vyavasthavivran 14:1-29
14 tum apne parmeshvar yahova ke bete ho. tum kisi ki maut ka maatam manane ke liye apne shareer par ghaav na karna,+ na hi apne sir ke saamne ke baal mundvana,*+
2 kyonki tum apne parmeshvar yahova ke liye pavitra raashtra ho+ aur yahova ne dharti ke sab deshon mein se tumhein chuna hai taaki woh tumhein apne log aur apni khaas jaageer* banaye.+
3 tum koi bhi ghinauni cheez mat khaana.+
4 tum ye jaanvar khaa sakte ho:+ bail, bhed, bakri,
5 hiran, chikara, chhota hiran, jangli bakri, neelgay, jangli bhed aur pahadi bhed.
6 tum aise kisi bhi jaanvar ko khaa sakte ho jiske khur do bhaagon mein bate hote hain aur jo jugali bhi karta hai.
7 magar tum woh jaanvar mat khaana jo ya to jugali karte hain ya jinke khur do bhaagon mein bate hote hain: unt, khargosh aur chattani bijjoo. ye jaanvar jugali to karte hain magar inke khur do bhaagon mein nahin bate hote. ye tumhare liye ashuddh hain.+
8 tum sooar ko bhi mat khaana kyonki uske khur to do bhaagon mein bate hote hain magar woh jugali nahin karta. woh tumhare liye ashuddh hai. tum aise jaanvaron ka gosht na khaana, na hi unki laash chhoona.
9 paani mein rehnevale jeev-jantuon mein se tum aise har jeev ko khaa sakte ho jiske pankh aur chhilke hote hain.+
10 lekin tum aise jeevon ko mat khaana jinke pankh aur chhilke nahin hote. woh tumhare liye ashuddh hain.
11 tum aise kisi bhi pakshi ko khaa sakte ho jo shuddh hai.
12 magar tum inmein se kisi ko mat khaana: ukab, samudri baaz, kaala giddh,+
13 laal cheel, kaali cheel, har kism ki cheel,
14 har kism ka kauva,
15 shuturmurg, ulloo, dhomra, har kism ka baaz,
16 chhota ulloo, lambe kaanonvala ulloo, hans,
17 havaasil, giddh, pan-kauva,
18 laglag, har kism ka bagula, hudhud aur chamgadad.
19 pankhonvala aisa har keet-patanga bhi tumhare liye ashuddh hai jo jhund mein udta hai. inhein khaana mana hai.
20 tum udnevale aise kisi bhi jeev ko khaa sakte ho jo shuddh hai.
21 tum aise kisi bhi jaanvar ka gosht mat khaana jo mara hua paaya jaata hai.+ tum use apne shehron mein* rehnevale kisi pardesi ko de sakte ho. woh uska gosht khaa sakta hai. ya mara hua jaanvar kisi pardesi ko becha jaa sakta hai. magar tum log use mat khaana kyonki tum apne parmeshvar yahova ke liye pavitra raashtra ho.
tum bakri ke bachche ko uski maa ke doodh mein mat ubaalana.+
22 tum saal-dar-saal apne khet ki har fasal ka dasvaan hissa zaroor diya karna.+
23 tumhara parmeshvar apne naam ki mahima ke liye jo jagah chunega vahaan tum apne anaj, apni nayi daakh-madira aur tel ka dasvaan hissa aur apne gaay-bailon aur bhed-bakriyon ke pehalauthe jaanvaron ka gosht apne parmeshvar yahova ke saamne khaaya karna.+ aisa karne se tum apne parmeshvar yahova ka hamesha dar maanna seekhoge.+
24 lekin agar tumhara parmeshvar yahova apne naam ki mahima ke liye jo jagah chunta hai+ woh tumhare ghar se bahot door hai aur tumhare paas yahova ki aasheesh se jo sampatti hai uska dasvaan hissa utni door le jaana tumhare liye mushkil hai,
25 to tum apna dasvaan hissa bech sakte ho. fir woh paisa haath mein lekar tum us jagah ke liye safar karna jo tumhara parmeshvar yahova chunega.
26 vahaan pahunchne ke baad tum us paise se jo chahe khareed sakte ho, gaay-bail, bhed-bakri, daakh-madira, koi doosri sharab ya koi bhi man-pasand cheez. aur tum apne gharane ke saath apne parmeshvar yahova ke saamne bhojan karna aur khushiyaan manana.+
27 tum apne shehron mein rehnevale leviyon ko nazarandaz na karna+ kyonki unhein tumhare saath zameen ka koi bhaag ya virasat nahin di gayi hai.+
28 har teen saal ke aakhir mein tum teesre saal ki upaj ka poora-ka-poora dasvaan hissa apne shehron mein hi jama karna.+
29 tab tumhare shehron mein rehnevale levi, jinhein tumhare saath zameen ka koi bhaag ya virasat nahin di gayi hai, saath hi tumhare beech rehnevale pardesi, anath* aur vidhvayen aakaar us bhandar mein se leinge aur ji-bharkar khaayenge+ aur tumhara parmeshvar yahova tumhare har kaam par aasheesh dega.+
kai footnote
^ shaa., “apni aankhon ke beech ganjapan na karna.”
^ ya “anmol jaaydad.”
^ shaa., “faatkon ke andar.”
^ ya “jinke pita ki maut ho gayi hai.”