utpatti 38:1-30
-
yahooda aur taamar (1-30)
38 inhin dinon yahooda apne bhaaiyon se alag ho gaya. usne apna tamboo heera naam ke ek aadmi ke yahaan gaada jo adullam ka rehnevala tha.
2 yahooda ne vahaan shooa naam ke ek kanaani aadmi ki beti ko dekha.+ yahooda ne use apni patni banaya aur uske saath sambandh rakhe.
3 woh garbhvati hui aur usne ek bete ko janm diya. yahooda ne apne bete ka naam er+ rakha.
4 uski patni ek baar fir garbhvati hui aur usne ek aur bete ko janm diya aur uska naam onan rakha.
5 baad mein uski patni ne ek aur bete ko janm diya aur uska naam shelah rakha. shelah ke janm ke vakt woh* akjeeb+ mein tha.
6 kuch samay baad, yahooda ne apne pehalauthe bete er ki shaadi taamar+ naam ki ladki se karayi.
7 magar yahooda ka pehalautha er yahova ki nazar mein dusht tha, isliye yahova ne use maar daala.
8 tab yahooda ne apne doosre bete onan se kaha, “tu devar-bhaabhi vivah ke rivaz ke mutabik apne bhaai ki vidhva se shaadi kar aur apne bhaai ka vansh chala.”+
9 magar onan jaanta tha ki uske bhaai ki vidhva se uska jo bachcha hoga woh uska apna nahin kehlayega.+ isliye apne bhaai ki vidhva se sambandh rakhte vakt usne apna veerya dharti par gira diya, kyonki woh apne bhaai ke liye koi santan nahin paida karna chahta tha.+
10 uska yah kaam yahova ki nazar mein bura tha isliye usne onan ko bhi maar daala.+
11 fir yahooda ne socha ki agar main taamar ko apna beta shelah doonga to kahin aisa na ho ki woh bhi apne bhaaiyon ki tarah mar jaaye.+ isliye usne apni bahoo taamar se kaha, “jab tak mera beta shelah bada nahin ho jaata, tu jaakaar apne pita ke ghar vidhva bankar reh.” yahooda ke kehne par taamar apne pita ke ghar chali gayi aur vahin rehne lagi.
12 kuch samay baad yahooda ki patni, jo shooa ki beti thi,+ mar gayi. yahooda ne uske liye maatam manaya aur maatam ke din poore hone ke baad woh adullam ke apne saathi heera+ ko lekar timna+ gaya, jahaan uski bhedon ke oon kataarnevale log the.
13 taamar ko bataya gaya: “tera sasur apni bhedon ka oon kataarvane timna jaa raha hai.”
14 tab taamar ne apne vidhva ke kapde badle aur ek odhna odha aur apna chehra ghoonghat mein chhipa liya. fir woh enaim ke faatak ke paas jaa baithi jo timna ke raaste mein hai. taamar ne aisa isliye kiya kyonki use shelah ki patni nahin banaya gaya tha, jabki ab woh bada ho gaya tha.+
15 jaise hi yahooda ne use dekha usne socha ki woh koi veshya hai, kyonki usne apna chehra chhipa rakha tha.
16 woh sadak kinare uske paas gaya aur bola, “kya tu mujhe apne saath sambandh rakhne degi?” woh nahin jaanta tha ki woh aurat uski bahoo hai.+ tab woh boli, “badle mein tu mujhe kya dega?”
17 usne kaha, “main apne jhund mein se bakri ka ek bachcha tere paas bhejoonga.” magar woh boli, “jab tak tu bakri ka bachcha nahin bhejta, tab tak ke liye tu bandhak mein kya rakhega?”
18 usne kaha, “tu hi bata, main bandhak mein tujhe kya doon?” woh boli, “apni muharvali angoothi,+ uski dori aur woh chhadi jo tere haath mein hai.” tab usne woh saari cheezen use de di aur uske saath sambandh rakhe aur us aurat ke garbh thahar gaya.
19 iske baad woh uthkar vahaan se chali gayi. usne apna odhna utara aur dobara apne vidhva ke kapde pehan liye.
20 baad mein yahooda ne adullam ke apne saathi+ ke haath bakri ka ek bachcha bheja ki woh us aurat se bandhak ki cheezen chhuda laaye. magar jab uska saathi vahaan gaya to use woh aurat kahin nahin mili.
21 usne vahaan ke aadmiyon se poochhtachh ki: “mandir ki woh veshya kahaan hai, jo enaim mein sadak kinare baitha karti thi?” unhonne kaha, “is ilake mein kabhi koi veshya nahin rahi.”
22 jab use woh aurat nahin mili, to woh yahooda ke paas laut aaya aur usse kaha, “mujhe woh veshya nahin mili. aur vahaan ke aadmiyon ne bhi bataya, ‘is ilake mein kabhi koi veshya nahin rahi.’”
23 tab yahooda ne kaha, “koi baat nahin, use meri cheezen rakh lene do. agar hum uske baare mein zyada poochhtachh kareinge to hamari badnami hogi. aur mainne to bakri ka bachcha bhejkar apna vachan nibhaya, magar woh aurat nahin mili to hum kya kar sakte hain.”
24 lekin kareeb teen maheene baad yahooda ko yah bataya gaya: “teri bahoo taamar veshya ban gayi hai aur apni badchalni se woh garbhvati bhi ho gayi hai.” tab yahooda ne kaha, “use baahar sabke saamne laakaar maar daalo aur jala do.”+
25 jab taamar ko baahar laaya jaa raha tha, to usne apne sasur ko yah sandesh bheja: “ye cheezen jis aadmi ki hain, usi se main garbhvati hui hoon.” usne yah bhi kehalvaya, “meharbani karke dhyan se dekh, yah muharvali angoothi, dori aur yah chhadi kiski hai.”+
26 jab yahooda ne woh cheezen dhyan se dekhin to usne kaha, “doshi woh nahin, main hoon kyonki mainne use apne bete shelah ki patni nahin banaya.”+ iske baad yahooda ne fir kabhi taamar ke saath sambandh nahin rakhe.
27 fir taamar ke bachcha janne ka vakt aaya. uski kokh mein judvaan ladke the.
28 prasav ke vakt sabse pehale ek bachche ka haath baahar aaya. dhaai ne fauran ek surkh laal rang ka dhaaga liya aur pehchan ke liye uske haath par baandhkar kaha, “yah pehala bachcha hai.”
29 magar fir us bachche ne apna haath andar khinch liya aur jaise hi usne aisa kiya, uska bhaai baahar aaya. yah dekhkar dhaai chaunk gayi aur boli, “tu to khud hi darar banakar nikaal aaya!” isliye us ladke ka naam peres*+ rakha gaya.
30 uske baad uska bhaai baahar nikala, jiske haath par surkh laal dhaaga bandha tha. uska naam jerah+ rakha gaya.
kai footnote
^ yaani yahooda.
^ matlab “fatna,” mumkin hai ki yahaan mooladhar ke fatne ki baat ki gayi hai.