yahejkel 41:1-26

  • mandir ka pavitra-sthan (1-4)

  • deevar aur khaane (5-11)

  • pashchim ki imarat (12)

  • imartein naapi gayin (13-15k)

  • pavitra-sthan ke andar ka hissa (15kh-26)

41  iske baad woh mujhe pavitra-sthan ke baahri kamre* mein le gaya. usne us kamre ke donon taraf ke khambhe naape, ek daayin taraf tha aur doosra baayin taraf. har khambhe ki motai chhe: haath* thi.  is kamre ka pravesh das haath chauda tha aur pravesh ke daayin aur baayin taraf ke khambhe paanch haath chaude the. fir usne baahri kamra naapa. uski lambai 40 haath aur chaudai 20 haath thi.  fir woh andar* gaya aur usne pravesh ke ek taraf ka khambha naapa. uski motai do haath aur chaudai saat haath thi. pravesh chhe: haath chauda tha.  fir usne woh kamra naapa jo pavitra-sthan ke baahri kamre ke saamne tha. uski lambai 20 haath aur chaudai 20 haath thi.+ usne mujhe bataya, “yah param-pavitra bhaag hai.”+  fir usne mandir ki deevar naapi. uski motai chhe: haath thi. mandir ke chaaron taraf khaane the aur har khaane ki chaudai chaar haath thi.+  in khaanon ki teen manzilein thi, jo ek ke oopar ek thi. har manzil mein 30 khaane the. ye khaane chaaron taraf ki deevar ke taak ke sahare tike huye the. isliye khaanon ki shahteerein mandir ki deevar ke andar nahin ghusayi gayi thi.+  mandir ke donon taraf ke oopri khaanon tak jaane ka raasta ghumavdar tha.+ yah raasta neeche se oopri manzilon tak chauda hota gaya tha. beechvali manzil ke khaane, nichli manzil ke khaanon se chaude the aur teesri manzil ke khaane beechvali manzil ke khaanon se bhi chaude the.  mainne mandir ke chaaron taraf ek uncha chabootra dekha jis par mandir ke saathvale khaane bane huye the. us chabootre ki unchai kone tak chhe: haath ke poore maap-chhad ke barbar thi.  khaanon ki baahri deevar ki motai paanch haath thi. un khaanon ke kinare-kinare khuli jagah* thi jo mandir ka hi hissa thi. 10  mandir aur bhojan ke kamron*+ ke beech har taraf 20 haath chaudi khuli jagah thi. 11  uttar ki taraf, mandir ke saathvale khaanon aur khaali jagah ke beech ek pravesh tha. isi tarah ka ek aur pravesh mandir ke dakshin ki taraf tha. mandir ke chaaron taraf ki khuli jagah ki chaudai paanch haath thi. 12  jo imarat pashchim mein, khuli jagah ke saamne thi, woh 70 haath chaudi aur 90 haath lambee thi. us imarat ke chaaron taraf ki deevar ki motai paanch haath thi. 13  jab usne mandir naapa to dekha ki uski lambai 100 haath thi. woh khaali jagah, woh imarat* aur uski deevarein, un sabki lambai bhi kul milakar 100 haath thi. 14  mandir ka saamnevala hissa jo poorab ki taraf tha, uski chaudai aur donon taraf ki khaali jagah ki chaudai kul milakar 100 haath thi. 15  us aadmi ne us imarat ki lambai naapi jo peechhevali khaali jagah ke paas thi. usne imarat ki chaudai aur uske donon taraf ke galiyaron ki chaudai naapi, jo kul milakar 100 haath thi. usne pavitra-sthan ka baahri kamra, bheetri kamra+ aur aangan ke baramde naape. 16  usne in teenon jagahon ki dehleezen, sankri khidkiyaan+ aur galiyare bhi naape. har dehleez ke paas farsh se lekar khidkiyon tak lakdi ke takhte lage the+ aur khidkiyaan dhaki thi. 17  usne pravesh ka oopri hissa, mandir ke andar ka hissa, baahar ka hissa aur chaaron taraf ki deevar naapi. 18  us par karoobon aur khajoor ke pedon ki nakkashi thi.+ har do karoob ke beech ek khajoor ka ped tha aur har karoob ke do munh the, 19  ek insan ka aur ek sher ka. insan ka munh ek taraf ke khajoor ke ped ki taraf tha aur sher ka munh doosri taraf ke khajoor ke ped ki taraf tha.+ poore mandir mein isi tarah ki nakkashi thi. 20  pavitra-sthan ke pravesh ki deevar par, farsh se lekar oopar tak karoobon aur khajoor ke pedon ki nakkashi thi. 21  pavitra-sthan ke faatkon ki chaukhatein* chaukor thi.+ pavitra jagah* ke saamne 22  lakdi ki vedi+ jaisa kuch tha. woh teen haath uncha aur do haath lamba tha. uske chaar kone the aur uska aadhar aur uski alangein lakdi ki bani thi. us aadmi ne mujhe bataya, “yahi yahova ke saamne ki mez hai.”+ 23  pavitra-sthan ke baahri kamre mein do kivadvala ek faatak tha aur andar ki pavitra jagah mein bhi aisa hi ek faatak tha.+ 24  in faatkon ke har kivad mein do palle the jo mudkar dohre ho jaate the. 25  pavitra-sthan ki deevaron ki tarah uske faatkon par bhi karoobon aur khajoor ke pedon ki nakkashi thi.+ baramde ke theek baahar lakdi ka ek chhajja bhi tha. 26  baramde ke donon taraf, mandir ke saathvale khaanon mein aur chhajjon ke paas sankri khidkiyaan+ aur khajoor ke pedon ki nakkashi thi.

kai footnote

shaa., “mandir.” adhyay 41 aur 42 mein is shabd ka matlab hai, pavitra-sthan ka baahri kamra (yaani pavitra bhaag) ya poora pavitra-sthan (yaani mandir jismein pavitra aur param-pavitra bhaag shaamil hai).
yah lambe haath ka maap hai. ati. kha14 dekhein.
yaani pavitra-sthan ke bheetri kamre ya param-pavitra bhaag ke andar.
zahir hai, yah mandir ke chaaron taraf aane-jaane ka sankra raasta hai.
ya “khaanon.”
yaani pavitra-sthan ke pashchim ki imarat.
shaa., “faatak ki chaukhat.” zahir hai ki yahaan pavitra bhaag ke pravesh ki baat ki gayi hai.
zahir hai ki yah param-pavitra bhaag hai.