titus ke naam chitthi 1:1-16
1 main paulus, parmeshvar ka daas aur yeeshu maseeh ka preshit hoon. mera vishvas aur meri seva, chune huon ke vishvas ke mutabik hai aur us sachchai ke sahi gyaan ke mutabik hai jo parmeshvar ki bhakti se judi hai
2 aur iska aadhar hamesha ki zindagi ki aasha hai,+ jiska vaada parmeshvar ne jo jhooth nahin bol sakta,+ muddaton pehale kiya tha
3 aur apne tay vakt par prachar ke zariye usne apne vachan ka ailan karaya hai. prachar ki yah zimmedari hamare uddharkarta parmeshvar ki aagya se mujhe saunpi gayi hai.+
4 jis vishvas mein hum sab saajhedar hain, us vishvas mein mere sachche bete titus, main tujhe yah chitthi likh raha hoon:
meri dua hai ki parmeshvar hamare pita aur maseeh yeeshu hamare uddharkarta ki taraf se tujhe maha-kripa aur shaanti mile.
5 main tujhe krete mein isliye chhod aaya tha ki tu vahaan ke bigde huye haalaat* sudhaare aur jaise mainne tujhe hidayat di thi, tu shehar-shehar pracheenon ko niyukt kare.
6 aise bhaai ko niyukt karna jis par koi aarop na ho, uski ek hi patni ho, uske bachche vishvasi hon aur un par aiyashi ki zindagi jeene* ka ya baagi hone ka ilzam na ho.+
7 nigrani karnevala bhaai parmeshvar ka thehraya prabandhak hota hai isliye us par koi ilzam nahin hona chahiye. use manmani karnevala,+ gussail,+ piyakkad, maarpeet karnevala aur beimani ki kamai ka laalchi nahin hona chahiye.
8 balki use mehman-navazee karnevala,+ bhalai se pyar karnevala, sahi soch rakhnevala,*+ nek, vafadar,+ sanyam baratnevala+ hona chahiye.
9 sikhane ki kala ke maamle mein woh vishvasyogya vachan* ko mazbooti se thaame rehta ho+ taaki woh na sirf khari* shiksha dekar hausla badhaye+ balki jo is shiksha ka virodh karte hain unhein sudhaare bhi.+
10 vahaan kai log bagavti hain, bekar ki bakbak karte hain aur doosron ko gumrah karte hain, khaaskar jo khatna karane ki baat par ade rehte hain.+
11 aise logon ka munh band karna zaroori hai kyonki woh beimani ki kamai ke liye aisi shikshayen dete hain jo unhein nahin deni chahiye aur poore-ke-poore parivar ka vishvas tabah kar dete hain.
12 unhin ke ek bhavishyavakta ne kaha hai, “kreti log jhoothe, jangli jaanvaron jaise khoonkhar, aalsi aur petoo hote hain.”
13 yah gavahi sachchi hai. iseeliye tu unke saath sakhti se pesh aa aur unhein sudhaarta reh taaki woh vishvas mein mazboot* banein
14 aur yahoodiyon ki katha-kahaniyon aur un logon ki aagyaon par dhyan na dein jo sachchai ki raah chhod dete hain.
15 shuddh logon ke liye sabkuch shuddh hai.+ magar jo dooshit hain aur jinmein vishvas nahin hai, unke liye kuch bhi shuddh nahin kyonki unka dimag aur zameer donon dooshit hain.+
16 woh parmeshvar ko jaanne ka sareaam daava to karte hain, magar unke kaam dikhate hain ki woh parmeshvar ka inkar karte hain+ kyonki woh ghinaune aur aagya na maannevale hain aur kisi bhi achhe kaam ke yogya nahin.
kai footnote
^ ya “vahaan ki kamiyaan.”
^ ya “bekaboo bartav.”
^ ya “samajh-boojh se; samajhdari se kaam lenevala.”
^ ya “bharosemand sandesh.”
^ ya “swasthyakar; faaydemand.”
^ ya “swasth.”