vyavasthavivran 27:1-26
27 fir moosa aur israel ke mukhiya logon ke saamne khade huye aur moosa ne logon se kaha, “aaj main tum logon ko jo aagyayen de raha hoon un sabka tum paalan karna.
2 jab tum yardan paar karke us desh mein jaaoge jo tumhara parmeshvar yahova tumhein denevala hai, to vahaan tum bade-bade patthar khade karna aur un par putai karna.*+
3 fir un pattharon par is kaanoon ke saare niyam likhna. jab tum yardan paar kar loge aur jaise tumhare purkhon ke parmeshvar yahova ne tumse vaada kiya hai, tum us desh mein daakhil ho jaaoge jo yahova tumhein denevala hai, jahaan doodh aur shehad ki dhaarayen behti hain, tab tum un pattharon par kaanoon ke saare niyam likhna.+
4 yardan paar karne ke baad tum ebal pahad+ par patthar khade karna aur un par putai karna,* theek jaise aaj main tumhein aagya de raha hoon.
5 vahaan tum apne parmeshvar yahova ke liye pattharon se ek vedi bhi taiyar karna. magar tum un pattharon ko lohe ke kisi auzar se tarashna mat.+
6 tum angadhe pattharon se hi apne parmeshvar yahova ke liye vedi banana aur us par yahova ke liye hom-baliyaan arpit karna.
7 tum vahaan par shaanti-baliyaan arpit karna+ aur unhein vahin khaana+ aur apne parmeshvar yahova ke saamne khushiyaan manana.+
8 tum is kaanoon ke saare niyam un pattharon par saaf-saaf likhna.”+
9 iske baad moosa aur levi yaajkon ne sabhi israeliyon se kaha, “israeliyo, shaant rehkar dhyan se suno. aaj ke din tum apne parmeshvar yahova ke log ban gaye ho.+
10 tum apne parmeshvar yahova ki baat sunnaa aur uski aagyaon aur kaayde-kaanoonon ka paalan kiya karna+ jo aaj main tumhein de raha hoon.”
11 us din moosa ne logon ko yah aagya di:
12 “jab tum yardan paar kar loge to logon ko aasheervad dene ke liye ye saare gotra garijjeem pahad+ par khade honge: shimon, levi, yahooda, issakar, yoosuf aur binyameen.
13 aur shaap ka ailan karne ke liye ye saare gotra ebal pahad+ par khade honge: rooben, gaad, aasher, jabooloon, daan aur naptali.
14 aur levi sabhi israeliyon ke saamne unchi aavaz mein yah kaheinge:+
15 ‘shaapit hai woh insan jo moorat tarashta hai+ ya dhaatu ki moorat* banata hai+ aur use chhipakar rakhta hai, kyonki kaareegar* ke haath ki aisi rachna yahova ki nazar mein ghinauni hai.’+ (tab javab mein sab log kaheinge, ‘aameen!’*)
16 ‘shaapit hai woh insan jo apne pita ya apni maa ko neecha dikhata hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
17 ‘shaapit hai woh insan jo apne padosi ki zameen ka seema-chinh khiska deta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
18 ‘shaapit hai woh insan jo kisi andhe ko raaste se bhatka deta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
19 ‘shaapit hai woh insan jo tumhare beech rehnevale kisi pardesi, anath* ya vidhva ke maamle mein galat faisla sunakar anyay karta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
20 ‘shaapit hai woh insan jo apne pita ki patni ke saath yaun-sambandh rakhta hai, kyonki woh apne pita ka apman karta hai.’*+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
21 ‘shaapit hai woh insan jo kisi jaanvar ke saath yaun-sambandh rakhta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
22 ‘shaapit hai woh insan jo apni behen ke saath yaun-sambandh rakhta hai, fir chahe woh uske pita ki beti ho ya uski maa ki beti.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
23 ‘shaapit hai woh insan jo apni saas ke saath yaun-sambandh rakhta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
24 ‘shaapit hai woh insan jo ghaat lagakar apne padosi ko maar daalta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
25 ‘shaapit hai woh insan jo kisi begunah ko maar daalne ke liye ghoos leta hai.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
26 ‘shaapit hai woh insan jo is kaanoon ke niyamon ko nahin maanta.’+ (tab sab log kaheinge, ‘aameen!’)
kai footnote
^ ya “choona potna.”
^ ya “choona potna.”
^ ya “aisa hi ho!”
^ ya “lakdi aur dhaatu ka kaam karnevale.”
^ ya “dhali hui moorat.”
^ ya “jiske pita ki maut ho gayi hai.”
^ shaa., “ka ghera ughadta hai.”