utpatti 34:1-31
34 yakub ki beti deena, jo lia se paida hui thi,+ kanaan desh ki javan ladkiyon+ ke saath vakt bitane* ke liye unke yahaan jaaya karti thi.
2 vahaan shekem ki nazar us par padi, jo hivvi logon+ ke ek pradhan hamor ka beta tha. ek din aisa hua ki shekem ne deena ko pakad liya aur uska balatkar karke use bhrasht kar daala.
3 iske baad, use yakub ki is javan beti se pyar ho gaya, woh use apne dilo-dimag se nikaal nahin paa raha tha. usne deena se meethi-meethi baatein karke uska dil jeetne ki koshish ki.*
4 aakhirkar usne apne pita hamor+ se kaha, “tu kisi tarah is ladki se meri shaadi kara de.”
5 is beech yakub ko pata chala ki shekem ne uski beti deena ko bhrasht kar diya hai. magar usne is baare mein kisi se kuch nahin kaha. woh apne beton ke aane ka intazar karne laga jo uski bhed-bakriyaan lekar maidan gaye huye the.
6 baad mein shekem ka pita hamor yakub se baat karne uske paas aaya.
7 udhaar jab yakub ke beton ko deena ke baare mein khabar mili, to woh fauran maidan se ghar aaye. unhein yah baat bahot buri lagi aur woh krodh se bhar gaye, kyonki shekem ne yakub ki beti ka balatkar karke bahot dusht kaam kiya tha+ aur israel ka ghor apman kiya tha.+
8 jab hamor yakub ke yahaan aaya to usne yakub aur uske beton se kaha, “mera beta shekem tumhari beti deena ko bahot chahta hai. isliye main tum logon se binti karta hoon ki apni beti ki shaadi mere bete se kara do
9 aur hamari jaati se rishtedari kar lo. tum log apni betiyaan hamein dena aur hum apni betiyaan tumhein deinge.+
10 tum hamare yahaan reh sakte ho, hamara poora ilaka tumhare saamne pada hai. tum jahaan chaho bas jaao, vyapar karo aur apni dhan-sampatti badhao.”
11 shekem ne deena ke pita aur uske bhaaiyon se kaha, “tum jo maangoge main dene ko taiyar hoon. bas meharbani karke haan keh do.
12 tum mahar ki rakam jitni chahe badha do, tohfe mein jo chahe maang lo.+ sirf apni ladki ki shaadi mujhse kara do.”
13 tab yakub ke beton ne shekem aur uske pita hamor ke saath ek chaal chalne ki sochi, kyonki shekem ne unki behen deena ko bhrasht kar diya tha.
14 unhonne shekem aur uske pita hamor se kaha, “hum apni behen ki shaadi aise aadmi se nahin kara sakte jiska khatna na hua ho.+ yah hamare liye bade apman ki baat hogi.
15 hum sirf is shart par tumhein apni behen de sakte hain, tumhein aur tumhare sabhi aadmiyon ko hamari tarah apna khatna karvana hoga.+
16 tabhi hum apni betiyaan tumhein deinge aur tumhari betiyaan leinge aur tumhare yahaan aakaar bas jaayenge. fir hum aur tum ek hi jaati ke ho jaayenge.
17 lekin agar tum hamari baat nahin maanoge aur khatna nahin karvaoge, to hum apni behen ko lekar yahaan se chale jaayenge.”
18 yakub ke beton ki yah shart hamor+ aur uske bete shekem+ ko theek lagi.
19 aur us javan ne bina der kiye unke kahe mutabik kiya+ kyonki woh yakub ki beti ko bahot chahta tha. shekem apne pita ke poore gharane ka sabse izzatdar aadmi maana jaata tha.
20 hamor aur shekem shehar ke faatak par gaye aur unhonne apne shehar ke aadmiyon se kaha,+
21 “un aadmiyon ne kaha hai ki woh hamare saath shaanti banaye rakhna chahte hain. isliye kyon na hum unhein apne ilake mein aakaar basne dein aur vyapar karne dein? vaise bhi hamara ilaka bahot bada hai, jagah ki koi kami nahin hogi. hum unki betiyaan byah sakte hain aur woh hamari.+
22 unhonne kaha hai ki unhein hamare yahaan bas jaana manzoor hai aur woh hamare saath milkar ek hi jaati ke ho jaane ke liye taiyar hain. bas unhonne ek shart rakhi hai, hamare sabhi aadmiyon ko unki tarah khatna karvana hoga.+
23 zara socho, isse hamein kitna faayda hoga. unki jaaydad, daulat, bhed-bakriyaan sabkuch hamara ho jaayega. to aao hum unki shart maan lein taaki woh hamare yahaan bas jaayen.”
24 tab shehar ke faatak par ikattha sabhi aadmiyon ne hamor aur uske bete shekem ki baat maan li aur shehar ke sabhi aadmiyon ne apna khatna karva liya.
25 magar khatna karvane ke teesre din jab un aadmiyon ka dard se bura haal tha, yakub ke do bete shimon aur levi, jo deena ke bhaai the,+ talvarein lekar shehar ke andar aaye. woh is tarah aaye ki kisi ko un par shak nahin hua. aur unhonne shehar ke sabhi aadmiyon ka katla kar diya.+
26 unhonne hamor aur uske bete shekem ko bhi talvar se maar daala aur shekem ke ghar se deena ko lekar nikaal gaye.
27 fir yakub ke baaki bete bhi shehar mein aaye, jahaan sabhi aadmi mare pade the aur unhonne shehar ko loot liya, kyonki unki behen ko bhrasht kiya gaya tha.+
28 woh unki bhed-bakriyaan, gaay-bail, gadhe sab le gaye aur shehar ke andar aur baahar maidan mein jo kuch tha, sab lootkar le gaye.
29 woh unke gharon mein ghuskar saara maal utha le gaye, unhonne ek bhi cheez nahin chhodi. woh unki aurton aur chhote bachchon ko bhi pakadkar le gaye.
30 tab yakub ne shimon aur levi+ se kaha, “tumne mujhe kitni badi museebat mein daal diya!* ab yahaan ke kanaani aur parijji log mujhse nafrat karne lageinge. woh sab ekjut hokar mujh par hamla kar deinge aur main kuch nahin kar paaunga, unke saamne hamari ginti hi kya hai? woh mujhe aur mere gharane ko khaak mein mila deinge.”
31 magar un donon ne kaha, “koi hamari behen ke saath veshyaon jaisa bartav kare aur hum chup baithe rahein?”
kai footnote
^ ya “ko dekhne.”
^ shaa., “us ladki ke dil se baat ki.”
^ ya “tumhari vajah se mujhe biradri se nikaal diya jaayega.”