shreshtgeet 8:1-14

  • javan ladki (1-4)

    • “kaash! tu mere bhaai jaisa hota” (1)

  • javan ladki ke bhaai (5k)

    • ‘yah kaun hai jo apne saajan ki baanhon mein baahein daali hai?’

  • javan ladki (5kh-7)

    • ‘pyar mein maut ki tarah taakat hai’ (6)

  • javan ladki ke bhaai (8, 9)

    • “agar woh ek deevar hogi, . . . lekin agar woh ek darvaza hogi, . . .” (9)

  • javan ladki (10-12)

    • “main ek deevar hoon” (10)

  • charvaha (13)

    • ‘main teri aavaz sunnaa chahta hoon’

  • javan ladki (14)

    • ‘chikare ki tarah furti kar’

8  kaash! tu mere bhaai jaisa hota,kaash! toone meri hi maa ka doodh peeya hota, fir to baahar milne par main tujhe choom leti+aur koi mujhe neechi nazron se na dekhta.   main tujhe apni maa ke ghar le jaati,+uske ghar, jisne mujhe shiksha di. main tujhe masalevali daakh-madira deti,anar ka taaza ras pilati.   uska baayaan haath mere sir ke neeche hotaaur daayen haath se woh mujhe baanhon mein bhar leta.+   hey yarooshalem ki betiyon, kasam khaao, jab tak pyar khud mere andar na jaage, tum use jagane ki koshish nahin karogi.”+   “yah kaun hai jo apne saajan ki baanhon mein baanhein daale veerane se chali aa rahi hai?” “seb ke ped ke neeche mainne tujhe jagaya tha,usi jagah jahaan teri maa ko prasav-peeda uthi thiaur jahaan us peeda mein usne tujhe janm diya tha.   mujhe muhar ki tarah apne dil par laga le,apne baazoo par mujhe muhar kar le. kyonki pyar mein maut ki tarah zabardast taakat hoti hai,+sachchi vafa* kabraa* ki tarah kisi ke aage nahin jhukti. iski laptein dhadhakti aag ki laptein hain,haan, yaah* ki laptein hain.+   na ufanti lehrein pyar ko bujha sakti hain,+na nadiyaan ise bahakar le jaa sakti hain.+ agar koi apni saari daulat dekar ise khareedna chahe,to bhi woh daulat* thukra di jaayegi.”   “hamari ek chhoti behen hai,+uski chhaati abhi tak ubhri nahin hai. jis din koi uska haath maangne aayega,us din hum apni behen ke liye kya kareinge?”   “agar woh ek deevar hogi,to hum uski munder ko chaandi se sajaayenge.lekin agar woh ek darvaza hogi,to hum devdar ka takhta thonkkar use band kar deinge.” 10  “main ek deevar hoonaur mere stan meenaron ke samaan hain. isliye mera saajan dekh sakta hai ki mujhe man ka sukoon hai. 11  baal-hamon mein sulaiman ka angooron ka baag hai,+ jiski dekhbhal ka zimma usne rakhvalon ko diya hai aur har rakhvala falon ke liye use chaandi ke ek hazar tukde deta hai. 12  ae sulaiman, tere chaandi ke hazar tukde* tujhe mubarak, tere rakhvalon ko unki mehnat ke do sau tukde mubarak,par main apne angooron ke baag se khush hoon.” 13  “ae baagon mein rehnevali,+mere saathi teri aavaz sunnaa chahte hain, main bhi teri aavaz sunnaa chahta hoon.”+ 14  “mere saajan, jaldi aa,chikare ki tarah, javan hiran ki tarah furti kar,+khushboodar paudhon ke pahadon ko faandte huye chala aa.”

kai footnote

“yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
ya “sheol.” shabdavli dekhein.
shaa., “sachchi bhakti.”
ya shaayad, “woh aadmi.”
shaa., “tere hazar.”