ka kaaran ban jaaye. 10  unki aankhon ke aage andhera chhaa jaaye taaki woh dekh na sakein aur unki kamar hamesha ke liye jhuki rahe.”+ 11  isliye main poochhta hoon, kya unhonne is tarah thokar khaayi ki hamesha ke liye gir padein? beshak nahin! magar unke galat kadam uthane se gair-yahoodi logon ko uddhaar mila taaki yahoodiyon mein jalan paida ho.+ 12  ab agar unke galat kadam uthane se duniya ko aasheeshein milin aur unke ghatne se gair-yahoodi logon ne aasheeshein paayin,+ to unki ginti ke poora hone se aur kitna faayda hoga! 13  ab main tum gair-yahoodiyon se baat kar raha hoon. main gair-yahoodi raashtron ke liye preshit hoon yaani mujhe unke paas bheja gaya hai,+ isliye main apni seva ka bahot samman* karta hoon+ 14  taaki apne logon mein kisi tarah jalan paida kar sakoon aur unmein se kuch ka uddhaar karva sakoon. 15  isliye ki jab unhein tyag diya gaya+ aur isse duniya ke liye parmeshvar ke saath sulah karne ka raasta khula, to socho agar unhein sweekar kiya jaaye to kaisa hoga! yah aisa hoga maano woh pehale mar gaye the magar ab zinda ho gaye hain. 16  iske alava, agar pehale fal ke taur par li gayi aate ki loi pavitra hai, to gundha hua poora aata bhi pavitra hai aur agar jad pavitra hai, to daaliyaan bhi pavitra hain. 17  achhe jaitoon ke ped ki kuch daaliyaan tod di gayin aur tujhe jangli jaitoon hote huye bhi uski baaki daaliyon ke beech kalam lagaya gaya hai aur tu uski jad ke uttam ras ka hissedar ho gaya hai. 18  isliye tu ghamand se bharkar* un tooti daaliyon ko neecha mat samajh. agar tu ghamand karta hai,*+ to yaad rakh ki tu jad ko nahin sambhale huye hai, balki jad tujhe sambhale huye hai. 19  tu kahega, “daaliyaan iseeliye tod di gayin ki main us ped par kalam lagaya jaaun.”+ 20  tu theek kah raha hai! magar unhein isliye toda gaya kyonki unmein vishvas ki kami thi,+ par tu apne vishvas ki vajah se kaayam hai.+ ghamand karna band kar, balki saavdhan reh. 21  isliye ki jab parmeshvar ne asli daaliyon ko nahin chhoda, to tujhe bhi nahin chhodega. 22  isliye dhyan de ki parmeshvar ne kaisi kripa ki+ aur kaisi sakhti barti. jo gir gaye unke saath usne sakhti barti hai+ lekin tujh par uski kripa hai. ab tu uski kripa ke laayak bana reh, varna tu bhi kaat daala jaayega. 23  aur agar woh fir se vishvas karne lagein, to unhein bhi ped par kalam lagaya jaayega+ kyonki parmeshvar unhein dobara jod sakta hai. 24  isliye ki jab tujhe jangli jaitoon mein se kaatkar, baag mein ugaye gaye asli jaitoon ke ped par kalam lagaya gaya hai jabki aam taur par aisa nahin kiya jaata, to in asli daaliyon ko apne hi jaitoon ke ped par aur kitni aasani se lagaya jaa sakta hai! 25  bhaaiyo, main nahin chahta ki tum apni hi nazar mein khud ko buddhiman samjho aur is pavitra rehasya se anjan raho:+ kuch israeli tab tak kathor bane rahe, jab tak ki gair-yahoodiyon ki ginti poori nahin ho gayi 26  aur is tarah saara israel+ uddhaar paayega. theek jaisa likha hai, “chhudanevala* siyyon se aayega+ aur yakub se aise kaam mita dega jinse parmeshvar ka anadar hota hai. 27  main unke saath yah karar tab karoonga+ jab main unke paap mita doonga.”+ 28  yah sach hai ki woh khushkhabri ko thukrakar parmeshvar ke dushman ban gaye aur isse tumhein faayda hua, magar parmeshvar ne unke purkhon se jo vaada kiya tha uski vajah se usne unmein se kuch logon ko apna dost chuna hai.+ 29  isliye ki vardanon aur bulave ke maamle mein parmeshvar apna faisla nahin badlega. 30  ek vakt tha jab tum parmeshvar ki aagya nahin maante the,+ magar tum par isliye daya ki gayi+ kyonki unhonne aagya nahin maani.+ 31  jis tarah unke aagya na maanne se tum par daya ki gayi, usi tarah un par bhi daya ki jaa sakti hai. 32  isliye ki parmeshvar ne un sabko aagya na maanne ki kaid mein padne diya+ taaki woh un sab par daya kare.+ 33  vaah! parmeshvar ki daulat aur buddhi aur gyaan ki gehrai ki koi thaah nahin! uske faisle hamari soch se pare hain aur uski raahein hamari samajh se baahar hain! 34  isliye ki “kaun yahova* ki soch jaan saka hai ya kaun uska salahkar ban saka hai?”+ 35  ya “kaun hai jisne use kuch diya ho ki use lautaya jaaye?”+ 36  kyonki sabkuch usi ki taraf se, usi ke zariye aur usi ke liye hai. uski mahima hamesha-hamesha tak hoti rahe. aameen.

kai footnote

shaa., “beej.”
ati. ka5 dekhein.
ya “ki badai.”
ya “shekhi maarta hai.”
ya “shekhi maarte huye.”
ya “uddharkarta.”
ati. ka5 dekhein.