vyavasthavivran 8:1-20
8 aaj main tumhein jo aagyayen de raha hoon unmein se har aagya ka tum sakhti se paalan karna. tab tum jeete rahoge,+ tumhari ginti badhti jaayegi aur tum us desh mein jaakaar use apne adhikar mein kar loge jise dene ke baare mein yahova ne tumhare purkhon se shapath khaayi thi.+
2 tumhare parmeshvar yahova ne 40 saal tak tumhein veerane ke jis lambe raaste se paidal chalvaya woh safar tum kabhi mat bhoolna.+ parmeshvar ne aisa isliye kiya taaki woh tumhein namra banna sikhaye aur tumhein parkhe+ ki tumhare dil ke irade kya hain,+ tum uski aagyaon ko maante rahoge ya nahin.
3 usne tumhein namra kiya aur tumhein bhookha rehne diya+ aur fir tumhein manna khilaya,+ jiske baare mein na tum aur na tumhare baap-daade jaante the. parmeshvar ne aisa isliye kiya taaki tum jaan lo ki insan sirf roti se nahin zinda rehta balki yahova ke munh se nikaalnevale har vachan se zinda rehta hai.+
4 in 40 saalon ke dauran na kabhi tumhare kapde purane hokar fate aur na tumhare pair sooje.+
5 tumhara dil achhi tarah jaanta hai ki jaise ek pita apne bete ko sudhaarta hai, vaise hi tumhara parmeshvar yahova tumhein sudhaarta raha.+
6 tum apne parmeshvar yahova ki raahon par chalkar aur uska dar maankar uski aagyaon ka paalan kiya karna,
7 kyonki tumhara parmeshvar yahova tumhein ek badhiya desh mein le jaa raha hai,+ jo nadi-naalon* ka desh hai, jahaan ki ghaatiyon aur pahadi pradesh mein sote aur favvare* fut nikaalte hain,
8 jo gehoon, jau, angoor ki belon, anjeer ke pedon, anaron+ aur jaitoon ke tel aur shehad ka desh hai,+
9 aisa desh jahaan kabhi khaane ke laale nahin padeinge aur tumhein kisi bhi cheez ki kami nahin hogi, jahaan ke pattharon mein loha hai aur jahaan ke pahadon se tum taamba khod nikaaloge.
10 jab tum khaa-peekar santusht hoge, to tum apne parmeshvar yahova ki taareef karna ki usne tumhein aisa badhiya desh diya hai.+
11 tum saavdhan rehna ki tum uski aagyaon, nyay-siddhaanton aur vidhiyon ko maanne se na chooko jo aaj main tumhein de raha hoon aur is tarah apne parmeshvar yahova ko kabhi nahin bhoologe.
12 jab tum us desh mein khaa-peekar santusht hoge aur badhiya-badhiya ghar banakar rehne lagoge,+
13 tumhari bhed-bakriyon aur gaay-bailon ki badhti hogi, tumhare paas bahot saara sona-chaandi hoga aur sabkuch bahotayat mein hoga,
14 to saavdhan rehna ki tumhara man ghamand se fool na jaaye+ jisse tum apne parmeshvar yahova ko bhool sakte ho. tum us parmeshvar ko bhool sakte ho jo tumhein gulami ke ghar, misra se baahar le aaya+ aur
15 jisne tumhein us bade aur bhayanak veerane se chalvaya,+ jahaan zahreele saanp aur bichhoo ghoomte hain aur jahaan ki sookhi zameen paani ke liye tarasti hai. parmeshvar ne vahaan chakmak chattan se paani nikaala+
16 aur tumhein manna khilaya+ jise tumhare baap-daade nahin jaante the. parmeshvar ne aisa isliye kiya taaki woh tumhein namra banna sikhaye+ aur tumhein parkhe jisse aage chalkar tumhara bhala ho.+
17 agar kabhi tum yah sochne lago ki aaj mere paas jo beshumar daulat hai, yah sab mainne apni kaabilyat aur apni taakat se haasil ki hai,+
18 to us vakt tum yaad karna ki tumhare parmeshvar yahova ne hi tumhein is kaabil banaya ki tum daulat kama sako.+ parmeshvar ne aisa isliye kiya taaki woh us karar ko nibha sake jo usne tumhare purkhon se shapath khaakaar kiya tha, jaisa ki aaj zahir hai.+
19 agar tum kabhi apne parmeshvar yahova ko bhool jaao aur doosre devtaon ke peechhe chalne aur unki seva karne lago aur unke aage dandvat karo, to aaj main tumhein bataye deta hoon ki tum zaroor naash ho jaaoge.+
20 agar tum apne parmeshvar yahova ki baat nahin sunoge, to tum bhi un jaatiyon ki tarah naash ho jaaoge jinhein yahova tumhare saamne naash kar raha hai.+