utpatti 18:1-33

  • abraham ke paas 3 swargdoot aaye (1-8)

  • saara se bete ka vaada; woh hansi (9-15)

  • sadom ke liye abraham ki fariyad (16-33)

18  baad mein yahova+ abraham ke saamne prakat hua. bhari dopahri ka vakt tha aur kadi dhoop thi. abraham, mamre mein bade-bade pedon ke beech+ apne tamboo ke dvar par baitha tha.  jab usne aankh uthakar dekha to use teen aadmi nazar aaye jo uske tamboo se kuch doori par khade the.+ jaise hi abraham ne unhein dekha, woh unse milne ke liye tamboo ke dvar se daudkar gaya aur usne zameen par girkar pranam kiya.  fir usne kaha, “hey yahova, agar teri kripa mujh par ho to apne daas ke tamboo mein aaye bagair yahaan se mat jaana.  main thoda paani laata hoon taaki tumhare pair dhoye jaayen.+ fir is ped ke neeche kuch der aaram kar lena.  dekho, tum apne daas ke yahaan mehman ho, main tumhein khaana khaaye bagair nahin jaane doonga. main jaakaar tumhare liye thodi rotiyaan laata hoon taaki tum khaakaar taro-taaza ho jaao.”* unhonne kaha, “theek hai, jaisi teri marzee.”  tab abraham bhaagkar tamboo mein saara ke paas gaya aur usse kaha, “jaldi se teen paimana* maida le aur use goondhkar rotiyaan bana.”  iske baad, abraham daudkar apne gaay-bail ke jhund ke paas gaya aur usne ek achha-saa mulayam bachhda laakaar apne sevak ko diya. woh fauran use pakane mein lag gaya.  fir abraham ne makkhan, doodh aur gosht liya aur apne mehmanon ke saamne khaana parosa. jab woh ped ke neeche baithe khaa rahe the, to abraham unke paas hi khada raha.+  unhonne abraham se poochha, “teri patni saara+ kahaan hai?” usne kaha, “yahin tamboo mein hai.” 10  tab unmein se ek ne kaha, “main agle saal isi samay tere paas fir aaunga aur dekh, teri patni saara ke ek beta hoga!”+ saara us aadmi ke peechhe tamboo ke dvar par khadi sab sun rahi thi. 11  abraham aur saara, donon ki umra dhal chuki thi+ aur saara ki bachche paida karne ki umra beet chuki thi.*+ 12  isliye saara man-hi-man hans padi aur kehne lagi, “main to boodhi ho gayi hoon, mera maalik bhi boodha ho gaya hai. kya is umra mein vaakai mujhe aulad ka sukh milega?”+ 13  tab yahova ne abraham se kaha, “saara kyon hansi? usne yah kyon kaha, ‘main to itni boodhi hoon, mere bachcha kaise ho sakta hai?’ 14  kya yahova ke liye kuch bhi naamumkin hai?+ main agle saal isi samay tere paas fir aaunga aur saara ke ek beta hoga.” 15  magar saara dar ke maare boli, “nahin, main nahin hansi!” parmeshvar ne kaha, “nahin, tu hansi thi.” 16  fir woh aadmi jaane ke liye uthe aur unhonne neeche sadom ki taraf dekha.+ abraham unhein vida karne ke liye unke saath-saath gaya. 17  yahova ne kaha, “main jo karne jaa raha hoon woh abraham ko na bataun, yah nahin ho sakta.+ 18  kyonki abraham ek badi aur shaktishali jaati ka pita banega aur dharti ki sabhi jaatiyaan uske zariye aasheesh paayengi.*+ 19  main abraham ko achhi tarah jaanta hoon. mujhe poora yakeen hai ki woh apne beton aur vanshajon ko aagya dega ki woh vahi karein jo sahi aur nyay ke mutabik hai aur is tarah yahova ki raah par chalte rahein.+ tab main yahova, abraham ke baare mein kiya apna vaada poora karoonga.” 20  fir yahova ne kaha, “sadom aur amora ka paap had se guzar gaya hai,+ unke baare mein shikayat badhti jaa rahi hai.+ 21  main neeche jaakaar un shehron ka muayna karoonga aur dekhoonga ki mainne jo suna hai kya woh sahi hai, kya sachmuch vahaan ki haalaat itni kharab hai. main is baare mein zaroor jaanna chahoonga.”+ 22  iske baad woh aadmi vahaan se sadom ki taraf chale gaye. magar yahova+ abraham ke sang reh gaya. 23  tab abraham ne parmeshvar ke paas jaakaar usse poochha, “kya tu dushton ke saath-saath nek logon ko bhi mita dega?+ 24  maan lo us shehar mein 50 nek log hain. kya tab bhi tu uska naash kar dega? kya tu un 50 ki khaatir us jagah ko nahin bakhshega? 25  tu dusht ke saath-saath nek jan ko maar daalne ki kabhi soch bhi nahin sakta.+ tu donon ko ek hi sila de, yah kabhi nahin ho sakta.+ kya saari duniya ka nyay karnevala kabhi anyay kar sakta hai?”+ 26  tab yahova ne kaha, “agar mujhe sadom mein 50 log bhi nek mile, to main unki khaatir poore shehar ko chhod doonga.” 27  magar abraham ne fir kaha, “main to bas mitti aur raakh hoon, fir bhi main yahova se ek aur baar bolne ki gustakhi kar raha hoon. 28  maan lo shehar mein 50 nahin, 45 nek log hain, to kya tu paanch ke kam hone se poora shehar naash kar dega?” parmeshvar ne kaha, “nahin. agar mujhe 45 log bhi nek mile, to main use naash nahin karoonga.”+ 29  magar abraham ne ek baar fir kaha, “maan lo vahaan 40 log milte hain.” parmeshvar ne kaha, “main un 40 ki khaatir us jagah ka naash nahin karoonga.” 30  abraham ne fir kaha, “hey yahova, tu mujh par bhadak na jaana.+ main fir se poochhna chahoonga, maan lo vahaan bas 30 log milte hain.” tab parmeshvar ne kaha, “agar mujhe 30 bhi mile to main naash nahin karoonga.” 31  abraham ne fir kaha, “gustakhi maaf ho yahova, agar vahaan sirf 20 log milte hain.” parmeshvar ne kaha, “main un 20 ki khaatir uska naash nahin karoonga.” 32  abraham ne kaha, “hey yahova, tu mujh par bhadak na jaana. bas ek aakhiri baar mujhe poochhne de, agar vahaan sirf das log milte hain.” parmeshvar ne kaha, “main un das ki khaatir bhi uska naash nahin karoonga.” 33  yahova abraham se baatcheet karne ke baad vahaan se chala gaya+ aur abraham apne yahaan laut gaya.

kai footnote

shaa., “tumhara dil mazboot ho jaaye.”
shaa., “sa maap.” ek sa 7.33 l. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya “maahvari band ho chuki thi.”
iska yah matlab ho sakta hai ki aasheesh paane ke liye unhein bhi kuch kadam uthane honge.