romiyon ke naam chitthi 9:1-33

  • paidaishi israel ke liye paulus ka dukh (1-5)

  • abraham ke asli vanshaj (6-13)

  • parmeshvar ki pasand par saval nahin uthaya jaa sakta (14-26)

    • krodh aur daya ke bartan (22, 23)

  • mutthi-bhar log hi uddhaar paayenge (27-29)

  • israel ne thokar khaayi (30-33)

9  main maseeh mein sach kehta hoon, main jhooth nahin bol raha jaise mera zameer bhi mere saath pavitra shakti mein gavahi deta hai  ki mujhe gehra dukh hai aur mere dil mein aisa dard uthta hai jo thamne ka naam nahin leta.  kaash! apne yahoodi bhaaiyon ke badle, jinke saath mera khoon ka rishta hai, main aisa shaapit jan thaharta jo maseeh se door ho gaya hai.  ye israeli hain, jinhein beton ke naate god liya gaya tha.+ unhin ko mahima di gayi thi, unke saath karar kiye gaye the+ aur unhein kaanoon+ aur pavitra seva karne ka samman diya gaya tha+ aur unhin se vaade kiye gaye the.+  hamare purkhe bhi unhin mein se the+ aur unhin ke vansh se maseeh aaya.+ parmeshvar jo sabke oopar hai, hamesha-hamesha ke liye uski taareef ho. aameen.  magar iska yah matlab nahin ki parmeshvar ka vachan naakam ho gaya. darasal israel ke vansh se nikaalnevale sabhi log sachmuch israeli nahin hain.+  na hi abraham ke vanshaj* hone ki vajah se woh sabhi asal mein uske bachche hain,+ magar jaisa likha hai, “tujhse jis vansh* ka vaada kiya gaya hai woh ishaak se aayega.”+  iska matlab yah hai ki jo khoon ke rishte se abraham ke bachche hain, woh asal mein parmeshvar ke bachche nahin,+ balki jo parmeshvar ke vaade ke mutabik uske bachche hain,+ woh hi abraham ka vansh* maane jaate hain.  kyonki parmeshvar ne yah vaada kiya tha, “main agle saal isi samay aaunga aur saara ke ek beta hoga.”+ 10  magar yah vaada sirf us vakt hi nahin, balki tab bhi kiya gaya tha jab ribka hamare purkhe ishaak se garbhvati hui aur uske garbh mein judvaan bachche the.+ 11  yah vaada us vakt kiya gaya tha jab bachche paida bhi nahin huye the, na hi unhonne koi achha-bura kaam kiya tha taaki yah chunav parmeshvar ke maksad ke mutabik ho, na ki insan ke kaamon ke mutabik. parmeshvar usi ko chunta hai jise woh chahta hai. 12  parmeshvar ne ribka se kaha tha, “bada chhote ka daas hoga.”+ 13  theek jaisa likha bhi hai, “mainne yakub se pyar kiya magar esav se nafrat ki.”+ 14  to hum kya kahein? kya parmeshvar anyay karta hai? hargiz nahin!+ 15  isliye ki usne moosa se kaha, “main jis kisi par daya dikhana chahoon us par daya dikhaunga aur jis kisi par karuna karna chahoon us par karuna karoonga.”+ 16  to fir parmeshvar kise chunega yah na to insan ki ichha par nirbhar karta hai na hi uski mehnat par,* balki parmeshvar par nirbhar karta hai jo daya dikhata hai.+ 17  isliye ki shastravachan firaun ke baare mein kehta hai, “mainne tujhe isliye zinda chhoda hai taaki tere maamle mein apni shakti dikhaun aur poori dharti par apne naam ka ailan kara sakoon.”+ 18  to fir, parmeshvar jis par chahe us par daya dikhata hai magar jise chahe use dheeth hone deta hai.+ 19  magar ab tu mujhse kahega, “to fir kyon woh insanon ko ab bhi doshi thehrata hai? kaun hai jo uski marzee ke khilaf khada reh saka hai?” 20  magar hey insan, tu kaun hai jo parmeshvar ko palatkar javab dene ki jurrat kar raha hai?+ kya dhali hui cheez apne dhaalnevale se kah sakti hai, “toone mujhe aisa kyon banaya?”+ 21  kya kumhar ko mitti par adhikar nahin+ ki woh ek hi londe se ek bartan aadar ke kaam ke liye aur doosra maamooli kaam* ke liye banaye? 22  parmeshvar bhi chahta hai ki woh dushton par krodh prakat kare aur apni shakti dikhaye, fir bhi woh bahot sabraa rakhta hai aur usne krodh ke baratnon yaani dushton ko bardasht kiya hai jo naash ke laayak hain. 23  usne yah isliye kiya taaki apni apar mahima, daya ke baratnon par dikhaye+ jinhein usne mahima paane ke liye pehale se taiyar kiya hai 24  yaani hum par jinhein usne na sirf yahoodiyon mein se balki gair-yahoodi raashtron mein se bhi bulaya hai.+ 25  yah aisa hi hai jaisa hoshe ki kitab mein bhi woh kehta hai, “jo mere log nahin the,+ unhein main ‘apne log’ kahoonga aur jo meri pyari nahin thi, use ‘pyari’ kahoonga+ 26  aur jis jagah unse kaha gaya tha, ‘tum mere log nahin ho,’ vahaan woh ‘jeevit parmeshvar ke bete’ kehlayenge.”+ 27  itna hi nahin, yashayah israel ke baare mein pukarkar kehta hai, “israel ke beton ki ginti chahe samundar ki baaloo ke kinkon jitni anginat kyon na ho, magar sirf mutthi-bhar log* hi uddhaar paayenge.+ 28  isliye ki yahova* dharti par hisab lega aur badi tezee se yah kaam poora karega.”+ 29  saath hi, jaise yashayah ne pehale se bataya tha, “agar senaon ke parmeshvar yahova* ne hamare kuch vanshajon ko zinda na chhoda hota, to hum sadom ki tarah ban gaye hote, hamara haal amora jaisa ho gaya hota.”+ 30  to fir hum kya kahein? yahi ki haalanki gair-yahoodi raashtron ke log nek thaharne ki koshish nahin kar rahe, fir bhi parmeshvar unhein nek thehra raha hai+ kyonki unmein vishvas hai.+ 31  lekin israel ne kaanoon par chalkar nek thaharne ki koshish ki, fir bhi woh kaanoon ke mutabik poori tarah chal nahin sake. 32  vajah kya thi? unhonne vishvas se nahin balki apne kaamon se nek thaharne ki koshish ki. unhonne “thokar khilanevale patthar” se thokar khaayi+ 33  jaisa likha bhi hai, “dekh! main siyyon mein thokar khilanevala patthar+ aur thes pahunchanevali chattan rakhta hoon, magar jo us par vishvas karta hai woh nirash nahin hoga.”+

kai footnote

shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
shaa., “beej.”
shaa., “na to chahnevale par nirbhar karta hai, na hi daudnevale par.”
shaa., “anadar.”
ya “bache huye log.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.