romiyon ke naam chitthi 7:1-25
7 bhaaiyo, kya aisa ho sakta hai ki tumhein yah nahin maaloom ho (main unse baat kar raha hoon jo kaanoon jaante hain) ki ek insan par tab tak kaanoon ka adhikar rehta hai, jab tak woh zinda hai?
2 misal ke liye, ek shaadishuda aurat apne pati ke jeete-ji kaanooni taur par usse bandhi hoti hai, lekin agar uska pati mar jaaye, to woh uske kaanoon se chhoot jaati hai.+
3 agar woh pati ke jeete-ji kisi aur aadmi ki ho jaaye, to yah kaha jaayega ki usne vyabhichar* kiya hai.+ lekin agar uska pati mar jaaye, to woh uske kaanoon se chhoot jaati hai. iske baad agar woh kisi aur aadmi ki ho jaaye, to yah nahin kaha jaayega ki usne vyabhichar* kiya hai.+
4 usi tarah mere bhaaiyo, tum maseeh ke shareer ke zariye kaanoon ke liye mar chuke ho taaki tum maseeh ke ho jaao+ jise mare huon mein se zinda kiya gaya tha.+ yah isliye hua hai taaki hum parmeshvar ke liye fal paida karein.+
5 kyonki jab hum shareer ki ichhaon ke mutabik jeete the, tab kaanoon ne hamein apni paap-bhari vaasnaon ka ehsas dilaya, jo hamare shareer* mein kaam kar rahi thi ki hum aise fal paida karein jinka anjam maut hai.+
6 magar ab hum is kaanoon se aazad ho chuke hain+ kyonki hum jiske bandhan mein the uske liye mar chuke hain taaki hum likhit kaanoon se purane maayne mein nahin+ balki pavitra shakti se ek naye maayne mein daas banein.+
7 to fir hum kya kahein? kya kaanoon mein khot hai?* hargiz nahin! darasal agar kaanoon na hota, to main paap ke baare mein kabhi nahin jaan paata.+ misal ke liye, agar kaanoon yah na kehta, “tu laalach na karna,” to laalach kya hai yah main nahin jaan paata.+
8 magar paap ne mauka milte hi kaanoon ka faayda uthakar mere andar har tarah ka laalach paida kiya. kyonki bina kaanoon ke paap mara hua tha.+
9 darasal ek vakt aisa tha jab main kaanoon ke bina zinda tha. magar jab kaanoon aaya to paap fir se zinda ho gaya aur main mar gaya.+
10 aur jo aagya jeevan ke liye thi,+ mainne paaya ki woh mere liye maut ki vajah bani.
11 kyonki paap ne mauka milte hi kaanoon ka faayda uthakar mujhe behkaya aur iske zariye mujhe maar daala.
12 kaanoon apne aap mein pavitra hai aur aagya pavitra , nek aur achhi hai.+
13 to fir jo achha hai, kya woh meri maut ki vajah bana? hargiz nahin! balki paap meri maut ki vajah bana taaki jo achha hai usse zahir ho ki paap hi mere andar kaam karte huye mujhe maut ki taraf le jaa raha hai+ aur kaanoon ki aagya ke zariye paap ki burai aur bhi badhkar zahir ho.+
14 hum jaante hain ki kaanoon parmeshvar ki taraf se hai, magar main paapi* hoon aur paap ke haathon bika hua hoon.+
15 main jo karta hoon, main samajh nahin paata ki kyon aisa karta hoon. kyonki main jo karna chahta hoon woh nahin karta, magar jis kaam se mujhe nafrat hai vahi karta hoon.
16 lekin agar main vahi karta hoon jo main nahin karna chahta, to main maanta hoon ki kaanoon badhiya hai.
17 isliye main jo kar raha hoon woh main nahin, balki paap kar raha hai jo mere andar basa hua hai.+
18 main jaanta hoon ki mujhmein yaani mere shareer mein zara bhi achhai nahin basi hai, kyonki bhala kaam karne ki ichha to mere andar hai magar bhala kaam mujhse hota nahin.+
19 kyonki jo achha kaam main karna chahta hoon woh nahin karta, magar jo bura kaam nahin karna chahta, vahi karta rehta hoon.
20 to agar main vahi karta hoon jo nahin karna chahta, to ise karnevala main nahin balki paap hai jo mere andar basa hua hai.
21 to fir main apne maamle mein yah niyam paata hoon: jab main achha karna chahta hoon, to apne andar burai ko hi paata hoon.+
22 mere andar ka insan vaakai parmeshvar ke kaanoon se khushi paata hai+
23 magar main apne shareer* mein doosre kaanoon ko kaam karta hua paata hoon, jo mere soch-vichar par raaj karnevale kaanoon se ladta hai+ aur mujhe paap ke us kaanoon ka gulam bana leta hai+ jo mere shareer* mein hai.
24 main kaisa laachar insan hoon! mujhe is shareer se, jo mar raha hai, kaun chhudayega?
25 hamare prabhu, yeeshu maseeh ke zariye parmeshvar ka dhanyavad ho! main apne soch-vichar mein to parmeshvar ke kaanoon ka daas hoon, magar mera shareer paap ke kaanoon ka gulam hai.+
kai footnote
^ shaa., “angon.”
^ shaa., “kya kaanoon paap hai?”
^ shaa., “shaareerik.”
^ shaa., “angon.”
^ shaa., “angon.”