vyavasthavivran 25:1-19
25 agar do aadmiyon ke beech jhagda ho jaaye to woh apna maamla nyayiyon ke saamne pesh kar sakte hain.+ fir nyayi unka faisla kareinge aur unmein se jo nek hai use nirdosh thehrayenge aur jo dusht hai use doshi thehrayenge.+
2 agar us gunahgar ne maar khaane laayak+ koi apradh kiya hai, to nyayi use apne saamne aundhe munh litakar pitvayega. uske apradh ke hisab se tay kiya jaayega ki use kitni baar peeta jaaye.
3 use 40 baar tak peeta jaa sakta hai,+ usse zyada nahin. aisa na ho ki isse zyada baar peetne se sabke saamne tumhare us bhaai ki beizzati ho.
4 tum anaj ki danvri karte bail ka munh na baandhna.+
5 agar kai bhaai paas-paas rehte hain aur unmein se ek ki maut ho jaati hai aur uske koi beta nahin hai, to uski vidhva ko parivar se baahar kisi aadmi se shaadi nahin karni chahiye. uske pati ke bhaai ko devar-bhaabhi vivah ke rivaz ke mutabik usse shaadi karni chahiye.+
6 us aadmi se us aurat ka jo pehalautha beta paida hoga woh mare huye bhaai ka vansh aage badhayega+ taaki israel se uska naam mit na jaaye.+
7 agar ek aadmi apne bhaai ki vidhva se shaadi karne se inkar kar deta hai, to us vidhva ko shehar ke faatak par mukhiyaon ke paas jaana chahiye aur unhein batana chahiye, ‘mere pati ke bhaai ne uska naam israel mein banaye rakhne se inkar kar diya hai. woh devar-bhaabhi vivah ke rivaz ke mutabik mujhse shaadi nahin karna chahta.’
8 tab shehar ke mukhiya us aadmi ko bulvayenge aur use samjhayenge. iske baad bhi agar woh apne faisle par ada rehta hai aur kehta hai, ‘main usse shaadi nahin karoonga,’
9 to us vidhva ko mukhiyaon ke saamne us aadmi ke paas jaana chahiye aur uske pair se jooti utar deni chahiye+ aur uske munh par thookna chahiye aur yah kehna chahiye, ‘jo koi apne bhaai ka vansh chalane se inkar kar deta hai, uske saath yahi salook kiya jaaye.’
10 iske baad se israel mein us aadmi ke parivar ka naam* yah hoga, ‘uska gharana jiski jooti utar di gayi hai.’
11 agar do aadmiyon ke beech haathapai ho jaati hai aur unmein se ek ki patni apne pati ko bachane ke liye apna haath badhakar maarnevale ke gupt ang pakad leti hai,
12 to tum us aurat ka haath kaat dena. tum* us par taras mat khaana.
13 tum apni thaili mein ek taul ke liye do alag-alag baat-patthar mat rakhna,+ ek chhota aur ek bada.
14 tum apne ghar mein ek naap ke liye do alag-alag bartan* mat rakhna,+ ek chhota aur ek bada.
15 tum apne saath sirf aise baat-patthar aur naapne ke bartan rakhna jo poore-poore aur sahi hon taaki tum us desh mein lambee zindagi jeeo jo tumhara parmeshvar yahova tumhein denevala hai.+
16 jo koi beimani karta hai woh tumhare parmeshvar yahova ki nazar mein ghinauna hai.+
17 yaad rakhna ki jab tum misra se baahar nikaalne ke baad safar kar rahe the, to amalekiyon ne tumhare saath kya kiya tha.+
18 jab tum safar se thakkar choor ho gaye the, tab amalekiyon ne aakaar tumhare un sabhi logon par hamla kiya jo kamzor the aur safar mein peechhe reh gaye the. amalekiyon ne parmeshvar ka dar nahin maana.
19 isliye jab tumhara parmeshvar yahova tumhein woh desh virasat mein dega aur yahova tumhein aas-paas ke sabhi dushmanon se raahat dilayega,+ tab tum dharti se* amalekiyon ki yaad hamesha ke liye mita dena.+ tum yah kaam hargiz mat bhoolna.
kai footnote
^ ya “uske gharane ka naam.” shaa., “uska naam.”
^ shaa., “tumhari aankhein.”
^ shaa., “aakash ke neeche se.”